Burning Feet ki Pareshani se Bachaye Yeh Upay

Garmiyo ke dino me talvo me jalan bad jati hai. Ise medical ke anusar hum neuropathy ya paresthesia bhi kahte hai. Lekin aap chahe to is pareshani se bachne ke liye kuch gharelu upchar ko apna sakte hai. Jisse ki aap hamesha ke liye Burning Feet se bach jayenge. To aaiye jante hai Home Remedies for Burning Feet aur karte hai pairo ki jalan ko dur.

Pairo me jalan kabhi-bhi ho jati hai par agar yeh har vakt ho rahi to aapko expert ki salah jarur lena chahiye. Talvo me jalan tab hoti hai, jab pairo me khoon ka prabhav dheema ho ya phir jab umar ke saath-saath pairo ki nase damage ya kamjor ho jati hai. Vese bahut si bar yeh pareshani budhe logo ko ya phir ve log jo lambe samay se madhumeh se grasit hai unhe hoti hai.

What Causes Burning Feet, Pairo me Jalan Hone ke Karan

• Chronic kidney disease (uremia) Small fiber neuropathy, Vitamin ki kami (Vitamin B12 aur occasionally Vitamin B6), Alcohol ka sevan, Low hyroid hormone levels (hypothyroidism), Lyme bimari, HIV/AIDS, Amyloid polyneuropathy.
• Iske alawa aur karan hai ki, kisi drug ke bure asar hone par jese:- chemotherapy drugs, Vitamin B6 overdose, HIV medicines, isoniazid, amiodarone, metformin.
• Anya karan kuch is prakaar hai, heavy metal poisoning (lead, mercury, arsenic), vasculitis (inflammation of blood vessels), sarcoidosis, guillain-barre syndrome, edema or fluid retention, hypertension.

You may also like:- Calcium Deficiency Symptoms: Iski Kami ko Pehchane

Home Remedies for Burning Feet, Pairo ke Talve ki Jalan ko Dur Bhagaye

Adrak

• Adrak ke ras me thoda sa jaitun ka tel ya nariyal ka tel mix karke gram kar le aur isse apne aidiyo tatha talvo par 10 minutes ke liye malish kare.
• Aap chahe to sharir me blood circulation ko badane ke liye roj ek chota adrak ka tukda bhi chaba sakte hai. Isse pairo ke dard ke saath-saath pure sharir ko aaram milega.

Vitamin B3

• Vitamin B3 khane se talvo ke jalan se rahat milti hai.
• Iske liye aap ande ka peela bhag, dudh, mutton aur beans ka sevan kar sakte hai.
• Iske alawa Vitamin B3 ke liye kare yeh aahar ka sevan jese:- fish, chicken & turkey, pork , liver, peanuts, beef , mushrooms, green peas, sunflower seeds, avocado.

Pairo ki Massage

Home Remedies for Burning Feet ki baat kate to massage ka naam sabse pahle aata hai. Pairo ki malish karne se bhi pairo me khun ka circulation tez hota hai.
• Isliye pairo me jalan pareshani se jaldi chutkara pane ke liye aap roj apne pairo ki malish kar sakte hai.

Sahi Prakaar Ke Jute

• Aapko kabhi bhi tight jute nahi pahana chahiye. Kyoki vah pairo me blood ke circulation ko slow kar deti hai.
• Isliye hamesha jute kharidte samay dhyan rahe ki, jo shoes aap le rahe hai vo aapke pairo me comfortable hona chahiye.

Hari Ghas Par Chale

• Hari ghas par bina jute pahankar chale.
• Isse aapke pairo me khoon ka prabhav bahut accha hota hai aur pairo me jalan bhi khatam ho jayegi.

Lauki

• Jab bhi aapke pairo me Burning Feet ho to louki ko ghis le ya uske gude ko nikal kar pairo ke talvo me lagaye.
• Isse pure sharir ki garmi dur ho jayegi, jisse aapko pairo me jalan aur dard bhi nahi hoga.

Sarson

• Haath aur pairo ke talvo me jalan hone par sarson ka tel se laabh milta hai. 2 Gilaas garam pani me ek chammach sarson ka tel milakar rojana apne dono pairo ko is pani me daliye.
• Phir 5 minutes ke baad pairo ko kisi khurduri cheez se ragdake thande pani se pairo ko dho lijiye. Isse aapke pairo saaf bhi honge aur dard bhi nahi honge.

Mehandi

• Mehandi, sirke aur nimbu ke ras ko milakar paste taiyar kar lijiye.
• Ab is paste ko apne pairo me lagaiye. Isse aake pairo ki jalan aur dard hamesha ke liye khatma ho jayenge.

Dhaniya

• Sukhe dhaniye aur mishri ko barabar matra me lekar acche se pis kar powder bana lijiye. Phir is powder ki 2 chammach ko pani ke saath rozana sevan kare.
• Isse aapko bahut jaldi aaram milenga.

Makkhan

• Yah ek bahut aasan tarika hai jisse ki aap bahut jaldi is pareshani se rahat pa sakte hai.
• Makkhan aur mishri ko barabar matra me milakar apne haath aur pairo me lagane se jalan dur ho jati hai.

Upar aapne jane Home Remedies For Burning Feet to agar aap bhi pairo me jalan ki pareshani se grasit hai to dariye nahi upar bataye gaye gharelu nuskho ko apna kar aap is problem se aasani se bach sakte hai.

Get more details about Burning Feet from Home Remedies.

Loading...

This website uses cookies.