Harad Benefits in Hindi: Haritaki Ke Aascharya Janak Fayde

Aap sabhi ne harad ke bare mai to suna hi hoga. Aur yadi nahi bhi suna hai to koi baat nahi aaj ke lekh mai aapko harad aur iske faydo ke bare mai jankari denge. Yeh ek ayurvedic herb hai jisse aapke swasth ko kai fayde milte hai.

Harad ka ped dikhne mai to baki ped ke saman hi hai, lekin isse milne wale fayde ise dusro se alag banate hai. Ise kai namo se jana jata hai jaise Kadukkai, Karakkaya, Hirada, Har aadi. Lekin sabse jyada ise Harad aur Haritaki ke naam se jana jata hai.

Harad ka istemal kai ayurvedic dawao mai kiya jata hai. Triphala jiska ki ayurvedic dawao mai bahut mahatva hai. Usme bhi dale jane wali teen ghatako mai se ek harad hai. Harad ke faydo ke bare mai baat kare to iske fayde anginat hai. Niche sroll kare aur jane Harad Benefits in Hindi.
 

Harad Benefits in Hindi: Acchi Sehat Ke Liye Jarur Jane

 
Harad Benefits in Hindi
 
Harad, gathiya ke rog ko dur karne mai madad karta hai. Iska upyog twacha ki kai samasyao mai kiya jata hai jaise khujli, ghav ka bharna aadi. Yeh gurde ki pathari ka ilaj karta hai aur use rokta hai. Yeh aapke pachan tantra ko bhi majboot banata hai. Jab iske itne sare fayde hai to ise vistar se janna chahiye.
 

Harad Ke Har Bhasa mai Naam


Hindi name Harad
English name Black Myrobalan
Sanskrit Kayastha, Amrita
Botanical Terminalia chebula
Tamil Kadukkai
Telugu Karakkaya
Punjabi Har
Malayalam Katukkai
Kannada Alalekaayi
Gujarati Harade
Marathi Hirada
Bengali Horitaki

Kabj Ki Samasya

Bahut se logo ko kabj ki samasya rehti hai aur iske liye we hamesha dawai lete rehte hai. Lekin ham aapko batana chahte hai ki fiber se bharpur diet aur Harad Powder lekar aap iss samasya se bach sakte hai.

  • Jab bhi koi iss tarah ki samasya ke liye lagatar dawai leta hai to uss par depend ho jata hai, jise bloating ki samasya kehte hai.
  • Isliye aesi samasya ke liye harad jaisi prakratik aushdhi leni chahiye. Yeh aanto ka swasth accha rakhti hai.
  • Prayog ke liye harad ko beech se todkar beeje nikal de. Fir ise suraj ki roshni mai sukha de.
  • Acche se sukhne ke bad iska powder bana le aur ek bottle mai bhar kar rakh de.
  • Pani ubale aur usme iss powder ko dale. Raat ko sone se pehle iss pani ko gunguna piye.

 

Baalo Ka Jhadna

Bahut se baccho ko juo ki samasya ho jati hai. Juo ko hatane ke liye hamare desh mai haritaki oil bahut prachalit hai. Pryog ke liye ek pan mai tel garam kare aur usme 3 harad ke tukde dale. Jaise hi harad ka rang bhura ho jaye aur uski papdi kadak ho jaye gas band karde. Tel ko thanda hone de aur fir bottle mai bhar de.

  • Iss tel ke prayog se sar ki juye aur rusi ki samasya khatam ho jati hai.
  • Yadi aapke baal bahut adhik jhadte hai to iska prayog aap bhi kar sakte.
  • Iss tel ko hair pack ki tarah istemal kare. Pack ko aur prabhavi banane ke liye usme kaddi patte ka powder ya amla powder bhi dal sakte hai.

 

Muh Ke Chhale

Harad mai cariogenic gun hote hai, jiske chalte wo kai dental samasyao se nijat dilata hai jaise muh ke chale, masudo se khun aana aadi. Bujurgo mai to yeh samasya bar bar hoti hai. Aapko jankar aascharya hoga lekin har 5 mai se ek bujurg iss samasya se pareshan hota hai.

  • Prayog karne ke liye sanse pehle to harad ka bahar ka cover tod de. Aur pani ke sath ubalne ke liye rakhe.
  • Jaisa hi pani ka rang peela ho jayega. Gas band karde aur pani ko thand hone de.
  • Iss pani se din mai 3-4 bar muh ko dhoye. Isse dard dene wale chale bahut jaldi thik ho jate hai.

 

Haritaki Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Janiye

  1. Harad mai anti bacterial gun hote hai. Isliye iske powder aur ubale pani se bana paste ko lagakar aap muhaso ki samasya se nijat pa sakte hai.
  2. Yeh rakt mai sharkara ki matra ko santukit rakhta hai, isliye iska sevan madhumeh ke marij ke liye bhi faydemand hai. Lekin ise lene se pehle ek bar chikitsak se paramarsh jarur lele.
  3. Harad ko raat bhar pani mai bhigokar rakhe. Agle din subah iss pani se aankhe dho le. Isse aankho se pani nikalne wali samasya dur hoti hai.

 
Upar aapne jana Harad Benefits in Hindi. Harad ke faydo ka labh aap bhi utha sakte hai. Lekin ek bar yeh savdhani jarur padh le. Garbhavati mahilao ko iska sevan nahi karna chahiye. Piita ki samasya wale bhi ise na le.

Loading...

You may also like...