Vese aaj kal duniya mai har dusra aadmi Heart Attack se grasit ho raha hai. Jisse ke liye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Heart Attack Causes and symptoms. Jisse ki aap iss bimari ke lakshano ko pahchan isse hamesha ke liye bach sakte hai.
Dil ka daura isliye padta hai, ki dil tak khun pahuchane vali aisi ek ya ek se adhik dhmaiyo mai jame vasa ke thakke ke karna rukaavat aa jati hai.
Thakke ke karan khun ka prabhav block jo jata hai. Khun nahi milne se dil ki manspeshiyo mai oxygen ki kami ho jati hai. Iss isthiti ko dil ka daura kaha Jata hai.
Yadi jaldi hi khun ka prabhav theek nahi kiya jaye, to dil ki maspeshiyo ki gati ruk jati hai. Adhikansh logo ki mout dil ke daura ke douran thakke ke fat jane ke vajah se hoti hai.
Heart attack se marne vale kareeb 1/3 marijo ko yeh ptaa nahi hoti hai ki veh rogi aur hospital pahuchne se pahle hi dam tod dete hai.
Iske liye jimmedar ek badha karan yeh hai, ki pahle aaye heart attack ko marij ne pahchana hi na ho. Aisa heart attack, jiske lakshan clear nahi ho ya jinka ptaa hi nahi ho, use Silent heart attack kahte hai.
Heart Attack Symptoms in Hindi, Dil ke Daura ke Lakshan
To chaliye ab hum aapko batate hai Heart Attack Symptoms in Hindi, Jisse ki aapko iss ghatak bimari ke lakshano ko pahchanane mai aasani hogi. Saath hi aap isse aasani se bach bhi sakte hai.
Seene mai Jalan
Seene mai ashjta hona heart attack ka pahla sambhavit lakshan hai. Iss douran dard ki shikayat ho sakti hai. Iske saath hi seene ke kendra mai kuch minutes tak tez davab athva jakdan ka bhi ahsaas ho sakta hai.
Sharir ke Upari Hisse mai Dard
Dard aur ashjta ki yeh istithi chati se lekar aapke kandho, bhujao, kamar, garden, danto athva jabado tak pahuch sakti hai. Itna hi nahi aapke sharir ke upari hisse mai yeh dard seene mai bina kisi ashjta ke bhi ho sakti hai.
Pet mai Dard
Yeh dard niche ko aur badhta huya pet ki maspeshiyo tak pahuch sakta hai. Iss douran aapko apne seene mai jalan ka bhi ahsaas ho sakta hai.
You may also like:- Home Remedies for Stomach Pain (Pet Dard) in Hindi
Saans Ukhadna
Aapko saans ukhadne ki shikayat ho sakti hai. Saath hi aap gahri sans lene lagte hai. Yea pristhiti aamtor par chati mai ashjta se pahle ho sakti hai. Yeh bhi sambhvana hai ki aapko seene mai kisi bhi prakaar ki ashjta ka ahsaas na ho.
Chinta
Aapko khud ko kafi davab athva dukhi mahsus kar skate hai. Yeh bhi sambhavna hai ki aapko iss baat ka ahsaas ho ki aapko bina kisi karan ke panic attack ho sakta hai.
Paseena
Sambhavna yeh bhi ho sakti hai ki, bina kisi karan ke bahut adhik paseena aapne lag jaye. Saath hi aapko thand bhi lagne lage . Aapki twacha chipchipi ho sakti hai.
Matali
Aapko pet mai kafi pareshani ho sakti hai. Ho sakta hai ki aapko ulti jesa ahsaas ho par ulti na ho. Jisse karan aapko matali jesa feel hone lagega.
Adhiktar dil ke doure sukasham lakshano se shuru hote hai. Kai bar sirf ashjta hoti hai, seene mai dard nahi, seene mai drda aate aate rah jata hai. Isliye dhyaan rahe ki apne lakshano ki andekha na kare.
Dil ke doura ke lakshano ke douran iss baare mai 5 minutes se adhik samay tak na soche. Turant ambulance ko phone kare aur chikitsak ki sahayta le.
Heart attack ke lakshan bahut comprehensive hote hai. Kisi vyakti ko seene mai halka dard hota hai, to kisi ko kafi tez pida hoti hai. Lekin ek niyam sabhi roop se lagu hota hai, vah yeh ki agar aapko dil ke doura ka jara bhi abhas ho to bina der kiye doctor se sampark kare. Jese ki:-
- Gardan, Jabde, Upari kamar athva pet mai ashjta
- Saanso ka ukhadna
- Matli ya Pet mai dard athva seene mai jalan
- Sar chakrana
- Bina kisi karan ke thakan
Causes of Heart Attack in Hindi, Dil ke Daura Aneke Mukhaye Karan
Heart attack ke pramukh karan hai, adhunic life style aur chhoti umra mai kaam ka jayad tanav. Vese aaj kal yuvao mai heart attack tezi se bad raha hai. Jaha ek fast food aur kola sanskrati ke badhte jor se diabetes ki sankhaya badhti ja rahi hai. Vahi ucch raktchap, rakt se adhik cholesterol, motapa aadi ki samsaya bhi badhti hai. Vahi sust jivan shaily, asantulitn aahar, smoking tatha sharb ka sevan bhi dil ke rogo ko ke liye jimmedar mana jar aha hai. To chaliye jane Causes of Heart Attack in Hindi.
Anuvanshik Jokhim
Anuvanshik tor par bhartiye mai hamesha se hi dil ke rogo hone ka jokhim adhik hota hai. Yehi karan hai ki America ke mukable bhartiyo ko dil ke rogo ke hone ka jokhim lagbhag 3 se 4 guna jyada hoti hai. Yeh aakaḍa chine ke logo ke mukable 6 juna jyada tatha japanio ki tulna mai 20 guna tak adhik hota hai.
High Blood Pressure
Causes of Heart Attack mai sabse pahla naam High blood pressureka aata hai. Halaki niyamit vyayam se raktchap ko niyantrit kiya ja sakta hai. Vese bahut se log ucch rakt chap ke karan heart attack ke shikar ho jate hai.
Motapa
Motapa ka seedha sambhandh heart ke rogo ke saath hai, Jin logo ke pet par charbi jyada hoti hai, unhe iska jokhim adhik hota hai. Ek study mai yeh baat samne aai hai ki, mote logo ko dil ki bimari se grasit hona padta hai.
Jyada Sharab aur Smoking
Jab koi jarurat se jyada drinking aur smoking karne lagta hai. To yeh bhi ek bahut bada karan hota hai, dil ki bimariyo se grasit hone ka. Ek research mai yeh baat samne aai hai ki, 65 se Saal se kam umra ke 1/3 logo mai Chronic Heart Disease ka mukhaye karan smoking hota hai.
Galat Khan Pan
Heart rogo ka ek bahut bada karan galat khan pan. Agar aap sahi aahar nahi lenge to yeh bhi dil ke doura ka bahut bada karna hota hai. Kyoki dekha gaya hai ki, aaj kal ki busy life mai log aapne khan pan ke baare mai nahi sochte hai, jiske chalte vo log dil ki bimariyo se grasit ho jate hai.
Heart Attract Precaution, Dil ke Daura se Bachne Ke Liye Bartiye Yeh Savdhaniya
Dil ke daure se bachne ke liye heart diseases ke jokhim ke karano kam kiya jaye. Jokhim ke karan jese namak ke sevan, smoking, high blood pressure, bad cholesterol, motapa aadi ko dur kiya jaye. Saath hi dhyan rahe ki agar aapko dil ke rogo se dur rahna hai to sharirik gativiidhiyo ko sakiye rakhna padega.
Iske alwa aapne aahra ko proper lena hoga jismai vitamin, protein B aur C, aur B complex aadi ka sevan karna chahiye.
Upar aapne jane Heart Attack Causes and Symptoms ke baare mai jaruri tathaye. To bas aaj se hi inn bimari ke lakshano aur karano ko pahchan kar isse hamesha ke liye bachiye.
Sabse badi baat ki samay-samay par apna rotine chekup karvaate rahe aur doctor ki pramash bhi lete rahe. Jisse aap hamesha swasth rahenge.
Heart Attack se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.