Motapa ek gambhir samasya hai aur yeh apne saath kai bimariyo ko lekar aata hai, agar iss par kaabu pane wale saare upay beasar ho gaye ho to humare bataye gaye herbs vajan kam karne me aapki bahut madad kar sakte hai.
Aaiye jante hai kuch aise hi Herbs for Weight Loss in Hindi aur karte hai apne motape ko kam wo bhi bilkul aasan tariko se.
Bhartiya bazaar mai dhero tarah ke herbs aur masale milte hai. Yaha aapko kali mirch se lekar haldi tak sabhi chize aasani se mil jati hai. Inn herbs aur masalo se sehat ko to fayda pahuchta hi hai, saath hi yeh hamare vyanjano me bhi ek khaas kism ka flavor paida karta hai.
Ek study mai pata chalta hai ki herbs aur masale humare sharir ke metabolism ko badhane mai madad karti hai. Yeh humare khan pan ki gunvata badhane ke saath-saath humare vajan ko bhi control karta hai. To agar aap apna vajan kam karne ke bare mai soch rahe hai to apne bhojan mai masalo ka samavesh kare aur swasth rahe.
Kai Pareshani ki Ek Vajah- Motapa
Motapa darasal sharir mai atyadhik fats ka sanchay hai. Yeh humare desh mai tezi se failta ek aam nutritional rog hai. Ek survey ke mutabit isse lagbhag 40 % mahilaye aur 20 % purush pidit hai.
Motapa badne ke kai karan ho sakte hai, jese aniyamit dincharya, kharab khan paan, koi medical samasya ya anuvanshik karan aadi. Iske karan kai gambhir rog jese madhumeh, ucch raktchap aur dil ki samasyae aadi ho sakte hai.
Humare desh ko prakrati ne kamal ke herbs diye hai jinme se kai motape se nipatane mai humari madad kar sakti hai. Herbs aur masalo mai metabolism ko badhane ki kshamta bhi hoti hai. Yeh humare khan paan ki gunvaata ko badhane ke saath humare vajan ko bhi niyantrit rakhte hai. To chaliye jante hai Herbs for Weight Loss in Hindi aur motape ko behatrin tarike se ghatate hai.
Herbs for Weight Loss in Hindi: Kijiye Motapa Kam
-
Haldi ka Istemaal Kare:
Haldi ek kamal ka anti biotic herb hai. Isme vajan kam karne ke kai kamal ke gun paye jate hai. Haldi ka sevan tissue ke nirmann ko kam karta hai. Aur isse sharir mai fats ka kam nirmann hota hai. Haldi ke kisi bhi roop mai niyamit aur santulit sevan se vajan badne ki samasya nahi hoti hai. To haath pile karne ho ya isse pahale fat karna ho, haldi aapke bahut kaam aane wali chiz hai.
-
Ilaichi:
Kamal ki khushboo aur manmohak swad wali ilaichi aapke swasth ke liye bahut hi faydemand hoti hai. Isko masalo ki raani bhi kaha jata hai. Iske sevan se humare metabolism ko durust rakhne mai madad milti hai aur fat burn karne ki bhi kshamta ko bhi badata hai.
-
Dalchini ka Upyog Kare:
Dalchini kafi prachin aur swadisht masala aur herb hai. Yeh khane mai pad jaye to swad ko kamal kar deta hai aur pet ke liye bhi yeh bahut bhi asardar hai. Baat agar Weight Loss ki ho rahi ho to Vajan Kam Karne mai bhi yeh sabse faydemand hai. Yeh aapke blood sugar level ko bhi stith karta hai. Saath hi bhukh lagna kam karta hai aur fat ko tezi se metabolize karta hai.
-
Jeera ka Upyog Kare:
Yeh ek aisi herb hai jo har rasoi me aasani se prapt ho sakti hai. Yeh humare pachan tantra ko behtar banakar hume urjavaan rakhta hai. Itna hi nahi yeh humare immune system ko bhi badhata hai aur motapa kam karne mai madad karta hai.
You may also like: Diet Chart for Weight Loss in Hindi: 7 Days Mai Vajan Kam Kare
-
Kali Mirch Hai Asardar:
Kali mirch bahut hi kamal ki herb hai. Aamtour par har ghar mai istemaal ki jane wali iss herb mai piperine namak yogik hota hai. Yeh yogik humare metabolism ko badhata hai. Saath hi kali mirch humare pachna tantra ko behtar karne ke saath-saath fat ko bhi tezi se burn karne mai madad karti hai.
-
Fit Rahane ke Liye Sarson ka Istemaal Kare:
Sarson ke kamal ka herb hai jo na sirf motapa ghatane mai madad karta hai balki anya kai sharirik samasya mai bhi laabhdayak hota hai. Iska sevan karne se metabolic activity tez hoti hai, jisse vajan kam karne mai madad milti hai.
-
Laal Mirch se Kam Kare Vajan:
Laal mirch mai capsaicin nayak yogik hota hai, jo charbi kam karne ke saath-saath bhukh ke ahsaas ko bhi kam karta hai. Ek study mai pata chala hai ki laal mirch sharir ke metabolism ko badhati hai, jisse adhik se adhik calorie burn ho pati hai.
-
Adrak:
Herbs for Weight Loss in Hindi mai adrak humare sharir ke liye bahut hi laabhdayak hota hai. Darasal pet saaf karne ke liye adrak ko kafi accha mana jata hai. Yeh pachan tantra mai fase huye bhojan ko hatata hai, jisse fat kam jama ho pata hai aur vajan bhi nahi badta hai.
-
Saunf Aapke Pachan Sudharta Hai:
Saunf kafi laabhdayak herb hai. Ise khane se pachan tantra mai sudhar hota hai aur bhukh bhi niyantrit rehti hai. Saath hi yeh liver ki safai bhi karti hai. Atirikt charbi wale logo ke liye iska sevan faydemand ho sakta hai.
-
Poshtikta se Bharpur Nettle Leaf:
Nettle ki pattiya bahut hi poshtik hoti hai. Isme Vitamin C aur A jese anti oxidants moujud hote hai. Isnak sevan karne se khoon saaf hone ke saath atirik charbi bhi burn hoti hai.
-
Vajan Kam Karne ke Liye Gudhal ke Phul:
Gudhal ke phul me chromium, ascorbic acid aur hydroxycitric acid ke saath saath motape se ladne wale kai anya agent paye jate hai. Yeh sharer se charbi ko kam karne mai madad kar sakta hai.
-
Flax Seed:
Flax Seeds bulking agent ka kaam karta hai aur ise khan eke baad aapka pet bhara-bhara lagta hai. Isse aap jyada khana khane se bach sakte hai aur apne vajan par rok laga sakte hai.
-
Isabgol:
Isabgol lena vajan kam karne ka surakshit rasta hai. Isse aap jyada samay tak urjavan rahate hai. Saath hi yeh sadharan carbohydrate ke sokhne ki rate ko bhi kam kar deta hai.
-
Guar Gum Ka Istemaal Kare:
Guar Gum madhumeh ko rokta hai aur vajan kam karne mai bhi madadgar hota hai. Saath hi yeh aapke pachan tantra ko bhi behtar banata hai.
Upar aapne jane kuch aise Herbs jo aapko Weight Loss mai bahut hi faydemand ho sakte hai. Iske sevan se aap apni body ko fit rakh sakte hai. To agar aap bhi apne motape se pareshan hai to inn herbs ko jarur try kijiye aur apna vajan kam kijiye.
Motapa se judi jaruri jankari ke liye click kare yaha par:- Weight Loss.