Garbhavastha har mahila ke liye najuk samay hota hai. Kyoki iss douran mahila ke andar ek nanhi si jaan pal rahi hoti hai. Garbhavati mahila ke andar shishu ka vikas ho raha hota hai, iss karan mahila ke andar kai saare parivartan hote rehte hai.
Iss samay hone wali thodi bahut dikkato aur pareshaniyo ko samanya mana jata hai. Lekin iss samay mai ucch raktchaap ka adhik hona maa ke sath sath, shishu ko bhi prabhavit kar sakta hai.
Jab garbhavati mahila ka raktchaap 140/90 se upar chala jaye to yeh gambheer samasya ho sakti hai. Kyonki bada hua rakt chaap kai aur samasya ko nyota deta hai. Kaafi samay se dekha ja raha hai ki bade huye raktchaap ke karan garbhavati mahila ko dil ki bimari ya bacche ko janam dene ke samay khatre ka samna karna padta hai.
Bade huye raktchaap ke karan garbhavati mahila ke hath pair mai sujan, sar dard aadi lakshan dikhai dete hai. Iss samasya ke karan maa aur bacche ka swasth aur mritu dar dono hi prabhavit hote hai. To aaiye Hypertension in Pregnancy lekh ke dwara iss puri avstha ki jankari le aur iss samsaya ke hone se pehle hi satarak ho jaye.
Hypertension in Pregnancy – Jane Iske Lakshan aur Upchar
Hypertension Symptoms during Pregnancy: Raktchaap Ke Lakshan
Garbhavastha ke samay rakt chaap ka badne par hath pairo mai sujan aana, peshab ke sath protein aana aadi lakshan dikhai dete hai. Isliye jab bhi iss tarah ki koi samasya aaye to khun, peshab aur pairo mai aane wali sujan ki janch karvaye
Kai bar garbhavati maa ko jee ghabrana, chakkar aana aadi ke lakshan bhi dikhai dete hai. Yeh samasya adhikatar prasav ke samay dekhne ko milti hai lekin kai baar yeh kisi bhi samay ho sakti hai agar iska sahi samay par illaj nahi hua to maa aur hone wale bacche ko khatra ho sakta hai.
Garbhavati mahila ke panchve mahine ya 20 hafte bad raktchaap ka badna sabse mahatvapurn lakshan hai. Iss samay mahila ke pairo aur chehre pe sabse jyada sujan aati hai jo aasani se kam nahi hoti. Signs of High Blood Pressure ko pehchankar jald hi iska upchar kiya ja sakta hai.
You may also like:- Yoga for High Blood Pressure in Hindi: Uchh Raktchap Ke Liye
Gharelu Upayo Dwara Upchar:-
Lahsun Ko Sevan Kare
Garbhavati mahila ke liye lahsun ka sevan karna bahut accha hota hai kyonki isme anti cholesterol gun hota hai. Yadi aap ise niyamit rup se khayenge to aapka uccha raktchaap niyantrit rahega tatha ye nabj ki gati ko bhi dhima karta hai. Iske alawa yeh chakkar aana, sanso ki gati mai bhi aaram pahuchana aadi mai faydemand hai. Yeh sabhi samasya garbhavati mahilao mai samanya rup se bani rehti hai.
Niyamit Yog Ka Abhyas
Niyamit rup se yoga ka abhyas karna garbhavati mahila ke liye bahut accha hota hai kyonki ise karne se ucch raktchaap ko niyantrit karne mai madad milti hai. Tatha gehri saanso ka abhyas karne se mansik tanav kam hota hai aur rakt ka dabav kam hota hai. Iss samay sukhasana aur savasana ko karne se ucch raktchaap ki samasya mai aaram milta hai. Yoga during Pregnancy aur bhi kai labh pahuchata hai.
Namak Ka Sevan Kam Kare
Iss avastha mai garbhavati mahila ko namak ka sevan kam karna chahiye kyonki jyada namak ke sevan se ucch rakhchaap ki samasya bad jati hai. Isliye 3 gm se jyada namak ka sevan na kare tatha aapke namak khane ki matra par dhyaan rakhe ki kahi aap jyada namak to nahi kha rahe hai.
Hari Sabjiyo Ka Ras Piye
Grabhavati mahila ko taral padartho ko aapni aadto mai shamil karna chahiye kyonki blood pressure ko kam karne ke liye yeh sabse accha upay hota hai. Hari sabjiyo ka ras jaise karela, palak, kheera, kakdi aadi ko bina shakkar aur namak ke piye isse aapko kaafi fayda milega.
Poshak Tatvo Se Bharpur Aahar Le
Aese samay mai aap jitne poshak tatvo ka sevan karenge aapke liye bahut faydemand hoga. Iska fayda na sirf aapko apitu aapke bacche ko bhi milega. Isliye akhroat, soybean, alsi, aur palak ka sevan kare. Inn sab se alpha linolenic acid milta hai. Jo ki uccha raktchaap mai bahut accha hota hai.
Cocoa Ka Sevan Kare
Ucch raktchaap ki samasya mai cocoa bahut faydemand hoga kyonki cocoa nitric oxide ke utpadan ko badata hai. Jo hriday, mastishk, aur anya ango tak khun ka bahav tej karta hai. Isliye nitamit rup se 5 cup garam cocoa ka sevan ucch raktchaap ki samssya se rahat milti hai. Iske alawa isme antioxidant tatva tatha sujan ko dur karne ke gun bhi hote hai.
You may also like:- High Blood Pressure Diet in Hindi: Uccha Raktchaap aur Aahar
Machhali Ka Sevan
Kuch machhliya jaise salmon machhali, sardine machhali, ya cod machhali ka sevan garbhavati mahila ko karna chahiye. Kyonki inn machhaliyo mai omega 3 fatty acid bharpur matra mai paya jata hai, jo maa aur hone wale bacche ke liye bahut accha hota hai. Iske alawa ucch raktchaap ko niyantrit karne mai sahayak hota hai.
Jane Kuch Anya Tarike
- Rojana kam se kam 30 minute pedal tehalna aapke liye bahut accha hoga.
- Malaidar dudh, makkhan, ghee, tel aur mansahari chijo ka sevan naa kare.
- Bhavnatmak tanav ko apne se dur rakhe kyonki yeh ucch raktchaap ko bada sakta hai.
- Samanya se adhik pareshani hone par turant doctor ki salah le aur janch karwaye.
- Man ko shant rakhne wale sangeet ko sune, baccho ke sath khele, picture dekhe aadi se man shant rahega aur uchh raktchaap nahi badega.
Upar aapne jana Hypertension in Pregnancy. Yadi aap garbhavati hai aur aapko uccha raktchaap ki samasya hai to upar diye gaye sudhav ko samjhe aur chikitsak ka paramarsh jarur le.