Pure vishva mai lagbhag 80% yuva acchi shikha or rojgar ke liye apne ghar se dur rehte hai. Yahi vajah hai ki vyastata ke karan wo healthy food ki bajay fast food khana jayda pasand krte hai. Fast food ka sevan hamare sharir ke liye nuksan dayak hota hai aur iss wajah se unhe swasth se lekar kai samasyao ka samna karna padta hai.
Bahar ke khane main na to saaf safai barti jati hai aur naa hi usme poshak tatva moujud hote hai. Usme yadi kuch upasthit hota hai to wo hai vasa ki matra. Shyad yahi karan hai ki bahar rehne wale bacche kam umar me hi motape ka shikar ho jate hai.
Aur motape ki baat kare to wo koi ikloti bimari nahi hai. Iske wajah se madhumeh, thakan, raktchaap aadi pareshaniya hone ki sambhavana badh jati hai. Iss sab baato ka asar hamare kaam aur anya dincharya par bhi padhta hai.
Isliye Aajkal ki bhag doud bhari jindgi mai acchi sehat ke liye sehatmand aaharo ka sevan karna bahut jaruri hai. Isse aap urjawan rahenge aur aapka sharir bimariyo se dur rehne mai aapki madad karega. Aaiye jante hai aur bhi kai Healthy Food Benefits in Hindi.
Healthy Food Benefits in Hindi: Sharir Ke Liye Faydemand Aahar
Swasth jivan ke liye healthy aadato ka hona jaruri hai. Aur healthy aadato mai healthy food bhi shamil hai. To aaj iss lekh mai ham janenge ki rojmara ki jindgi mai poshak se bharpur khana khane ke kya fayde hai.
Ankurit Anaj
Aapne aksar suna hoga ki din ki shuruwat ek healthy breakfast ke sath karni chahiye. To iske liye ankurit anaj se accha kuch ho hi nahi sakta hai. Aapki acchi sehat ke liye bajar me kai prakar ke ankurit anaj uplabdh hai. Ankurit anaj sharir ke liye protein ka accha strot hote hai.
Ankurit anaj me kai prakar ke protein jaise ki vitamin A, vitamin B, vitamin c, vitamin B1, vitamin B6. Vitamin aur iron, calcium, manganese jaise mahatvapurn khanij paye jate hai. Sprouts ka sevan karne ke liye ise raat me bhigokar ankurit hone ke liye rakh dena chahiye isse ankurit anaj mai vitamin A ki matra 8 guna badh jati hai. Ankurit anaj mai bhut sara protein moujud hota hai jo sharir ko majbut banane or bimariyo se bachane me sahayak hota hai.
Iske atirikt ankurit anaj mai bhut sare aise enzyme hote hai jo sharir ko tandurust or swastha rakhne mai madad karte hai. Taje aur kacche ankurit anaj khana jayda faydemand hota hai, kyoki ise aag par pakane par kai enzyme nashat ho jate hai.
Sabjiya or Phal
Aap jitni rang bhirangi sabjiyo aur phalo ka sevan karenge utna hi aapko health benefits milega. Alag alag phalo aur sabjoyo mai B-keratin, Vitamin B ke sath sath kai vibhinn prakar ke poshak tatav paye jate hai. Inme antioxidant vitamin or minerals bhi hote hai. Jo hamare sharir ki rog pratirodhak shamata ko badate hai.
Hare rang ki sabjiya jaise methi, bhindi, palak, gobhi, se hamare sharir ko vitamin A prapt hota hai. laal rang ki sabjiyo se lycopene nam ka rasayan prapt hota hai jo suraj se aane vali hanikark kirno se hamare sharir ko hone vali shati se bachata hai.
Iske atirikt laal rang ki sabjiya hame uchh raktchap par ankush lagane mai bhi madad karti hai. Wahi pile rang ki sabjiyo mai vitamin C bhut adhik matra mai hota hai. Pile rang ke phal jaise nimbu, pili shimla mirch sharir ki pachan kriya mai sahayak hoti hai.
Safed rang ki sabjiya uchh raktchap ke rogiyo ke liye faydemand hoti hai. Safed rang ki sabjiyo mai calcium, magnesium, Sulfur, iron acchi matra mai milta hai jo hamare liye upyogi hai.
You May Also Like:- Healthy Habits for Life: Janiye Swasth Rahne Ka Raaz
Sukhe Meve
Sukhe meve aakar mai bhale hi abhut chhote hote hai, parntu hamare sharir ke liye yeh bhut gunkari hote hai. Sare chikitsik aur nutritionist k anusar hame rojana ½ katori sukhe meve khana hi chahiye. Yeh hmare dimag ko badhane, baalo or twacha ke liye bhut hi labhdayak hote hai. Sukhe meve mai protein bhi bharpur hota hai.
Yeh swad mai kuch jayda tasty nahi hote hai lekin inme fiber anti-oxidant, vitamin e or selenium bahut matra me hota hai. Sukha meva kai parakar ke hote hai:-
Badam: Sukhe meve ki agar hum baat kare to badam sabse pehle or sabse jayda khaya jane wala sukha meva hai. Badam mai vitamin e paya jaya hai. Yeh sharir ko urja dene ke sath dimagi takat ko bhi badata hai or yaddasht-shakti or ekagrata ko badane mai bhi madad krta hai.
Badam rog-pratirodhak shamta badata hai. Cholesterol ko kam karta hai or monounsaturated fats dil ki bimariyo ko kam karne me bhi madadgar sabit hota hai. Badam khun mai sharkara ki matra ko bhi kam karta hai. Isliye madhumeh se grasit logo ko din mai 4 se 5 badam niyamit roop se khana chahiye.
Kaju: Kaju ko sukhe meve ka raja kaha jata hai. Iska sevan karne se sharir ko takat milti hai. Ye na keval protein or fiber ka uccha strot hota hai balki zinc, salt, magnesium aur iron ka bhi ek accha strot hai. Parantu aapko isko jayada nahi khana chahiye kyoki isse khasi or acidity ki pareshani ho sakti hai.
Pista- Piste ko adhiktar mithaiyo mai istemal kiya jata hai. Yeh swasth ke liye bahut upyogi hai. Isme magnesium, copper aur vitamin B hota hai. Iske sevan se cholesterol aur heart attack se bacha ja sakta hai.
Akhrot – Akhrot manav ke mastiksha ke saman dikhai deta hai. Iske uper ka bhag kaafi kathor hota hai. Isme khanij, antioxidant or vitamin prachur matra mai hota hai. Iska tel khana banane aur dawaiyo ke nirman mai upyog ma liya jata hai. Ise brain food bhi kaha jata hai. Yeh cancer se bachav karta hai. Isme se melatonin namak Harmon nikalta hai jo nind ko aane mai sahayak hota hai. Meat se kahi jyada protein isme paya jata hai.
Kishmish- Kishmish ke sevan se pet ka kabj dur hoti hai. Isse ek badiya antioxidant mana jata hai, jo stamina badhata hai. Yeh Alzheimer jaisi ghambhir bimari se rahat dilane mai bhi upyogi sabit huyi hai. Alzheimer ko bhulne wala rog kehte hai. Iske karan aapki yaadast kamjor hoti hai. Aap bhulne lagte hai bp, sugar ya fir sar mai kai baar chhot lagne se aapko yeh dikkat hone lagti hai.
Iske alawa Kishmish khane se vayu dosh aur cough ki bhi samasya dur hoti hai. Kyoki isme bahut sara iron hota hai. Durbal logo ke liye iska rojana sevan bahut hitkari hai.
Anjeer– Anjeer ek aisa phal hai jo kahi bhi asani se mil jata hai. Iska dam bhale hi jyada hai lekin sehat ke liye yeh kai tarah se faydemand hai. Anjeer ko roj subh nashte mai khane se vajan kam hota hai. Anjeer me potassium hota hai jo ucch raktchaap ko niyantrit rakhne mai sahayak hota hai. Agar aapko kidney stone hai to iska roj sevan karna chaiye. 2 Anjeer ko raat mai pani mai bhigode or karib ek mahine tak suabah uska seven karna chahiye.
Munghphali– Mungphali mai bhi protein bhut adhik matra mai paya jata hai sath hi isme bhi anti-oxidant hote hai. Ek bat jo bahut kam log jante hai ki 100 gram munghphali mai 1 liter dudh ke barabar protein hota hai. Munghaphali ko bhigokar khane se jyada labh milta hai. Munghphali garam hoti hai isliye inhe jayda nahi khana chahiye.
You May Also Like:- Healthy Food for Kids: Baccho Ke Liye Sehatmand Aahar
Protein Bhi Jaruri
Jab ham healthy khane ki baat kar rahe hai to protein ka naam bhi usme jaruri hai. Yeh hamare sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Yeh koshikao ke nirman mai aham bhumika nibahta hai. Aur garbhavati mahilao ke liye to protein bahut hi jaruri hota hai.
Sharir mai protein ki kami ko pura karne ke liye dudh, dahi, ande ki safedi, macchli. Idli dosa, dal chaval, matar, chana, muglphali aadi ka sevan kar sakte hai.
Roj Khaye Dahi
Ek cup sada dahi aapko 450 miligram tak ka calcium pradan karta hai. Iska sevan karne se aapka pachan tantra sahi rehta hai. Yeh haddiya majboot banata hai. Yeh na keval shararik balki sondarya fayde bhi deta hai. Iska sevan karne se aur upar se ise lagane par twacha ka rukhapan dur hota hai. Ek glass lassi aapke tanav ko dur karne mai bhi sahayak hai.
Upar aapne jana Healthy Food Benefits in Hindi. Swasthprad aaharo ka sevan aapkp kai bimariyo se dur rakhta hai. Isliye uprokt batai gayi chizo ko apne aahar mai jarur shamil kare.