Manushya ko apne sharir ka khayal ek samanya machine ki tarah rakhna chaiye, jaise kisi machine ke liye sahi indhan aur rakh-rakhav avshayak hai. Waise hi purusho ko bhi apne sharir ka pura dhyaan rakhna chaiye.
Aaj ke bhagduad wali jivan shelly mai purusho ne apni sehat par dhyaad dena bilkul band ke diya hai. Naukri aur business ko sambhalte-sambhalte wah apne swasthya ko dekhna bhul jate hai.
Steven Lamm, MD, medical director NYU Langone Medical Center’s ka kehna hai ki, yeh jaruri nahi ki purush ki aayu 50 saal ki hai to usse doctor ko dikhana jaruri hai. Unke anusar agar purush apne sharir ki parwah kare aur kamar ke upper tatha niche ke bhago ka thik se khayal kare to unhe doctor’s ki kabhi jarurat nahi padegi.
Aaj hum bahumulya jankari dene wale hai Health Tips in Hindi for Men ke bare mai. Jiske jariye purush apne sharir ko behtar aur swasthya rakh sakte hai.
Health Tips in Hindi for Men: Jane Apne Dainik Aahar aur Vyayam ki Yojna
Diet Plan for Men: Kare Inka Istemal
Purusho ko apne sharir ko swastha aur majboot rakhne ke liye poshak tatvo ki avashayakta padthi hai. Samanya bhojan ke sath-sath anya khadya padartho aur phalo ka sevan bhi bahut jaruri hai. Jiske liye unhe apni dainik khurak par dhyan dena chaiye. Hum apko bata rahe hai kuch Diet Plan for Men-
Vitamin C
Vitamin C sharir ki pratiraksha pranali ko majboot karne ke liye aur adhik kushalta se virus aur anya rogo se ladne ke liye bahut faydemand hota hai. Aahar mai vitamin C pane ka sabse accha tarika hai, vitamin se bharpur khadya padartho ka sevan karna.
Apne dainik aahar mai khatte phal, tamatar aur strawberry, hari pattedar sabjiya jaise khadya ke istemaal se aap sharir mai Vitamin C ka kota pura kar sakte hai. Yeh prakrati ke sabse acche anti-oxidant mai se ek hai. Ek din mai 90 mg vitamin c ki matra samanya purusho mai pahunchan chaiye.
Vitamin E
Shodhkartao ke anusar, isme vitamin mai upyogi antioxidant gun hota hai, jo motiyabind aur hriday rog jaisi ghatak bimario ko rokne mai madad karta hai. Sath hi yeh purusho mai hone wali kai prakar ke cancer ki roktham mai bhi sahayak hota hai.
Vitamin E ki matra sharir mai banaye rakhne ke liye palak, surajmukhi ke bij, badam aur anya bij ya nuts ka istemaal apne bhojan mai kar sakte hai. Purusho ke sharir mai ek din mai 20 mg vitamin e ki matra pahunchna chaiye
You may also like:- Women Health Tips in Hindi: Mahilao ke Liye Swasth Laabh
Chromium
Chromium khanij metabolism ke liye aur sharir ki koshikao ko sahi dhang se insulin ki prakriya karne mai madad karta hai. Sath hi yeh khoon mai glucose ke star ko banaye rakhta hai. Vyaska purusho ke liye yeh bahut adhik hitkari hota hai.
Jau, gobhi, hari dal, tamater, kali mirch yeh sabi chromium se paripurn hote hai. Yeh sabhi wo padharth hai jine aap aasani se apne dainik jivan mai istemal kar sakte hai.
Calcium / Magnesium
Calcium haddiyo ko majboot karne mai madad karta hai aur magnesium aam poshak tatwo ki kami ko pura karta hai. Magnesium manav sharir mai hone wali 300 se adhik rasayanik prakriyayo mai istemal hota hai. Yeh dil aur sanchar pranali mai sudhar karne ki shamta rakhta hai. Sath hi heart attack aur stroke jaisi bimariyo ki rokdham mai sahayata karta hai.
Dairy utpad, hari sabjiya, sabut anaj, soya sem aur dark chocolate jaise padartho ka sevan karne se sharir mai calcium aur magnesium ki purti sharir mai ho jati hai.
Omega 3
Fat bhala kaise swastha vardhak ho sakta hai? Aisa ho sakta hai yedi usme accha cholesterol mila ho. Accha cholesterol wala fat dil ke liya bahut adhik faydemand hota hai. Omega 3 mai kuch aise fats hote hai, jo sharir ke hormones mai badlav kar bhukh ko kam karte hai.
Machli, Machli ke tel ki golia, soybean tel, colonna tel, sea food aadi ka sevan karne se sharir mai omega 3 fatty acid ki purti hoti rahti hai. Yeh dil ko majboot karte hai aur raktchap ko kam karte hai.
Manushya sharir mai samanya bhojan ke sath-sath kuch poshtik aahar ka sevan bhi swastha ke liye jaruri hai. Jo humare sharir ko majboot aur aakarshak banate hai.
Jaise purusho ke liye poshak tatva jaruri hai waise hi sharir ko santulit banaye rakhne ke liye niymit kasrat, vyayam aur yog bhi jaruri hai. Vyayam purusho aur mahilao dono ke liye hi atydhik labhprad hota hai.
Purush pratidin yog aur vyayam ke abhyas se apne sharir ko ek naya roop de sakte hai. Sukhasan, bhujangasan jaise samanya aasano ke jariye aap apne sharirik aur mansik swasthaya ka khayal rakh sakte hai.
Purush apne dainik jivan mai in sabhi Health Tips in Hindi for Men ka istemal kar swastha aur shukhi jivan ki shuruwat kar sakte hai.