Home Remedies for Blemishes: Daag-Dhabbe Hatane ke Tarike

Yuvavastha mai hormones mai parivartan aur asantulan ke karan muhaso ka aana koi badi bat nahi hai.Kuch wakt baad yeh muhase to chalte jate hai lekin inke daag chhut jate hai. Yeh jiddi dag aasani se nahi jate aur inki wajah se chehra kala dikhai deta hai.

Aajkal har koi sundar aur khubsoorat twacha chahte hai, lekin sahi bat to yeh hai ki acchi twacha ko maintain rakhna bahut mushkil hota hai. Kya aap jante hai ki Twacha ko swasth banaye rakhne ke liye, jab bhi kahi bahar se aaye to chehre ko acchi tarah dhona chahiye? Lekin bahut si ladkiya aesi hoti hai jo ki aesa nahi karti hai.

Iske alava jab bhi chehre ka makeup kiya jata hai to ladkiya raat mai chehr eko dhoti nahi hai. Aesa na karne se twacha ke rom chhidro se creams aur chemicals andar pravesh kar jate hai jo ki muhaso aur pimples ka karan bante hai.

Muhase ke daag-dhabbo ko hatane ke liye log bahut se upaye karte hai. Lekin unn sabhi tariko se kuch logo ke chehre ki twacha par side effect bhi pad sakta hai. Aese mai gharelu tarike bahut hi faydemand hote hai. To aaiye padhe Home Remedies for Blemishes aur banaye chehre ko daag rahit.
 

You may also like:- Yoga for Acne in Hindi: Abhyas Se Paye Dag Rahit Twacha

 

Home Remedies for Blemishes: Gharelu Tariko Se Paye Khubsoorat Chehra

 

 
Jab muhaso ki wajah se chehre par daag aur dhabbe pad jate hai inhe ho blemishes kaha jata hai. Inhe dur karne ke liye yaha padhiye kuch gharelu tarike.
 

Aloe-Vera

Chehre ke daag ko hatane ke liye aloe-vera bahut hi asardari aur prakratik upay hai. Aloe-vera ek jana mana paudha hai jisse gel jaisa padarth nikalta hai. Yeh gel twacha ki sundarta ko badhane ke liye kai tarike se madad karti hai. Ise lagane se yeh chehre ki nayi koshikao ka nirman karta hai sath hi chehre ki ashuddhiyo aur acne se judi sabhi samasyao se nijad dilata hai.

Aloe-vera ke pedh ko aap apne ghar par gamle mai bhi laga sakte hai. Ise lagane ke liye sabse pehle aloe-vera ko tod le aur uski patti se gel ko nikal le. Iss gel ko ab apne chehre ke muhaso, daag aur dhabbo par lagaye. Iske alava aap aloe-vera ke gel mai nimbu ke ras ko milakar bhi chehre par laga sakte hai. Ise lagane ke 15 minute ke bad chehre ko acchi tarah se dho le.
 

Kele Ke Chilke Ka Prayog Kare

Kela hamare swasth ke liye bahut faydemand hota hai. Lekin kya aap jante hai ki iska chilka hamare chehre ki sundarta ko badhane mai madad karta hai? Jee haa chehre ke daag aur dhabbo ko dur karne mai kele ka chilka bahut sahayak hota hai.

Isko prayog mai lane ke liye sabse pehle kele ke chilke ko le ab iske andar ke safed bhag se chehre par ragde. Fir 10 minute ke bad chehre ko pani se acche se dho le.
 

Seb Ka Sirka

Seb ka sirka to har kisi ke pas mil hi jata hai. Chehre se daag ko hatane mai yeh bahut karagar sabit hota hai. Isme upasthit alpha-hydroxide acid twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Yeh acid twacha ki sabhi parto par prabhavi tarike se kam karta hai. Sath hi dhul, mitti aur ashuddhi ko bhi dur karta hai.

Seb ke sirke mai antibacterial gun hote hai sath hi yeh jalanrodhi bhi hote hai. Iss wajeh se iske prayog se chehre ka ph star bhi niyantrit rehta hai. Ise lagane ke liye 3 chammach pani mai 1 chammach seb ka sirka milaye. Ab ise rui ki sahayata se apne chehre ke daag-dhabbo aur muhaso par lagaye. Ise lagane ke 15 minute ke bad chehre ko pani se dho le. Aesa rojana karne se chehre se gandgi dur hoti hai aur chehra chamakdar dikhayi deta hai.
 

Santare Ka Chilka

Santre mai vitamin C ki bahut adhik matra payi jati hai jo ki twacha ko kai prakar ke rogo se bachane mai sahayak hota hai. Santare ke sath-sath iske chilke ka prayog chehre ko saaf aur sundar banane mai kiya jata hai. Iska prayog karne ke liye ek santara le aur uska chhilka nikal kar dhup mai acchi tarah se sukha le. Ab sukhe huye chhilke ko piskar uska powder bana le.

Ab ek bartan mai ek chammach shahad, barabar matra mai dahi aur ek chammach santare ke chhilke ke powder ko dale aur acchi tarah se milaye. Fir chehra sukhne ke bad chehre ko pani se dho le. Aesa karne se chehre ke sabhi daag aur dhabbe khatam ho jate hai aur chehra glow karne lagta hai.
 

You may also like:- Acne Scar Removal in Hindi: Chehre Ke Daag Dhabbe Hataye

 

Khire Ka Prayog Kare

Khire ka prayog twacha ko saaf-suthra banane mai kiya jata hai. Iska prayog karne ke liye sabse pehle aadhe khire ko le aur uske chote-chote tukde kar le. Ab inn tukdo ko acchi tarah se pees le aur iska paste taiyar kar le. Ab iss paste mai nimbu ka ras milaye aur chehre ke muhaso, daag aur dhabbo par laga le. Iss paste ko chehre par 10 minute tak rakhkar thande pani se chehra dho le.
 

Strawberry Bhi Hai Faydemand

Chehre ki ronak ko badhane mai strawberry ka bahut bada yogdan hota hai. Sath hi yeh chehre ke rang ko gora bhi karta hai. Iske alava iska prayog karne se chehre ki sabhi ashuddhi dur ho jati hai. Yeh kai prakar ke poshak tatv aur anti-oxidant se bharpur hota hai jisse yeh twacha ki sahi tarah se saaf-safai karne mai sahayak hota hai.

Iska prayog karne ke liye sabse pehle 3 strawberries ko acchi tarah se pees le. Ab isme 2 chammach dahi aur 1 chammach shahad ko milaye. Ab iss paste ko apne chehre ke daag aur dhabbo par lagaye. Fir ise 10 se 15 minute tak rakhne ke pashchat thande pani se dho le. Ise chehre se hatane ke liye garm kapde ka bhi prayog kar sakte hai.
 

Natural Home Remedies for Blemishes: Prakratik Upayo Ko Bhi Apnaye

 

Nimbu Ka Prayog Kare

Nimbu mai vitamin c ki bahut adhik matra hone kr karan yeh hamari twacha se rangheenta ko dur kar use chamak dene mai madad karta hai. Chehre ke daag aur dhabbo ko dur karne mai yeh ek kargar aushdhi ka kam karta hai. Iska prayog karne ke liye aap ise seedhe chehre ke daag aur dhabbo par laga sakte hai. Iske alava sukhe nimbu aur santare ke chhilke ka mishran bhi chehre se ashudhhiyo ko dur karne mai madad karta hai.
 

Tamatar Ka Ras

Tamatar ke ras mai bleaching ke gun moujud hote hai. Sath hi yeh twacha ke liye accha toner ka bhi kam karta hai. Iska prayog karne ke liye taje tamatar ke ras ko chehre par laga le. Aesa karne se chehre ki ashuddhi dur hoti hai aur nikhar vaapas aa jata hai.
 

Multani Mitti Ka Prayog Kare

Prachin samay se hi multani mitti ka prayog sundarta ko badhane ke liye kiya ja raha hai. Isme upasthit magnesium twacha ki sahi tarah se saaf safai kar chehre ko nikharne mai madad karta hai. Iske alava multani mitti se bane paste ko chehre par lagane se chehre ki mrit koshikao, tteliya twacha aur gandagi se chutkara milta hai.
 

Dahi Nikhare Chehre Ki Rangat

Dahi mai twaha ke daag aur dhabbo ko dur karne ka gun hota hai. Iska prayog karne ke liye dahi aur daliye ke mishran se bane huye face mask ka prayog kare. Aesa karne se daag- dhabbo se chhutkara milta hai aur chehre ki rangat nikharti hai.
 

Tree-Tea Oil Ka Prayog Kare

Tree tea oil ka prayog karne se twacha ki sabhi ashuddhiya dur hoti hai sath hi twacha mai hone wale sankraman se chutkara milta hai.
 

Shahad

Chehre se daag dhabbo ko dur karne mai sahahd ka bhi bahut bada yogdan rehta hai. Yeh twacha mai gandagi failane wale jeevanuo ko bahar nikalne aur twacha ko kai prakar ke sankraman se bachane mai madad karta hai. Iska prayog karne ke liye shahad ko pehle garm kar le. Fir ise apne chehre ke daag dhabbo aur muhaso par lagaye.

Iske alava bahut se home remedies for acne hai jisse twacha ke daag aur dhabbo ko dur kiya ja sakta hai. To aaiye jane blemishes tips in Hindi.

  1. Twacha se ashuddhiyo ko dur karne ke liye chandan powder mai shahad aur gulabjal ko milakar paste banaye aur chehre par lagaye. Isse chehra saaf aur chamakdar rehta hai.
  2. Dudh, shahad aur bhigokar pisi hui masoor ki daal se bane paste ko chehre par lagane se chehre ke daag dhabbe dur karne mai madad milti hai.
  3. Bhigokar pise huye badam aur dudh ko milakar chehre par lagane se chehre ki ashuddhiya dur ho jati hai.
  4. Methi ki pattiyo se bane paste ko chehre par lagane se bhi chehre ke daag aur dhabbo se chutkara milta hai.
  5. Aalu bhi cherhe ki sundarta ko badhane mai madad karta hai. Iska prayog karne ke liye aalu ke tukde se apne chehre ko 2 se 3 bar ghise. Iske alava aalu se bane mask ka prayog bhi kiya jata hai.
  6. Iske alava podina ke hare patte ko chehre par lagane se chehre ke reshe kam hone lagte hai. Ise lagane ke liye podina ke kuch patto ko pees le aur ise 20 minute tak apne chehre par lagaye. Fir thande pani se dho le.

Upar aapne padha Home Remedies for Blemishes. Yadi aap bhi apne chehre se daag aur dhabbo ko hatana chahte hai to upar diye gaye tariko ko apnaye aur dikhe sundar.

Loading...

This website uses cookies.