Kisi bhi vyakti ke sundar dikhne mai uske baalo ka bahut bada yogdan hai. Yadi kisi ke baal khubsurat hote hai to uski sundarta doguni ho jaati hai. Wahi yadi kisi ke baal acche nahi hai to uska accha khasa look kharab ho jaata hai.
Baalo ke acche rehne ke liye unhe uchit dekhbhal ki jarurat padhti hai. Lekin aaj ke samay mai kisi ke pass iske liye wakt nahi hai. Sath hi pradushan, dhup ki kirne, chemical yukt shampoo, aur baalo ko rangne aadi ke karan baal kharab ho jaate hai. Natijan baal bejan aur rukhe ban jaate hai.
Jaise jaise baal rukhe hote jate hai unka jhadna badhta jata hai. Yadi aapke baal bhi rukhe bejaan hai to aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai. Kuch gharelu upcharo se baalo ki dekhbal karke use accha banaya ja sakta hai. To aaiye jante hai kuch faydemand Home Remedies for Dry Hair.
Home Remedies for Dry Hair: Paye Khubsurat Mulayam Baal
Bahut Sara Pani Piye
Yadi aap baalo mai nami lana chahte hai to sabse pehleto khub sara paani pina shuru kar de. Din bhar mai kam se kam 10 glass pani jarur piye. Isse aapke baalo ka rukhapan thik ho jayega.
Tel Ki Malish
Baalo se rukhapan hatane ke liye sabse jaruri hai ki unme tel lagya jaye. Aap ek ya do tel ka mishran bhi laga sakte hai.
- Sabse pehle nariyal aur badam ke tel ko barabar matra me mila lijiye aur isme aadha chammach arandi ka tel bhi mila lijiye.
- Inhe acchi tarah milane ke bad baalo ki bhitari twacha par lagaiye. Jis din baal dhona hai uski 1 raat pehle aesa kare. Baad me baalo ko shampoo aur halke gungune pani se dho lijiye.
- Aap chahe to hot oil massage bhi kar sakti hai. Isse baalo ki growth acchi hogi.
Beer Se Dhoye
Aapko sunkar shayad aascharya ho raha hoga lekin beer ki madad se bhi aap apne baalo ko mulayam bana sakte hai. Isme baalo ko chamkane ke bhi gun bhi hote hai. Kyoki isme Vitamin B ki bharpur matra hoti hai jo baalo ke liye faydemand hai.
- Iska prayog karne ke liye aadha cup beer le aur isme 2 cup pani mila lijiye. Isse apne baalo ko acchi tarah dhoiye.
- Iske baad baalo ko sadharan pani se dho lijiye. Aap chahe to iske liye Park Avenue Beer Shampoo ka bhi use kar sakte hai.
Faydemand hai Aloevera
Aloe Vera Gel for Hair bhi faydemand hai. Iska istemal karna bhi bahut aasan hai. Aur yeh bahut kam mitti mai bahut sara ug jaata hai. Isliye aapko iske istemal ke liye na hi paise bahane ki jarurat hai aur na hi wakt. Iska paryog karne ke liye aapko bus itna karna hai ki fresh aloe vera ke patto ko le. Isme se jel alag kar le aur baal dhone se 1 ghante pehle laga de. Hafte mai do baar aesa kare.
- Baking soda ke istemaal se baalo ki gandagi nikal jati hai aur baal mulayam ho jate hai. Saath hi baalo ki nichli twacha par nami bhi aati hai.
- Iske prayog ke liye ek cup pani le aur isme ek chammach baking soda mila lo. Ise acchi tarah mix karke baalo ko dhoye.
- Aap chahe to apne shampoo mai bhi baking soda ka istemal kar sakte hai.
Vitamin C Se Bharpur Nimbu
Rukhe baalo ki samasya se nipatne ke liye nimbu bahut karagar gharelu nushkha hai. Rukhepan ke alawa yeh baalo ki kai samasyao ko thik karne ke liye accha hota hai. Isse Hair Growth bhi hoti hai.
Iske prayog ke liye 1-2 nimbu ke ras le aur usme thoda sa pani mila le. Uske baad iss mishran ko apne baalo mai aur scalp par lagaye. Iss paste ko lagane ke baad halki si massage kar lijiye. Ek ghante ke baad sade thande pani se apne baalo ko dho lijiye. Rukhe balao ke liye yeh bahut accha upay hai.
Dahi (Curd)
Dahi bhi baalo ke liye bahut accha hota hai. Khatte dahi me chutki bhar Phitkari aur thodi si haldi mila lijiye. Ab iss mishran ko apne baalo me lagaiye. Isse aapke baalo ki ganadgi saaf ho jayengi. Saath hi baalo me faila koi bhi sankraman khatam ho jayega. To hum bol sakte hai ki dahi ek Best Treatment for Dry Hair hai.
Gunkari Shahad
Hum sabhi jante hai ki shahad bahut labhdayak aushdhi hai. Baalo ko silky aur healthy banane ke liye bhi shahad ka upyog kiya ja sakta hai. Jane iska prayog:-
- 3 cup garam pani me ek chammach shahad mila le aur acchi tarah mix kar le.
- Ise baalo par acchi tarah lagaiye aur kuch samay ke liye chhod de. Phir aadha ghante ke baad acchi tarah shampoo kar lijiye.
Upar aapne jana Home Remedies for Dry Hair. To bas der kis baat ki aaj se inn upay ko apna kar apne baalo ko banaiye mulayam aur sundar. Saath hi yeh tarike bahut prakritik hai, jinse koi nuksaan bhi nahi hota hai.