Badalte wakt ke sath baccho ki khane ko lekar bhi farmaise badalti jaa rahi hai. Unhe ghar mai banne wali sabji roti to bilkul bhi pasand nahi aati hai. Baccho ko bajar mai milne wala fast food jaise Pizza, chocolate, Burger, ice-cream khana accha lagta hai. Lekin iss tarah ki chize khane se unhe sahi tarah ka poshan nahi mil pata hai.
Shayad aap nahi jante honge lekin poshak tatvo se bharpur aaharo ki aavyashakta bado se jyada baccho ko hoti hai. Darahsal bachpan ke douran hi sharir ka sahi vikash hota hai. Isliye jaruri hai ki unhe sahi matra mai vitamin, protein aur calcium se bharpur bhojan diya jaye Jisse unka shararik vikas sahi tarah ho sake.
Paryapt poshan har bacche ki jarurat hai. Iss ke abhav mai baccho ki haddiya kamjor ho jati hai, ya fir unhe bachpan mai hi kuch bimariya jaise ki motapa hone ka khatra badh jata hai. To aaiye aaj ham aapko batate hai kuch Healthy Food for Kids ke bare mai jinse unki haddiya bhi majbut banegi aur unko sahi matra mai poshak tatva bhi milte rahenge.
Inn Healthy Food Se Baccho Ko Banaye Swasth
Baccho ke Healthy Food List mai nimn poshak tatwo ko jarur shamil hona chahiye. Jisse we swasth reh sake aur unka sahi se vikash ho sake.
Sehatmand Banaye Phal aur Sabji
Phal aur sabjiya dono hi baccho ke swasth ke liye bahut hi upyogi hote hai. Inme bharpur matra mai fiber, vitamin aur khanij paya jata hai. Jo ki Bachho ke vikash karne ke sath-sath unhe sankramn aur aneko bimariyo se bhi bachata hai. Sabjiyo mai mojud antioxidant cancer aur dil ki bimariyo jaisi khatarnak bimariyo se ladane ki kshamta deta hai.
Vitamins Bhi Jaruri
Vitamin A: Kya aap jante hai Vitamin A se bharpur bhojan baccho ko dene se unke kuposhan se marne ki aashanka ko 24 fisadi tak kam kiya ja sakta hai. Isliye 5 saal se kam umra ke baccho ke bhojan mai Vitamin A ki bharpur matra honi chahiye. Vitamin A kai khadya padharto mai paya jata hai jaise ki gajar, aalu, gobhi, palak,tamatar aadi mai. Iski kami hone se Ratondhi (Night Blindness)namak rog hone ki aashanka hoti hai.
Vitamin C: Vitamin C ek aesa healthy food hai jo ki baccho ke sharir ke vikash ke liye bahut hi mahatwapura mana jata hai. Isse yukt aahar jaise santara, tamatar, mosammi, aamala aadi baccho ko jarur dena chahiye.
Calcium
Calcium baccho ke sharir ki haddiyo ko majbut banane ke liye sabse uchit poshak tatva hota hai. Yeh daant aur haddiyo ko majbut banane ke sath sath unke vikash mai bhi sahayak hota hai. Baccho ko khane mai har sabjiyo ke sath dudh (Milk) aur dudh se bane padarth ko awasya shamil karna chahiye.
You May Also Like:- Health Benefits of Yogurt: Dahi Se Paye Sehat aur Sondarya
Iron
Baccho ko Iron yukt bhojan dene se unke sharir mai khoon ki kami kabhi nahi hoti hai. Iron khoon banane ke sath sath concentration power badane mai bhi sahayak hota hai. Isliye Iron yukt tatwa jaise hari pattedar sabjiya, machhli (fish), anda (egg), maas aadi ko baccho ke aahar mai jarur shamil karna chahiye.
Anaj
Baccho ke sharir ke vikash ke liye jitni jyada mahatvapurna sabjiya aur Vitamin yukt bhojan hote hai utna hi jyada mahatwa anaj ka bhi hota hai. Baccho ke din bhar ke khadya padartho mai se kam se kam makka, genhu ka aata, chawal jaise padarth shamil hone chahiye.
Carbohydrate Aur Vasa Yukt Bhojan
Kisi bhi kam ko karne ke liye urja aur calorie ki aawashyakta hoti hai aur iski purti Carbohydrate aur vasa yukt bhojan se hoti hai. Inki kami hone se baccho mai bhook na lagane ki samasya hone lagti hai jisse unke dinbhar ke khane ki matra kam ho jati hai. Isliye Baccho ke sharir ke vikash aur urja ke liye vasa yukt bhojan behad jaruri hai.
Anya Bate Inhe Bhi Jane:
- Bachho ke healthy food habits mai phal jaise Seb, kela, mosammi, santra aadi ko jarur shamil karna chahiye.
- Baccho ke aahar mai protein yukt bhojan block banane mai sahayak hota hai.
- Protien yukt bhojan sharir ki sahi tarah se dekhbhal kar unki marammat karne ka bhi kam karta hai.
- Acche vikash ke liye din mai 4 se 5 baar khana dena chahiye.
- Baccho ke khane mai phalo ke juice ko bhi shamil kare.
- Vitamin B ki kami se Beriberi (Thiamine Deficiency) rog hota ha isliye Vitamin B se bharpur bhojan jaise meet, bread, dudh aur dush se bane anya khadya padartho ko bhi shamil karna chahiye.
- Apne bhojan mai Iodine yukt namak ka istemaal kare. Iski kami hone se thyroid ki problem ho jati hai. Iski kami se Ghengha rog hota hai aur sharir ka sahi tarah se vikash bhi nahi ho pata hai. Isliye Iodine se bharpur namak hi khane mai diya jana chahiye.
- Sooraj ki dhoop Vitamin D ka accha strot mana jata hai. Yeh bhi baccho ke vikash ke liye bahut jaruri hoti hai.
- Subah ke nashte, dopahar ke bhojan aur raat ke khane mai uchit matra mai vitamin aur protein ko shamil karna chahiye.