Kuch hi dino mai hinduo ka pramukh tyohar diwali aa jayega. Diwali ke mahino pahle ghar ko sundar banane ke liye saaf safai aur putai shuru ho jati hai. Saaf safai karke ghar to sundar ho jata hai, lekin iss bich dhul mitti se mahilao ki twacha ka haal jarur kharab ho jata hai.
Isliye tyohar aane ke samay mahilaye parlour jakar beauty treatment leti hai. Jisse kuch din to unke chehre par glow aa jata hai, lekin treatment ka asar khatam hote hi wapis chehre ke wahi haal ho jate hai.
Yahi wajah hai ki gharelu upchar ki tulna koi nahi kar sakta hai. Bhale hi inka asar thoda dhire hota hai. lekin yeh lambe samay tak aapke chehre par dikhai deta hai. Diwali ke tyohar ko dhyan mai rakhte huye ham aapko aaj bata rahe hai Home Remedies for Beauty jiski madad se aap sirf diwali par hi nahi uske kuch dino baad tak bhi khubsurat najar aa sakte hai.
Home Remedies for Beauty: Baalo aur Twacha Ke Liye
Tyoharo ke season hai to aapko iss bar sirf apne kapdo par hi nahi khud par hi dhyan dena hoga. Tabhi to aap lag payenge behad khubsurat. Aaiye jante hai kaise?
Haldi aur Besan – Chehra Gora Banaye
Jaisa ki ham jante hai hamare desh mai gori twacha ko bahut tavajjo di jati hai. Aur yadi aap bhi chahte hai ki aapka rang thoda aur gora ho jaye to aaj se hi haldi aur besan ka facepack lagana shuru kar de. Yeh bahut hi prabhavi Fairness Treatment at Home hai.
- Kacche dudh mai thoda besan aur chutki bhar haldi dalkar ghol bana de.
- 20 minute ke liye chehre par laga ke rakhe, fir gungune pani se dho le.
- Yeh facepack na keval aapko gora rang deta hai balki isse muhase ke daag bhi kam hote hai.
Shahad aur Gulabjal – Chehre Par Chamak Laye
Rangat kitni hi gori ho, lekin yadi aapke chehre par chamak nahi ho to aap hi bataiye kya aap khubsurat dikh payegi? Nahi.. Aapke outfit ke sath sath aapke chehre par bhi chamak hona jaruri hai.
- Iske liye aapko jyada kuch nahi karna hai. Ek katori mai thoda sa shahad aur gulabjal le le.
- Inn dono ke mishran ko aadhe ghante ke liye chehre par laga kar rakhe.
- Saaf pani se chehra dho le, aur halke hatho se mulayam towel se chehre ponch le.
Aloe vera – Baalo Ko Mulayam Banaye
Khubsurat dikhne mai acche baal aham bhumika nibhate hai. Isliye aapko apne baalo ka bhi khayal rakhna padega. Aloe vera for Hair Care se behtar shayad hi aapko kuch milega. Yeh aapke baalo ko mulayam to banata hi hai, sath hi yeh baalo ki growth mai bhi madad karta hai.
- Iske liye taje aloe vera le, aapko bahar ki pattiya hatakar andar ke jel ka istemal karna hai.
- Baal dhone se pehle thode se tel mai aloe vera jel milakar acche se pure baalo mai laga le.
- 1 ghanta ise lage rehne de aur shampoo se baalo ko dho le.
- Jis wakt aap aloe vera ko baalo mai tel ke sath lagayenge. Usi wakt thoda sa aloe vera jel aadhe glass pani mai bharkar rakh de.
- Shampoo se baal dhone ke bad, aloe vera wale pani se baalo ko dho le. 5 minute bad saaf pani baalo par dale.
- Aapke baal itne mulyam ho jayenge, aap khud fark mehsus karenge.
Khira Kakdi – Aankho Ki Thakan Dur Kare
Thaki hui aankhe aapka pura look kharab kar deti hai. Isliye aap chahe kitni bhi busy rahe, iska khayal rakhna na bhule.
- Thaki hui aankho ko relief dene ke liye us par thande khira kakdi ke tukde rakhe.
- Isse aapko aankho mai bahut aaram bhi mehsus hoga aur aankhe thaki hui bhi nahi dikhegi.
- Yadi aapke paas kakdi moujud nahi bhi hai to aap kaccha dudh thanda hone ke liye freeze mai rakh de. Aur usme rui ke fahe dubokar aankho par rakhe.
Gulabjal – Gulabi Nikhar Ke Liye
Har koi chahta hai ki use gulabo sa nikhar mile. Aap bhi ise paa sakte hai. Gulabo sa nikhar pane ke liye rui mai thoda sa gulabjal lekar ise raat ko sone se pehle pure chehre par laga le. Kuch dino ke istemal se hi aapke chehre par gulabi glow aa jayega. Isse chehra fresh bhi dikhta hai.
Ek Najar mai Dekhe:-
Samagri | Lagane Ka Samay |
---|---|
Haldi aur Besan | 20 minute |
Shahad aur Gulabjal | 3o minute |
Aloe vera | 1 ghanta |
Khira Kakdi | 15 minute |
Gulabjal | Raat Bhar |
Upar aapne jana Home Remedies for Beauty. Abhi diwali ko kuch din hi rah gaye hai. Isliye aaj se hi apne dekhbhal ki shuruwat kar de.