Agar chote bacche nind mai peshab kar bistar gila kar dete hai to yeh samanya baat hai. Lekin yadi 5 saal ki umra ke baad bhi yadi we aesa karte hai to yeh sahi baat nahi hai. Har maa ke liye bhi yeh ek badi samasya ho jati hai.
Kai baccho ko iske liye siksha di jati hai ki wo aesa na kare. Aese mai kuch bacche to yeh sikh jate hai. Lekin siksha den eke bawjud bhi kuch bacche iss chiz par kabu nahi kar pate hai.
Aese mai kai bar to dekha gaya hai ki yeh samasya pandrah saal ke upar tak bhi chali jati hai. Jisse maa to pareshan hoti hi hai aur baccho ko bhi accha feel nahi hota hai.
Aapko sunne mai thoda ajib lage lekin kuch vayask purusho mai bhi yeh samasya ho jati hai. Iske piche kai karan hote hai, jaise ki bhayabnak sapne dekhna. Bacche ho ya bade yeh samasya sharmshar kar deti hai. Isliye iske liye upay karna jaruri hai. Aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Bed Wetting.
Home Remedies for Bed Wetting in Hindi: Baccho Ke Bistar Gila Karne Par
Faydemena Hai Kela
- Kela aapke pet ke liye faydemand hota hai. Isliye kele ki madad se bhi yeh samasya mai kami dekhne ko milti hai.
- Baccho ko din mai do pake kele khane ke liye de. Ek kela raat ke samay aur ek kela din ke samay.
- Iske sath mai hi baccho ko raat mai sone jane se pehle bathroom karke sone ki aadat dale.
- Baccho ko iske liye datne se pehle Bed Wetting Causes janne ki koshish kare.
Akhroth
- Akhroth ki madad se bhi bistar gila karne ki aadat dur ho jati hai. Ise aap din mai kisi bhi wakt kha sakte hai.
- Isse peshab karne ki aadat ek dum se to nahi band hoti hai. Lekin iska sevan karte rehne se dhire dhire kam hoti hai, fir band ho jati hai.
- Akhroth swasthya ke liye faydemand hai, isliye iska sevan karne se aapko anya fayde bhi milte hai.
Vyayam
- Vyayam bhi iss samasya se nijat dilane ka ek accha tarika hai. Iss mamle mai aap apne chikitsak se salah le.
- Aapka chikitsak aapko bladder ke vyayam ke bare mai batayega. Kyoki bistar par peshab karne ka mukhya karan bladder ka thik tarike se kaam na karna hai.
- Vyayam karne se aapke bladder ka acchi tarike se vyayam ho jata hai. Jiske chalte aap thik se peshab kar pate hai aur raat ke samay fir peshab nahi aati hai.
Kishmish
- Kishmish bahut hi gunkari hoti hai. Aapne bhi iske guno ke bare mai jarur suna hoga.
- Bhukhar ya kamjori mai to kishmish khayi jati hi hai sath hi sath yeh bistar gila karne ki samasya se chutkara dilane mai bhi madadgar hai.
- Agar ab aap iss aadat se nijat pana chahte hai to roj subah khali pet iska sevan shuru kar de. Raat mai bhigona na bhule.
Jaitun Ka Tel
- Jaitun ke tel ko ek bade chammach mai lekar, gas ki aanch par rakhe aur halka gunguna kar le.
- Iss tel se pet ke nichle hisse mai malish kare. Jab tak tel twacha mai sama nahi jata, tab tak malish kare.
- Isse bacche ke mutra rokne ki stithi mai sudhar hoga.
Anya Tarike Inhe Bhi Janiye:-
- Kuch bacche tanav ke chalte bhi raat mai bistar gila kar dete hai. Aese baccho ko aap yadi datenge to yeh aadat sudhregi nahi, iske liye unhe aapko pyar se samjhana hoga.
- Sone se pehle ek chammach shahad ke prayog se bhi iss samasya par niyantran paya ja sakta hai. Yeh child aur adult bedwetting dono mai sahayak hai.
- Bistar gila karne ki wajah madhumeh bhi ho sakta hai. Yadi maa aur pita dono ko yeh samasya hai aur bacche mai bhi madhumeh ke lakshan dikh rahe hai jaise ki bar bar pesab aana, bahut pyas lagna aadi. To aapko doctor se sampark karna chahiye.
- Bajar mai nami sanketak namak upkaran milta hai. Jo baccho ke paint mai lagaya jata hai. Yadi baccha thodi si bhi pesab karta hai to yeh bajane lagta hai.
- Fir bacche ko uthakar pesab kara sakte hai. Iss upkaran ke istemal ke bad adhiktar mamlo mai dekha gaya hai ki bacche bistar gila karne ki aadat ko chod dete hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Bed Wetting in Hindi. Iss samasya ko chipane ki jagah, jald se jald iska upchar karne ki koshish kare. Yadi upar bataye gaye gharelu upayo se aapko madad nahi milti hai to bina der kiye chikitsak se sampark kare.