Hindu dharm mai ‘Om’ shabd bahut hi pavitra mana jata hai. Yeh keval ek pavitra dhwani hi nahi balki anant shanti ka pratik hai. ‘Om’ arthat ‘Aum’ tin aksharo se bana hai. AUM mai A ka artha hai Utpanna hona, U ka tatparya hai Uthana ya fir udna, M ka matalb hai moun ho jana atrthat bramahalin ho jana. Om sampurn brahmand ki utpatti aur puri shrasti ka ghotak hai.
Purano mai aesi katha milti hai ki isi shabd se bhagvan Shiv, Vishnu aur Bramha prakat huye. Isliye om ko sabhi mantro ka bij mantra aur dhavniyo aur shabdo ki janni kaha jata hai.
Om dharm, arth, kaam, moksh inn charo purushartho ka pradayak hai. Matra Om ka jap kar kai sadhko ne apne udeshaya ki prapti kar li hai. Gopath brahman granth mai ullekh hai ki jo kush ke aasan par purva disha ke taraf muh karke ek hajar baar Om rupi mantra ka jaap karta hai, uske sab karya siddha ho jate hai. Om ka jap karne se pachan shakti sudharti hai.
Yaha tak ki Om Mantra ke jaap se haday aur mashtik rog se gambhir pidit vyaktiyo ko bhi bahut labh milta hai. To aaiye jante hai aese hi kuch Health Benefits of Chanting Om aur iske uccharan ki vidhi.
Om Mantra Se Hone Wale Sharirik Fayde
- Om mantra ka jaap karne se sharir mai sfurti aati hai.
- Yadi aapko ghabrahat hoti hai to Om ke uccharan se uttam kuch bhi nahi hai.
- Yeh hriday(Heart) aur khoon ke pravah ko santulit karta hai.
- Isse pet se judi takleef dur hoti hai.
- Thakan se bachav ke liye bhi iska uccharan behad labhkari hai.
- Yeh sharir se vishele tatvo ko dur karta hai, aur tanav ke karan paida hone wale dravyo par niyantran karta hai.
- Pachan shakti ko badhane ke liye isse uttam upay kuch bhi nahi hai.
- Kuch vishesh pranayam ke saath ise karne se fefdo ko majbuti milti hai.
- Yeh sharir ki hormonal pranali ko niyantrit karta hai.
- Jin logo ko nind na aane ki samasya rehti hai. Unhe is mantra ka jaap jarur karna chahiye. Kuch hi din mai aapko parivartan dekhne ko milega. Raat ko sote samay nind aane tak man mai isko karne se nishchit hi nind aayegi.
- Om ke pehle shabd ka uccharan karne se kampan paida hoti hai. Is kanpan se ridh ki haddi prabhavit hoti hai. Aur iski shamta badh jaati hai.
- Om ke dusre shabd ka uccharan karne se gale mai kampan paida hoti hai. jo ki thyroid granthi par prabhav dalti hai.
- Om mantra ke jaap se aapki aavaj mai sudhar hota hai. Iske alawa badhti umra mai aapke vocal cords aur muscles ko shakti milti hai. Darahsal is mantra ka jaap aapke sharir ke pure vikas ke liye behad hi faydemand hai.
Aap yeh bhi padh sakte hain:- Surya Namaskar Benefits in Hindi – जानिए सूर्य नमस्कार के लाभ
Om Mantra Se Hone Wale Mansik laabh
- Niyamit tour par Om mantra ka jaap kiya jaye to vyakti ka tan-man shuddha rehta hai aur mansik shanti milti hai.
- Isse depression jaisi samsya se nijad milta hai. Niyamit tour se karne par vyakti mai sahas aur lakshya prapti ka utsah badh jata hai.
- Jivan jine ki shakti aur duniya ki chunotiyo ka samna karne ka apporva sahas milta hai.
- Aatmahatya karne jaise kayarta ke vichar aaspas bhi nahi fatakte. Balki jo aatmahatya karna chahate hai wo ek bar om ke uccharan ka abhyas 4 din tak kar le. Uske baad khud nirnay karle ki jivan jine ke liye hai ya fir chodne ke liye.
- Kai shodho se to yeh baat bhi samne aayi hai ki Om mantra ke jap se haday aur mashtik se gambhir rup se pidhit vyaktiyo ko bahut hi labh milta hai. Om mantra ka uccharan sharir mai mojud kai mrit kosikao ko purn jivit kar deta hai. Jisse gambhir se gambhir rogo mai bhi yeh bada labhprad hai.
- Om mantra ka jaap karte huye apne haatho ko aapas mai ragde. Fir urja se bhare inn hatho ko sharir ke jin ango par lagaya jaye. Waha ke anga sakriya hote hai.
-
Om Uccharan ki Vidhi
- Ro subah uthkar pavitra hokar Om dhwani ka uccharan kare. Om ka uccharan Sukhasan, Vajrasana aur ardh pradasan mai bethkar kar sakte hai. Iska uccharan 5,7,10,21 baar apne samay anusar kar sakte hai. Om jor se bol sakte hai, dhire dhire bol sakte hain. Om jap mala se bhi kar sakte hai. lekin uccharan karte wakt lay ka vishesh dhyan rakhe. Iska uccharan suprabhat ya sandhyakaal mai hi kare. Is baat ka khyal rakhe ki kisi bhi dhwani ka prabhav tabhi utpanna hota hai jab use vishesh laybaddhta aur shradha ke sath kiya gaya ho. Isliye iska jaap pure man se kare.