Aajkal adhiktar logo ko sada khana pasand nahi aata hai. Fast food bahut si logo ki choice ban chuka hai. Aur jo log ghar se bahar rehte hai unke liye to yeh sab kuch hai. Kyoki fast food na keval swad mai accha lagta hai sath hi sath we khana banane ke jhanjhat se bhi bach jate hai.
Fast food mai aapko kai variety milti hai jaise chatpati, mithi wo bhi kam daam mai. Lekin kya aap jante hai ki isi fast food ki wajah se aap apne swasthya ko kitna nuksan pahucha rahe hai.
Aesa nahi hai ki fast food aapko bilkul hi nahi khana chahiye. Aap kabhi kabhi ise kha sakte hai. Lekin ise roj roj khane se aapke swasthya par bura asar padhta hai. Kyoki isme adhik matra mai carbohydrate, sharkara, unhealthy vasa aur namak hota hai.
Yeh sabhi chize aapko kai nuksan pahuchati hai khaskar isse motapa, vajan ka badhna aadi dekhne ko milta hai. Aaiye aaj ke lekh mai vistar se jane Harmful Effects of Fast Food.
Harmful Effects of Fast Food – Sehat tatha Mastishk Ko Nuksan
Yadi aap fast food ke bahut jyada shoukin hai to ek bar niche bataye gaye Fast Food Effects On Health jarur jaan le. Aur iske sevan ko thoda kam kare.
Vajan Ka Badhna
- Fast food mai calorie ki matra bahut jyada hoti hai, jabki nutrients ki matra bahut kam hoti hai ya to hoti hi nahi hai.
- Ek survey ke anusar jo log ast food khane ke shoukin hote hai wo isse milne wali calories ko najarandaj kar dete hai. Jisme bacche aur kishor jyada shamil hai.
- Jab aapke aahar mai nutrients ki matra kam ho jati hai to aapke swasthya par bura asar padhta hai. Isse aapka vajan badhne lagta hai.
- Jab aapka vajan badhta hai to aapko kai sari swasthya samasyae jaise madhumeh aur dil ki bimariya aadi.
Madhumeh
- Fast food ke bahut sare aahar aur pey padartho mai bahut jyada matra mai sharkara hoti hai. Jaise ki chocolate shakes aur pastries mai. Yaha tak ki cheese burger mai bhi calorie ki matra bahut adhik hoti hai.
- Lagatar inn chizo ka sevan karne se aapki rakt sharkara par sthir abhav ho jata hai. Madhumeh ke marijo ko apni sharkara ko santulit rakhne ke liye dawaiya leni padhti hai.
- Kai bar to madhumeh ke chalte kai bar jatil samasyae bhi ho jati hai. Jaise kam sunai dena, kidney ki samasya, uccha raktchaap aadi.
- Iss tarah ki sari pareshaniyo se bachne ke liye aapko iss tarah ke fast food se thodi duri hi rakhni chahiye.
Mansik Swasthya Vikar
- Ham aapko bata de ki aswasthyakar bhojan neurotransmitters ke sath interfere (dakhal andaji) karta hai. Neurotransmitters aapko khusnuma feel karwata hai.
- Yadi aap thoda sa bhi amino acid tryptophan lete hai to isse aapke andar gusse aur avsad ki bhavna jagti hai.
- Iske sath hi yadi aap aese aahar lete hai jinse aapke sharir mai bilkul bhi omega 3 fatty acid ki purti nahi ho pati hai to isse bipolar disorder, pagalpan yeh jyada badta hai.
- Fast Food Effects aapke dimagi swasthya ke liye acche nahi hai.
Mastishk Shati
- Hamare dimag ko kaam karne ke liye kuch nutrients ki jarurat padhti hai. Lekin fast food mai nutrients nahi hote hai jiske chalte hamare dimag ko vitamins aur minerals nahi mil pate hai.
- Jaise ki yadi aap omega 3 fatty acids se bharpur chize jaise ki salmon macchali, badam tel, akhrot aadi, to isse aapke dimag bilkul accha rehta hai.
- Wahi yadi aap fast food mai moujud transfat lete hai to yeh normal neuronal firing se interfere karta hai. Isse aapke mastishk par prabhav padhta hai kyoki isse neurons ko shati pahuchti hai aur wo thik se kaam nahi kar pate hai.
Twacha aur Haddiyo Ke Liye Bura
- Chocolate ek greasy type ka padarth hota hai. Isliye hamesha kaha jata hai ki isse muhaso ki samasya badhti hai. Darahsal isme piche ka mukhya karan carbs hai.
- Jo bhi khadya padartho mai carbohydrate ki matra jyada hoti hai unse rakt mai sharkara ka star badhta hai aur muhase hone ki samasya badh jati hai.
- Ek survey ke anusar jo bacche fast food jyada khate hai unhe khujli ki samasya, sath hi twacha mai jalan aur twacha ka peela padhna, yeh samasya bahut adhik hoti hai.
- Jab aap aese fast food khate hai jinme carbs aur sharkara adhik hoti hai, to aapke muh mai bacteria reh jate hai aur acid banate hai. Iss acid se danto ka tooth enamel khatam ho jata hai jisse dental cavity hone ki sambhavna badh jati hai.
- Ek baar aapke danto ko enamel kharab ho jaye to wapis theek nahi hota. Poor health ke chalte kai sari swasthya sambandhi samasyae hone ki sambhavna hoti hai.
- Fast food mai sodium ki matra bhi bahut jyada hoti hai jiske chalte osteoporoses hone ka khatra rehta hai. Osteoporosis mai aapki haddiyo ka ghanatva kam hote jata hai.
Upar aapne jana Harmful Effects of Fast Food in Hindi. Isliye yadi aap apni jeevansheli ko swasth rakhna chahte hai to fast food se duri bana le. Aur aapko yadi yeh itna hi pasand hai to har hafte mai ek din aap ise kha sakte hai.