Healthy Diwali Gift Ideas – Apno Ke Liye Sehatmand Tohfe

To aakhirkar diwali ka tyohar aa hi gaya. Iss khas din ka ham mahino pehle se taiyariya shuru kar dete hai. Diwali khusiyo ka tyohar hai iss din har koi apni khusiyo ko batne ke liye apne ristedaro aur dosto se milta hai. Iss din ham apne apno ko tohfe bhi dete hai.

Agar tohfe ki baat kare to diwali ke avsar par log mithai, chocolate aadi dena jyada pasand karte hai. Lekin kyu na iss bar kuch alag kiya jaye. Apne apno ko kuch sehat ka fayda diya jaye.

Abhi aapko bajar mai aese tohfe bhi mil jayenge jinhe khane se sehat ko koi nuksan nahi hoga. Sath hi sath ise khane se mithai jaisi chizo ki tarah vajan badhne ka tension bhi nahi rehta hai. Isliye iss tarah ke gifts har kisi ko bahut pasand aate hai. Yadi aapko nahi samajh aa raha hai ki dipawali ke iss khas avsar par aap apne dosto ko kya tohfa de to koi baat nahi. Aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Healthy Diwali Gift Ideas.
 

Healthy Diwali Gift Ideas – Manaye Sehatmand Tyohar

 

 

Phalo Se Bhara Basket

  • Yadi aapke pariwar wale ya dost jinhe aap tohfa de rahe hai wo apne sehat ke prati bahut hi jyada conscious hai to iss bar aap unhe ghee se bani mithai ke jagah phalo se bhara basket de.
  • Seb, strawberries, kele, santre aadi sehat ke liye bahut faydemand phal hai.
  • Iss tarah sehat se bhara tohfa pakar samne wala jarur khus ho jayega.

 

Dry Fruits

  • Sukhe meva diwali ke khas mouke par dene ke liye sabse accha tohfa hai.
  • Sukhe mevo mai badam, kaju, akhroth, kishmish, pista aadi chizo ka mixture aap de sakte hai.
  • Aapko bajar mai sukhe mevo ka box bahut sare aakarshak packing mai mil jata hai.

 

Healthy Cookies

  • Bahut se logo ko cookies bahut pasand aati hai. Aap apne dosto ko tohfe mai cookies bhi de sakte hai.
  • Iss bar aap whole grain se bani cookies ya biscuits tohfe mai de.
  • Yeh biscuits bilkul bhi unhealthy nahi hai, isliye ise bhi aap Best Diwali Gifts for Family maan sakte hai.

 

Yummy Snacks

  • Agar aapke kuch dost aese hai jo dil kholkar khana pasand karte hai aur unhe fruits jaisi chize pasand nahi hai to aap unhe tohfe mai butter de sakte hai.
  • Butter mai aapko kai options mil jayenge jaise nut butter, almond butter, peanut butter, cashew butter aadi.
  • Yeh aap ghar par bana kar de sakte hai ya bajar se redimate kharid kar bhi de sakte hai.
  • Aapke dost unhe kisi bhi tarah ke snacks ke sath kha sakte hai.

 

Dusre Ideas Inhe Bhi Janiye:-

  1. Yadi ham healthy gifts ki baat kar rahe hai to iska matlab yeh nahi hai ki aapko khane pine ki chize hi tohfe mai deni hai aap health se judi anya chize bhi de sakte hai.
  2. Tohfe mai aap body spa ke vouchers de skate hai. Spa karne se kaam ki sari thakan dur ho jati hai aur sharir relax feel karta hai. To tyoharo par bhala isse accha tohfa kya ho sakta hai.
  3. Agar koi apne vajan ko ghatane ke liye bahut jyada mehnat kar raha hai to aese dost ko aap alag alag flavors wali green tea de sakte hai. Yeh wakai samne wale ke liye bahut khas tohfa hoga.
  4. Yadi aap green tea se bhi jyada kuch badhkar dena chahte hai to fitness dvd aadi de sakte hai. Jisme vajan ghatane ke liye diet aur vyayam sambandhi jankari ho.
  5. Yadi aapka koi apna sir dard ya baal jhadne ki samasya se preshan ho to aap use kuch natural herbs se bane massage oil de sakte hai. Yeh tohfa aapke rishtedar aur dosto sabhi ke liye accha hai.
  6. Aap apne bhai ya behan ko fitness Gadget tohfe mai dena chahe to wo bhi bahut hi impressive tohfa hai. Aajkal bajar mai bahut sare fitness gadget moujud hai.

 
Upar aapne jana Healthy Diwali Gift Ideas. To ab der kis baat ki jaldi se apne tohfe taiyar kijiye aur apne dosto aur pariwar walo ka dil khus kar dijiye.

Loading...

This website uses cookies.