Healthy Lifestyle in Hindi – Swasth Jeevansheli Ke Liye 10 Tips

Aajkal log swasth jeevan jine ki sirf kalpana hi kar pa rahe hai, kyonki ek dusre se pratiyogita aur jitney ki hod mai vyakti apne swasth aur khanpan par dhyan hi nahi de pa raha hai. Log paisa kamane tatha aaramdyak jindagi jine ke liye kai jaddo jahat kar rahe hai.

Parantu itna karne ke bawjud wo swasth jeevan sheli ko piche chhodte ja rahe hai. Aese mai aajkal ki vyast jindagi mai apne aapko swasth rakhna kisi chunoti se kam nahi hai. Parantu subah jaldi uthna, vyayam karna tatha suddha aahar ko khakar aap apne jeevansheli mai sudhar kar sakte hai.

Kyonki swasth rehne ki shuruwaat aapke sudhha aahar ko khane se hoti hai,  yadi aap apni jeevansheli mai kuch badlav layenge to aap kai bimariyo se bach sakte tatha aapki aayu bhi bad jayegi. To janiye Healthy Lifestyle in Hindi.
 

Healthy Lifestyle in Hindi – Jiye Sehatmand Jindagi

 

 

Tip1: Apni Dincharya mai Vyayam Ko Shamil Kare

  • Apne din ki shuruwat vyayam se kare isse aapke sharir mai rakt ka sanchar badta hai.
  • Aap aakarshak tatha sudol sharir pate hai aur manspeshiya majboot banati hai.
  • Iske alawa sharir mai atirikt charbi nahi jamti hai aur vyakti hemsha fit bana rehta hai.

 

Tip2: Subah Ka Nashta Jarur Kare

  • Vyayam karne ke karib ek se do ghante bad nashta karna chahiye.
  • Fiber yukt aahar ko khaye taki aapka pet der tak bhara rahe aur jaldi pach jaye.
  • Nashte mai hamesha healthy aahar jaise ankurit anaj, phal, oats aadi chijo ko shamil kare.

 

Tip3: Kam Vasa Wale Aahra Ka Chayan Kare

  • Aese aahar ka chunav kare jisme kam vasa tatha fiber ki matra adhik ho.
  • Kam vasa yukt aahar ka sevan karne se vajan nahi badta aur bimariya se duri bani rehti hai.
  • Adhik se adhik phal aur sabjiyo ko apne aahar mai shamil kare kyonki inme vasa ki matra kam hoti hai.
  • Kuch bhi khane pine se pehle hath jarur dhoye, yeh Healthy Habits mai se sabse jaruri hai.

 

Tip4: Madira Ka Sevan Na Kare

  • Sharab ko pine se aapko liver sambandhit samasya ho jati hai.
  • Kai bar jyada sharab pine ki lat se aapko kai bimariya ho sakti hai.
  • Sharab pine se dimagi santulan bhi bigadta hai isliye sharab ka sevan kam kare.
  • Alcohol thodi si matra mai le sakte hai, parantu isse aadat mai shamil naa kare.

 

Tip 5: Bharpur Pani Piye

  • Aapke pure din mai kam se kam 8 se 10 glass pani pina chahiye.
  • Pani ka barabar matra mai sevan karne se sharir mai pani ki kami nahi hoti hai.
  • Pani pine se aap dinbhar fresh feel karte hai aur sharir mai moujud vishakt padarth bhi bahar ho jate hai.

 

Tip 6: Dhumrapan Sambandhi Aadto Se Banaye Duri

  • Dhumrapan karne se cancer rog hone ki sambhavna bad jati hai.
  • Dhumrapan na keval aapki shwas se judi balki dil se judi bimariya bhi ho jati hai.
  • Iske alawa dhumrapan karne se sharir mai taar jam jata hai jo aapko kaafi bimar kar deta hai.
  • Dhumrapan karna na sirf aapke liye apitu aapke aaspas reh rahe logo ke liye bhi hanikark hota hai.
  • Isliye dhumrapan ko na kare ya aap ko uski aadat lag chuki hai to dhumrapan chudwane wale program ka sahara le.

 

Tip 7: Sharirik Gatividhi Banaye Rakhe

  • Aapki dincharya mai shararik gatividhi ko shamil kare jaise sidhi chadna, dance karna, chalna. Isse aap accha mesus karenge aur aap swasth bhi bane rahenge.
  • Iss tarah ki sharirik gatividhi karne se aap kai bimariyo se apne aapko bacha lenge.

 

Tip 8: Bure Khane Ki Aadto Par Lagaye Roktham

  • Healthy Lifestyle Tips mai junk food, fast food jaise aaharo ka naam nahi aata. Isliye inka sevan kam kare.
  • Junk food khane se cholesterol badne ke sath charbi bhi banati hai.
  • Jab baat khane ki aati hai vyakti khud par niyantran nahi kar pata hai, lekin jab tak aap bure khane se khud ko nahi rokenge aap swasth jeevan sheli nahi jee payenge.

 

Tip 9: Namak Ka Sevan Kam Kare

  • Namak ka sevan kam karne par raktchaap sambandhi samasya nahi hoti hai.
  • Namak ka sevan karne par sharir mai sodium ki matra nahi badti hai.

 

Tip 10: Sharir Ki Niyamit Janch Karvaye

Niyamt rup se sharir ki janch karvane par yadi aapko koi bimari hoti hai to uski pehle khabar ho jayegi aur shuruwati dour mai uska illaj kiya ja sakega. Isliye kuch aesi janch hai jinko karvane se aap bimariya se jaldi nipat sakenge.

  • Glucose ki janch ko har saal karvaye.
  • Karib 3 se 5 saal mai hormones ki janch jarur karvaye.
  • Cervical cancer ki janch saal mai ek bar jarur karvana chahiye.
  • Yadi aapko madhumeh ki samasya hai to har 6 mahine mai urine test karvaye.

 
Aapne upar jana Healthy Lifestyle in Hindi. Isme aapko bataya gaya hai ki swasth jeevan jine ke liye aapko kis tarah apni dincharya ko rakhna chahiye jisse aap hamesha swasth bane rahe aur bimariya aapke aaspas bhi nahi bhatkegi.
 

Loading...

This website uses cookies.