Healthy Breakfast in Hindi: Din Ki Shuruwat Nashte Ke Sath

Aajkal vyast hone ke karan khane pine ki aadat kaafi badal si gai hai jiske karan sharir swasth sahi nahi reh pata hai. Inn swasthya sambandhi pareshaniyo ko dur karne ke liye swasth aahar ka sevan karna bahut jaruri hai. Aur iski shuruvaat aap shubah ke nashte se kar sakte hai.

Subah ka nashta kabhi bhi nahi chhodna chahiye. Yadi aap nashte mai poshtik aahar ka sewan karenge to aap pura din kafi accha mehsus karenge. Dhyan rakhe aapka subah ka nashta swad tatha poshak tatvo se bhapur hona chahiye tabhi to wah aapke liye sehatmand sabit hoga.

Subah subah accha breakfast karne ke bad yadi aapka dophar aur raat ka khana halka hoga to chalega tatha isse aapka vajan bhi niyantrit rehega. Kyonki sahi aahar hi aapke swasth jeevan ki pehchan hai. Aaj hum aapko aese nashte bata rahe hai jinse aap hamesha swasth bane rahenge. Aaiye jante hai Healthy Breakfast in Hindi.
 

Healthy Breakfast in Hindi: Rogmukt Sharir ke liye Sahayak

 

 

Nashte mai Idali Khaye

Wese to idli south Indian dish hai parantu pure bharat mai ise bade shok se khaya jata hai.  Idali swadisth hone ke sath poshtik bhi hoti hai.

  • Idli ko bhap mai pakaya jata hai jisse isme cholesterol badane wale tatv nahi hote hai.
  • Ise banane ke liye daal ka istemal kiya jata hai jisse aapke sharir ko protein milta hai.
  • Ise nariyal chatni ke sath khaya jata aur jo swasth ke liye kafi faydemand hota hai.
  • Kuch tasty pasand karne walo ke liye yeh ek acche breakfast ideas mai se ek hai.

 

Oats Ko Naste mai Shamil Kare

Bajar mai oats kai tarah ke flavor mai aasani se mil jate hai. Aap apne swad ke anusaar unka chunav kar sakte hai. Yeh khane mai swadisht aur poshtik dono hote hai.

  • Oats fiber yukt tatha poshtak tatvo se bharpur hote hai.
  • Inhe khane se pet kafi samay tak bhara hua lagta hai tatha jaldi pach jate hai.
  • Yadi aap vajan kam karna chahte hai to yah aapke liye kafi faydemand hai.

 

Ande Hai Protein Se Bharpur

Ande ko aap nashte mai shamil karenge to yeh aapke sharir ke liye kaafi faydemand hota hai. Aap chahe to sabut anda, ubla hua anda ya ande ki burjhi banakar bhi nashte mai kha sakte hai.

  • Ande protein se bharpur hota hai jo aapke sharir ke liye kaafi accha hai.
  • Ise khane se aapko calcium milta hai jisse haddiya majboot banti hai.
  • Anda aapki pachan shakti ko majboot karta hai, jisse khana jaldi pach jata hai.

 

Phalo Ka Sevan Kare

Yadi aapko phal khana bahut pasand hai to aap nashte mai phalo ko shamil kar sakte hai. Yeh sabse Easy Healthy Breakfast hai. Isme aapko jyada mehnat karne ki jarurat hi nahi padegi ya aap chahe to fruit chat banakar bhi inka sevan kar sakte hai.

  • Phalo mai vitamin C hota hai jo sehat ke liye kafi faydemand hote hai.
  • Aap fruit mai kela, papita, amrud, tarbuj, seb, anar jaise phalo ka sevan kar sakte hai.
  • Subah subah humara pet khali hota hai to hamara sharir phalo ke adhiktam tatvo ko apne andar avshoshit kar letea hai.

 

Vegetable Upma Ko Nashte mai Khaye

Vegetable upma South Indian dish hai lekin yeh maharashtra ki bhi lokpriya dish hai. Ise banana kafi aasana hai tatha yeh jaldi bhi ban jati hai. Ise snacks food ke rup mai bhi kha sakte hai.

  • Isme daal ko dala jata hai, jisse aapko protein milta hai.
  • Upma khane par aapka pet jaldi bhar jata hai aur jaldi pach bhi jata hai.
  • Isme kafi sari sabjiya mili hoti hai jinse aapke sharir ko kai poshak tatv milte hai.

 

Kabuli Chane Ka Kare Sevan

Kabuli chane ko raat bhar pani mai bigo kar rakh de, tatha subah khaye aap chahe to chane ko ubal kar bhi kha sakte hai. Kabuli chane mai pyaj,tamatar dalkar ise aur swadisht banaya ja sakta hai. Yeh aapke swasth ke liye kafi faydemand honge.

  • Kabuli chane mai ucch matra mai protein tatha vitamin hote hai.
  • Inhe khane par aapki bhukh niyantrit rahti hai aur pet bhara hua mehsus hota hai.
  • Isme moujud protein aur vitamin sharir ke vasa ko kam karne mai sahayak hota hai.

 

Sprouts aur Corn Flex Khaye

Sprouts yani ki ankurit aahar jinhe khane se aapke sharir ko aavshyak tatva jaise protein, vitamin aadi milte hai. Aap apne nashte mai corn flex bhi shamil kar sakte hai jo bajar mai aasani se milte hai inke sevan se aap pure din urjavan mehsus karenge.
 
Upar aapne jana Healthy Breakfast in Hindi. Har ek aahar ko ek ek din karke kha sakte hai isse aap roj naya aahar kha sakenge tatha aapko healthy breakfast bhi milega. Iss tarah ke aahar se vajan bhi niyantrit rahega aur aap hamesha swasth bane rahenge.

Loading...

This website uses cookies.