Health Benefits of Peanuts: Mungfali Ke Bahumulya Fayde

Mungfali (Peanuts) sehat ka khajana hai. Isme protein ki matra bahut jyada payi jaati hai. 100 gm kacche peanut mai 1 liter milk ke barabar protein paya jata hai. Mungfali mai protein ki matra 25% se jyada hoti hai. Saath hi mungfali pachan shakti badhane mai bhi upyog mai aati hai.

250 gm bhuni mungfali mai jitni matra mai khanij aur vitamin paye jate hai, wo 250 gm meat se bhi nahi milta. Aaiye Jante hai kuch Health Benefits of Peanuts.

Health Benefits of Peanuts (Mungfali): Upay Ek Fayde Anek

You may also like: Benefits of Jamun (Black Plum) Aur Kuch Gharelu Nuskhe

Health Benefits of Peanuts

Peanut mai nutrients, mineral, anti-oxidant aur vitamin jaise padarth paye jate hai. Jo ki swasth ke liye bahut laabhdayak hote hai. Yeh aapke swasth ke liye bahut hi laabhdayak hoti hai.

Bad Cholesterol

Mungfali mai mono-saturated fatty acid paye jate hai. Jo ki bad cholesterol ko kam karke good cholesterol ko badhate hai.

Peanuts Benefits for Health

Mungfali khane se doodh, Ghee aur Badam teeno ki purti ho jati hai.

Cough Mai Faydemand

Peanuts khansi ke liye bahut labhdayak hai. Sardiyo ke mausam mai peanuts khane se aapki body garam rahegi aur cough ki problem nahi hogi.

Peanuts Benefits for Blood Ratio

Roz khana khane ke baad 50 gm peanuts khane se aapki body ka blood ratio increase hoga.

Peanuts Oil Benefits

Mungfali ka tel, khane mai use karne se aapki body ke kitanu kam hote hai aur aapki body ko accha poshan milta hai.

Benefits of Peanuts in Weight Loss

Mungfali weight loss karne ke liye bhi bahut upyogi hai. Rojana mungfali ka sevan karne se jaldi hi weight loss hone lagta hai.

Health Benefits of Peanuts: Iske Anek Fayde ko Janiye

  • Ek study ke mutabit, jinn logo mai Triglycerides ka level adhik hota hai, wah agar mungfali khaye, to unka blood ke lipid level mai Triglycerides ka level 10.2% kam ho jata hai.
  • Bhojan ke baad yadi aap 50 ya 100 gm mungfali pratidin khate hai to aapki sehat banti hai, bhojan pachta hai, sharir mai khoon ki kami puri hoti hai aur motapa badhta hai.
  • Yeh pachan shakti ko badhati hai, ruchikar hoti hai, lekin garam prakrati ke vyaktiyo ko hanikarak bhi hai. Mungfali jyada khane se pitt badhta hai.
  • Isme mono saturated  fatty acid paye jate hai jo ki LDL ya kharab cholesterol ko kam karke acche cholesterol ko badha sakta hai.

Kai jagah yeh proof ho chuka hai ki rojana ek mutthi mungfali ka sevan karne se aapko kai rogo se chutkara milega aur aapka vajan bhi kam hoga.

To health benefits of peanuts ke liye khate rahiye mungfali aur bahut se rogo ko kijiye apne se dur.

Get more update about Peanuts from Food.

Loading...

This website uses cookies.