Back Pain (Kamar Dard) ki samasya aajkal aam ho gayi hai. Sirf badi age ke log hi nahi balki yuva bhi kamar dard ki shikayat karte rahte hai. Badhti age ke saath backache ki problem bhi badhti jaati hai. Backache ki samasya se nijat pane ke liye aapko apni kuch aadate badalna padegi. Aaiye hum aapko batate hai kuch Home Remedies for Back Pain.
Adhiktar logo ko kamar ke Madhya ya nichle bhaag mai dard mahsoos hota hai. Yeh dard kamar ke dono aur tatha kulho tak bhi fail sakta hai. Badhti umra ke saath kamar dard ki samasya badhti jati hai. Kuch aadato ko badalkar isse bacha ja sakta hai.
Kyo Hota Hai Kamar Dard: Back Pain Hone ke Karan
- Mashpeshiyo mai atyadhik tanav hona.
- Bahut adhik weight hona.
- Galat tarike se baithna.
You may also like:- Slip Disc Treatment in Hindi: Isse Bachane Ke Upchar
- Hamesha high heels ki sandal pahan na.
- Galat tarike se adhik weight uthana.
- Body me lambe samay se bimariyo ka hona
- Adhik naram gaddo par sona
Yeh sabhi kaarano ki wajah se aapko Back Pain ki problem ho sakti hai. Ab hum aapko batane jaa rahe hai Home Remedies for Back Pain: –
Kamar Dard Se Bachne Ke Gharelu Nuskhe
Lahsun se Backache ka Ilaj:-
Roz subah sarson ya nariyal ke tel mai lahsun ki 3, 4 kaliya daalkar garam karle. Thanda hone par iss tel se kamar ki malish karle.
Garam Pani + Namak:-
Garam pani mai namak milaye. Ab uss garam pani mai towel daalkar nichod le. Iske baad stomach ke bal let jaye. Dard ki jagah par towel lagakar usse bhaap le. Kamar Dard se bachne ka yeh bahut accha solution hai.
Namak:-
Kadhai mai namak daalkar ise acchi tarah se sek le. Iss namak ko ab kisi cotton ke kapde mai rakhkar ek potli bandh le. Kamar par iss potli se sek karne se aapki back pain ki samasya kaafi had tak dur hogi.
Ajwain:-
Ajwain ko sek kar roz uska sevan karne se backache ki problem dur ho jayegi.
Yoga:-
Daily yoga karne se bhi back pain aur dusri bahut si samasyao ka samadhan hota hai. Backache ke sabhi asana kisi trainer ke under mai hi kare.
Inn sabhi upayo ko apnakar aap Backache (Kamar Dard) se nijaat paa sakte hai. To kamar dard hone par inme se koi bhi gharelu nuskha follow kare aur back pain ki samasya ko bhagaye.
See more details of Kamar Dard from Home Remedies.