Hepatitis A, B, C, D aur E Se Jude Kuch Mukhaya Tathaya

Hepatitis bacteria se failne wala infection hai. Jo sidhe aake liver mai infection failate hai. Isme liver ko hani hone ke bad recover hona mushkil ho jata hai. Hepatitis 5 prakaar ke hote hai. Hepatitis A, B, C, D aur E. Filhaal mai duniya mai sabse jyada log hepatitis B aur hepatitis C ke shikar hai. Iss bimari mai sabse badi pareshani yeh hai ki iska pata jaldi nahi lagta, isse ki vyakti badi bimari se grasit ho jata hai. Isliye aaj iss article ke jariye hum aapko batate hai, Hepatitis Symptoms and Treatment.

Ek study ke douran pata chala hai ki khoon chadane ke douran hepatitis sankraman hone ki sambhavna hoti hai. Lagaatar koshisho ke baad bhi expert Hepatitis C ke ke liye koi vaccination nahi banva paye hai. Wese iske A aur B ke liye to vaccination mojud hai. To phir aaiye ab hum aapko iss sabhi prakaar ke bare me batate hai.

Janiye Hepatitis Symptoms and Treatment

Hepatitis Symptoms and Treatment

You may also like:- Appendix Symptoms: Pet me Dard ke Lakshan

Kya hai Hepatitis A

Hepatitis A ek vishanujanit rog hai. Isme liver me sujan ho jati hai aur aisa is bimari ke vishanu ke karan hote hai. Jab liver rakt se bilirubin ko chada nahi pate hai tab hepatitis hota hai.
Halaki yeh bimari ke sabhi roopo me hepatitis A sabse kam gambhir hai. Yeh aisa sankraman rog hai jo rogi ke sampark me aane vale swasth vyakti ko bhi apna shikar bana sakti hai.

Hepatitis A ke failne ke Karan

• Yeh Hepatitis A sankramit vyakti ke sampark me aane ke karan hota hai.
• Example ke liye sankaramit niddle ke istemaal se hota hai.
• Seepdar machali khane se bhi bimari ho sakti hai.
• Dushit pani peene se bhi iska virus sharir me chale jata hai.

Janiye Symptoms of Hepatitis A

• Iske lakshan kuch piliya jese hote hai.
• Bukhar
• Jhunjhuni aana
• Bhuk na lagana
• Khane ko dekh kar jee machalna
• Ulti ya badan dard
• Cigarette peene vale ko tambako se aruchi
• Jab rog aur bad jata hai to pair me sujan bad jati hai tatha jodo me bhi dard rahta hai.

Hepatitis A Treatment

• Saaf safai ka vishesh khayal rakhe aur hepatitis A ka vaccination jarur lagvaye.
• Ashhudh bhojan tatha pani se dur rahe.
• Shauch ke baad pani se haath jarur dhoye.
• Prabhavit vyakti ke rakt, face ya sharir ke nikalne vale dravya ke sampark me aane se bache.
• Bhojan karne se pahle haath acche se dho lijiye.

Hepatitis-A

Source: “diyhealth.com”

Kya hai Hepatitis B

Yeh Hepatitis B type ke virus se hone vali bimari hai. Ise serum hepatitis bhi kaha jata hai. Yeh rog rakt thuk, peshab, aur yoni se hone vale strav ke dwara hoti hai. Drugs lene ke aadi logo me ya ashurkshit youn sambandh banane par ya anya sharirik samabandh rakhane vale ko bhi yeh rog ho jata hai.

Expert ka kahna hai ki unaturally tarike se youn sambandh banana valo ko yeh rog mahavari ki tarah failta hai. Is tarike se hum bol sakte hai ki, A ki comparison me B bahut jyada khatarnak hota hai. Ek server me pata chala hai ki, puri duniya ke 2 arab log hepatitis B se grasit hai.

Vese hepatitis B ke bare me kaha jata hai ki iske ilaaj se badkar hai ki aap iska bache. Iske virus ka pata lagane ke liye bhari rakt prikshan uplabhadh hai aur dawaye bhi hai. Lekin jo log isse grasit nahi unke liye bhi is bimari se bachane ke liye bahut se vaccination aur medicine bajar me milati hai.

Vese Hepatitis B Adhik ashurkshit youn sambandh banane vale ko hota hai. Saath hi unn vyakti ko jo ki liver ki kisi bhi problem se jhujh rahe hai.

Symptoms of Hepatitis B

• Twacha aur aankho ka peelapan
• Gahre rang ka mutra
• Jarurat se jyada thakan
• Ulti aur pet ka dard

Hepatitis B Treatment

• Surakshit youn sambhandh
• Apne sathi se sunishchit kare ya usse puche ki kahi vah hepatitis B se grasit to nahi.
• Aisi niddle ka use kare, jisska pahle use na kiya gaya ho.
• Tooth brush, chuka ya manicure ko kisi bhi vyakti ke saath share na kare
• Hepatitis B Ke injection lagvaye.

Hepatitis B

Source: “hivandhepatitis.com”

Kya hai Hepatitis C

Yadi kisi bhi tarah se hepatitis C virus se sankramit rogi ka rakt aapke blood me mil jaye to aapko bhi hepatitis C ho sakta hai .Puri duniya me is bimari se 12 Crore log grasit ho rahe hai.

Vese iske jayatar lakhshan purusho me dekhe gaye hai. Jarmen me huye ek study ke douran pata chala hai ki is bimari se mahila ke compression me purush jyada grasit hote hai. kyoki mahilao me estrogen namak hormone hota hai jo ki liver ki raksha karta hai.

Vese mahlio me hepatitis c hone ka mukhaye karan hai ki, vo unhi sui ka use karte hai jo ki unke partner ne use kit hi. Ya un medicine ka use karti hai, jo niddle ke jariye sharir me jati hai.

Symptoms of Hepatitis C

• Ulti hona
• Baar baar jee machana
• Bhuk kam lagna
• Bukhar aana
• Pet ke upari bahg ne dard hona
• Piliya se grasit hona

Hepatitis c treatment

Vese hepatitis C ke liye koi bhi vaccination nahi bana hai. Lekin aise log jo is sankraman se grasit ho jate hai, ve sankraman ke pahle 6 mahine ke apne app ko is treatment le kar is bimari se chutkara pa sakte hai.
• Apne ghav ko khula na chhode
• Sharab peena kam kar de
• Medicine ke upkardo ko share na kare
• Aapki Skin me par piercing or tattoo karvana hai to yeh dekh le ki upkar theek tarike se saaf hai ki nahi.

Hepatitis C

Source: “liverdoctor.com”

Kya hai Hepatitis D

Yeh vaha infection hota hai, jo ki hepatitis B se sankramit logo ko hota hai. Isliye Hepatitis D se bachne ke liye Hepatitis B ke nirdesho ko flow kro.

Hepatitis D

Source: “bryanmbrandenburg.com”

Kya Hai Hepatits E

Hepatitis E se sankramit logo ko Hepatitis A ke nirdesho ko flow karna chahiye.

Hepatitis E

Source: “3dciencia.com”

Upar apane jane Hepatitis Symptoms and Treatment. To bas der kis baat agar aap bhi is bimari se grasit hai to iske lakshano ko pahchan kar is bimari se bache aur swasth rahe.

See more details about Hepatitis from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...