Badalti jivan sheli ne hamare sharir ka aakar bhi badal diya hai. Vyayam ki kami, fast food ka sevan, tanav inn sab ke chalte sharir ka motapa badhte jaa raha hai. Iss badte vajan ko lekar aaj bahut se log pareshan hai. Iss vajan ko kam karne ke liye kuch logo ne bhukhe rehana(dieting) to kuch logo ne ghanto jim mai bitana shuru kar diya hai. Par fir bhi unhe man layak parinaam nahi mil paa raha hai.
Ham aapko bata de ki vajan ghatane ki iss rah mai bhukhe rehne se safalta nahi hasil hoti. Iske liye sahi tarike ka khana, subah, sham nasta aur vyayam tino ki jarurat hai.
Shayad aapko jaan kar yakin naa ho raha ho par nashta bhi hamare sharir ko fit rakhne mai aham bhumika nibhata hai. To fir aaj se iss baat ki ganth bandh le, vajan ko kam karne ke liye aapko bhukhe nahi rehna hai, balki apne nashte mai healthy aur poshtik aaharo ko shamil karna hai. To jante hai kuch aise hi Healthy Snacks for Weight Loss jisse aasani se ham apna vajan kam kar sakte hai.
Snacks for Weight Loss: Nashte Mai Kare Inn Aaharo Ka Sevan
Ab jab dieting ka rasta chod kar aapne sahi tarike se apna vajan kam karne ka nirnay bana hi liya hai to ham aapko bata de ki subah ke wakt nashta karna behad faydemand hota hai. Subah nashta karne se sharir ko craving se ladne mai madad milti hai.
Crunchy Popcorn Bade Faydemand
Movie dekhte wakt popcorn khana sabhi ko pasand aata hai. Par shayad hi koi janta hoga ki ise nashte mai lene se yeh hamare vajan ko kam kar sakta hai. Aahar visheshagyon ki shodh ke dwara pata chala hai ki isme prachur matra mai vitamin B paya jata hai. Aur iska pachan bhi sharir mai jaldi ho jata hai. Ise aap apne ghar par bhi taiyar kar sakte hai.
Daliya
Nashte ke liye daliya sabse achha mana jata hai. Isme carbohydrate mojud hota hai jo ki sharir mai vasa ki matra ko badhne nahi deta hai. Isme calorie ki matra kam hoti hai jisse motapa kam hota hai. Yeh uchha fiber bhojan hota hai ise khane se aapko yeh lagega ki sahi tarah se hamara bhojan ho gaya hai.
Nashte Mai Roj Khaye Ande
Kuch sodho se yeh pata chala hai ki roj nashte mai yadi 2 ande khaye jaye to kaafi had tak vajan kam kiya ja sakta hai. Ande mai 5.5 gram protein ki matra hoti hai jo ki hame adhik samay tak bhuk lagne nahi deti. Iske alawa Ande mai Colin namak tatva upasthit hota hai jo ki hamare sharir ki tantrika tantra ke karyo aur hriday sambandhi karyo mai madad karta hai.
You May Also Like:- Diet Chart for Weight Loss in Hindi: 7 Days Mai Vajan Kam Kare
Toast Aur Peanut Butter
Toast par mungafali ka makkhan sabse swasthprad nasto mai se ek hai. Kuch kiye gaye sodho yeh baat sabit hui hai ki jo log nashte mai mungfali ke dane khate hai unme peptide yy, yane puri tarah mehsus karne wala harmone uccha star par paya jata hai. Jisse carbohydrate se bhara dophar ka bhojan khane ke bad bhi unka blood sugar level kam badhta hai.
Oatmeal Ka Sevan
Oatmeal nashte ke liye sabse achha aahar mana jata hai. Inme fiber ki bharpur matra hoti hai. jisse lambe samay tak bhook control rehati hai aur sharir mai energy bani rehti hai. Yeh anajo se milkar bana hota hai jo ki aasani se pach bhi jata hai.
Protein Se Bharpur Nashta
Nashte mai protein se bhare nashte ka sevan karne se aap apni bar-bar bhook lagne ki bimari ko bhi kam kar sake hai. Kuch shodho se pata chala hai ki jo log apne nashte mai protein ka sevan karte hai unhe raat mai bhi bhuk kam lagti hai jo ki vajan aur motape ko kam karne mai madadgar sabit hota hai.
Nashte Mai Flax Ko Apnaye
Nashte mai flax ka sevan karne se ham apne vajan ko aasani se kam kar sakte hai. Isme upasthit protein hamari bhook ki matra ko poora karta hai aur energy bhi deta hai, jisse hame bar-bar bhook nahi lagti. Flax mai carbohydrate aur fiber ki matra adhik payi jati hai aur calorie ki matra kam hoti hai jisse ham apne fat ko aasani se kam kar pate hai.
Dahi Ka Sevan Kare
Dahi khana to sabhi ko pasand hota hai lekin kya aap jante hai yeh hamare vajan ko kam karne mai bhi sahayak hota hai. Isme calcium aur protein ki bharpoor matra hoti hai. Yaha tak ki dietician bhi din mai do bar bina craving ka dahi khane ka bolte hai.
Taje Falo Ka Sevan Kare
Subah ke nashte ke liye sabse achha aahar taje phalo ko mana jata hai. Phal jaise kele, anannas, sevphal aadi mai bharpoor matra mai protein, fiber aur sabhi vitamin paye jate hai jo ki hamare sharir ke liye behad jaruri hote hai. Phalo mai vasa aur calorie ki matra kam hoti hai jisse hamare sharir ka motapa nahi badhta. Vajan kam karne ke liye sevphal sabse achha phal mana jata hai. Phalo ke nashta karne se hame energy to milti hi hai, sath hi hame ise pakane ki bhi jarurat nahi padhti hai.