Ucch rakhchap ek bahut hi khatrnak bimari hai. Jo ki insaan ki jaan tak le sakta hai. Jise ke liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, High Blood Pressure Treatment in Hindi.
Ucch raktchap jisse hypertension ya aambhasha mai hum high BP kahte hai, jo ki ek bhaynkar jaanleva bimari hai. Uccha raktchap ek shant jwalamukhi ki tarah hai, jisse upar se koi lakshan dikahi nahi dete hai par yeh jwalamukhi ek gambhir bimari hai. Yeh jwalamukhi fhatne ke baad sharir par lakva, heart attrack jese gambhir parinaam ho sakte hai.
Heart sharir ke sabhi aango ko nalikao ke dwara rakt pahuchane ka kaam karta hai. Isse rakt pravah ke samay ek dawab paida hota hai, jo rakt nalikao ke internal part par padhta hai. Iss dawab ko raktchap ya blood pressure kahte hai. Raktchap se aapke sharir mai rakt sanrchna mai sahayta milti hai.
Raktchap ko ek upkaran jise Sphygmomanometer kahte hai, ke dwara mapa jata hai. Ek sehadmand aadmi ke liye raktchap sikudne ke samay/ Systolic Blood Pressure 120 mmhg hota hai aur aaram ki isthiti mai Diastolic Blood Pressure 80 mmhg hota hai. Ise aamtor par 120/80 mmhg likha jata hai.
Jab aapka blood pressure 140 mmhg ya isse aur upar Diastolic Blood Pressure 90 mmhg ya isse upar ho jata hai, tab use ucch raktchap kahte hai. Har vyakti ka raktchap partidin aur prati ghante badhta rahta hai.
Symtomps of High Blood Pressure: Ucch Raktchap ke Karan
Kuch samanye lakshan hai, jo ki ucch raktchap ke hone par aapko ho sakte hai. Isliye inhe pahchan kar jaldi hi iska ilaj karvaiye aur swasth rahiye.
- Tez Sar Dard
- Seene mai Dard ya Sunai kam dena
- Najar mai Parivartan
- Chakkar Aana
- Saans lene mai pareshani
- Chehre, haath ya pairo ka achanak sunn padhna, jhunjhuni aana ya kamjori mahsus hona.
- Achanak ghabrahat hona, samjhne ya bolne mai kathinai
- Nigalne mai kathinai
High Blood Pressure Treatment se Bachiye Ucch Raktchap se
Rktveghoshant
100 Gram pani mai addha chammach nimbu nichod ke 2-3 ghante mai piye. Fir apni naak ki baye rom chidra se lagatar addha ghante tak saasn chalaye.Dal chini ki 2 gram matra pani ke saath lijiye. Reedh ki haddi par gili patti bandhe ya chadar mai barf daalkar us par let jaye. Kuch dino tak uble kale chane ki chat masaale tatha chane milkar khaye. Iske atirikt yogaasan tatha pranayam kare, isse aapka blood pressure hamesah control mai rahega.
Aahar Vihar
Pet saaf na ho, to raat mai kareeb 5 gram trifla ko gungune pani se le. Pratidin sare sharir mai til ke tel ki malish kare. Week mai kam se kam 5 din 35 minutes tak tez gati se doud par jaye. Din bhar mai kareeb 3 liter pani jarur pijiye. Gehu, jo aur chana ki mishrit roti khaye. Phal jo aapke liye upyogi hoge vah seb, papita, narngi, tarbuj, kela, amla aadi .Sabjiyo mai safed lauki, tamoto aur gajar , kacche aalu, pyaz aadi laabhkari hote hai. Akhrot tatha raat mai bhigoye huye badam lijiye. Din bhar mai 5 gram se adhik namak na le. To hum bol sakte hai ki. To hum bol sakte hai ki, High Blood Pressure Treatment mai apke khan pan ko vishesh bhumika hoti hai. Aap chahe to Foods that Lower Blood Pressure ko bhi apna sakte hai.
Home Remedies
Iss ucch raktchap se bachne ke liye aap kuch home remedies bhi apna sakte hai. Jo aapki iss bimari se aasni se bacha sakti hai. Saath hi aapko hamesah swasth bhi rakh sakti hai.
You may also like:- Home Remedies for Blood Pressure: High BP Ka Rakhe Khayal
Upyogi Gharelu Nuskhe
Pyaz ka ras tatha shahad barabar matra mai milakar 10 gram mai le. Kisi bhi roop se lahsun ki 4 e5 kaliya pratidin le. Raat mai khaskhas ke beez tatha tarbuj ke beez ki 5-5 gram matra thode se dudh mai piskar khaye. Upar se ek gilaas dudh tatha ek seb le sakte hai. Amla chund mishrit chun milkar rojana khaye. Raktchap dheere -dheere theek ho jayega.
Apni Dincharye mai Sudhar
Apne din charye mai sudhar kijiye. Jese samay par sona apna dhyan rakhna. Bina doctor ke pramarsh ke koi bhi dawa ka sevan na kijiye. Hamesha apne khan- pan ka khas khayal rakhe. Kyoki aapke high BP ke liye aapka aahar ek mukhaye karan ho sakta hai.
Doctor ki Salah
Dhyan rahe ki high BP ke koi bhi lakshan dikhai dene par aap turant doctor se sampark kare. Saath hi apna routine chekupo jarur karte rahe, Jise aapko iss bimari se bachne mai aasani hogi. High Blood Pressure Treatment mai doctor ki salah bahut jaruri hoti hai.
Side effect of High Blood Pressure
Ucch rakt chap ke kai side effect ho sakte hai. Aapke rakt chap ke liye aapki rakt vahikao mai prabhavit hona jitna kathin hoga aapke raktchap ki sankhya utni hi ucch hogi. Aapka heart ko ucch raktchap ke karan samanye kaam karna padta hai. Ucch raktchap ke karan dil ka doura(heart attarck), gurde ka kaam na karna(kidney failure) aur rakt vahikao ka kathor hone jese gambhir rog ho sakate hai.
Upar apne jane High Blood Pressure Treatment in Hindi. To bas der ki baat ki aaj se bataye gaye tips ke dwara apne ucch raktchap ko niyantrit kijiye aur hamesha swasth rahiye.