Health Benefits of Yogurt: Dahi Se Paye Sehat aur Sondarya

Dahi hamare swasthya ke liye bahut labhdayak hota hai. Roj ek katori dahi khane se pachan kriya sahi rehti hai. Dahi mai bharpur matra mai calcium, protein aur vitamin paya jata hai. Hamari bhartiya sanskrati mai to prachin kal se hi dahi ka bahut mahatva raha hai. Chahe koi vivah ho ya kisi karya ka subharambh, har subh avsar par dahi ka istemal hota hai.

Darahsal mana jata hai ki yadi kisi ko subh karya ko karne se pehle dahi khilaya jaye to use safalta milti hai. Hum aapko batade ki dahi ke bahut hi labh hote hai. Isse na keval hamara sharir swasth banta hai apitu hamare sondarya ko badane mai bhi yeh behad labhkari hai. Aur khas baat to yeh hai ki yeh sasta hone ke sath sath aasani se bhi mil jata hai.

Aapko yeh baat jankar shayad aashcharya ho lekin dahi, dudh ke mukable bhi kai jyada fayda pahuchata hai. Dahi mai dudh ke apexa jyada calcium paya jata hai. Iske alawa dahi aasani se pach bhi jata hai.

Rojana dahi khane se digestion acchi tarah hota hai aur khulkar bhook bhi lagti hai. Isliye jin logo ko pet ki pareshaniya jaise ki apach, bhook na lagna aadi ho, wo dahi ka sevan jarur kiya kare. To aaiye iss lekh mai ham aapko batate hai Health Benefits of Yogurt, dahi se milne wale swasthprad labho ke bare mai.
 

Yogurt Benefits: Janiye Dahi Se Hone Wale Anmol Labh

 

 

Motapa Kam Kare

Jaisa ki ham sabhi jante hai ki motapa kai bimariyo ko aamantrir karta hai. Yane ki yadi ham motapa kam kar lete hai to ham dusri bimariyo se bhi nijad paa sakte hai. Dahi hamare sharir mai cholestrol ko badne se rokta hai. Jisse rakt ka pravah sudharta hai aur sharir par atirikt charbi nahi jamti. Iske alawa dahi se blood pressure jaise samasyao mai bhi bahut labh milta hai.

Hriday Rog Mai Faydemand

Dahi khane se cholestrol nahi badta aur dil ki dhadkane samanya rehti hai. Dahi Khane se dil ke rog, uccha raktchaap aur gurde ki bimariya thik hoti hai.

Muh Ke Chhale

Dahi muh ke chhale ko bhi dur karne mai sahayak hota hai. Iske liye ya to aap dahi ko shahad mai milakar chhale par lagaiye ya fir dahi ko bhojan ke sath lijiye. Dono tarah se prayog karne par aapko chhaalo mai aaram milega.
 

You May Also Like:- Acchi Sehat Chahiye to Roj Le Poshtik Aahar (Nutritious Food)

 

Pet Ki Garmi Dur Kare

Pet ke kai rogo ke ilaj ke liye bhi dahi amrit mana jata hai. Pet mai garmi ya jalan hone par dahi ya dahi se bani lassi pine se aaram milta hai. Iske alawa agar kisi ko dast lag gaye ho to dahi mai chaval milakar khana chahiye.

Jane Dahi Se Hone Wale Anya Labh:

  1. Dahi ka sevan karne se pet aur aanto ke hone wale rogo mai aaram milta hai.
  2. Dahi mai upasthit calcium haddiyo, daant aur nakhun ko majbut banata hai.
  3. Yeh hamari bhook badhane aur dast rokne mai sahayak hota hai.
  4. 1 glass chanch mai ajwain milakar pine se bawasir jaise rogo mai aaram milta hai.
  5. Chehre par hone wale muhanso ko dur karne mai bhi dahi sahayak hota hai.
  6. Bahut se log aise hote hai jinka pachan sahi nahi hota hai to aise mai dahi ka upyog bhojan ke sath karne se pachan tantra sudharta hai.
  7. Jin logo ko nind na aane ki bimari hoti hai unko dahi khane ki salah to doctor bhi dete hai. Ise khane se nind acchhi aati hai.
  8. Dahi sharir se pasine ki durgandh ko dur karne mai bhi sahayak hota hai. Iske liye dahi aur besan ko milaye aur sharir mai laga le aur thodi der bad naha le isse sharir ki durgandh dur ho jati hai.
  • Sondarya Badhane Mai Bhi Labhkari Dahi

    Balo Ke Liye:

    1. Dahi mai yadi multani mitti milakar lagaya jaye to baal mulayam hote hai. Sath hi yeh balo ko jharne se rokne mai bhi madad karta hai.
    2. Dahi ka upyog balo se rusi hatane ke liye bhi kiya jata hai. Iske liye mehndi mai dahi ko milakar ya fir dahi ko sidhe bhi balo par lagaya ja sakta hai. Yeh balo ke liye ek prakratik conditioner ki tarah kam karta hai.

    Chehre Ke Liye:

    1. Twacha mai chamak lane ke liye bhi dahi ka istemal kiya ja sakta hai. Dahi mai mojud vitamin e, phosphorus, aur zink twacha mai chamak late hai. Bus dahi mai thoda besan mila lijiye aur 10 minute ke liye chehre par lagakar rakhe. Isse aapke chehre ki rangat bhi badegi aur twacha mai chamak bhi aayegi.
    2. Agar aap apni teliya twacha se pareshan hai to dahi mai shahad(Honey) milakar lagaiye. Isse kai had tak teliya twacha se chutkara paya ja sakta hai.
    Dhyan Rakhe:
    1. Hamesha taze dahi ka sevan kare.
    2. Kabhi bhi raat ke samay dahi na khaye.
    3. Agar aapko sardi ki samasya hamesha bani rehti hai to bhi dahi ka sevan naa kare.

    Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

    Loading...

This website uses cookies.