Yadi aapko bina kisi karan se aapke sharir mai dard aur peeda mehsus ho rahi hai. Aur yeh chiz achanak se hi shuru ho gayi hai. To aapko hamara aaj ka lekh jarur padhna chahiye.
Ho sakta hai ki aapko Fibromyalgia ho gaya ho. Yeh hajaro logo ko hota hai jinki umra 20 se 50 ke bich hai. Fibromyalgia ko fibrositis aur fibromyositis bhi kaha jata hai. Yeh ek aesi samasya hai jisme bade paimane par dard hota hai.
Purusho ki tulna mai yeh samasya mahilao ko jyada hoti hai. Iss samasya ke karan pair dard, atyadhik thakan, mashpeshiyo mai dard aadi hota hai. Aur yeh samasya subah ke samay jyada hoti hai.
Jin logo ko yeh samasya rehti hai unka sharir aur bhi kai samasyao ko nyota de deta hai. Jaise migraines, nind na aana, avsad aadi. Isliye behtar hoga yadi ham iss samasya ko jald se jald thi kare. Aaj ham iske liye aapko bata rahe hai Home Remedies for Fibromyalgia.
Home Remedies for Fibromyalgia in Hindi: Dur Kare Dard – Thakan
Fibromyalgia ka exact karan abhi tak pata nahi chal paya hai. Lekin iske sambhavit karano ki baat kare to we iss prakar hai:-
- Hormonal gadbadi
- Gathiya rog
- Tanav
- Viral sankraman
- Sone ka galat samay
- Kharab sharirik stithi
- Surgery aadi.
Shodh kartao ka manna hai ki yeh sharirik aur bhavnatmak tanav ka ek sanyojan ho sakta hai. Iss samasya ka ilaj karna aasan nahi hai, kyoki iska koi bhi nirdharit ilaj nahi hai. Isliye iske upchar mai iske lakshano se nijad dilane ki koshish ki jati hai. Iska dawao dwara upchar bhi kiya jata hai, sath hi sath iske liye gharelu upchar bhi moujud hai.
Fibromyalgia ke gharelu upchar mai shamil hai lehsun, adrak ki chai, gajar, chukundar, kheera, masale, sabjiya, nariyal pani aadi. Inn sabhi ko alag alag rupo mai upyog karna hota hai. Yadi ham sahi tarah se care kare to Fibromyalgia ko puri tarah khatam kar sakte hai.
Adrak – Ginger
- Adrak ka sevan karne se Fibromyalgia Symptoms se chutkara paya ja sakta hai. Isse dard aur sujan dono dur ho jati hai.
- Adrak ko aap kisi bhi tarah se le sakte hai. Ya to ise roj ki chai mai dal diya kare, khane mai iska istemal kare.
- Aap chahe to adrak ko aese hi pani mai ubalkar, uss pani ka din mai do bar sevan kare. Aap chahe to taste ke liye thoda sa namak mila sakte hai.
Sendha Namak – Epsom Salt
- Magnesium ki kami ke chalte bhi fibromyalgia ki samasya hoti hai. Aese mai sendha namak dalkar garam pani ki sikai se dard dur hota hai aur aaram milta hai.
- Epsom Salt mai magnesium sulfate hota hai. Isliye Epsom salt bath lene par hamara sharir magnesium ko absorb kar leta hai.
- Prayog ke liye garam pani mai 2 chammach sendha namak dale. 20 minute ke liye apne sharir ko iss pani mai rakhe.
- Aesa hafte mai teen baar kara kare.
Lehsun – Garlic
- Lehsun pratiraksha pranali ko sudharne mai madad karti hai. Isliye apne roj ke khane mai isko shamil kare.
- Iss choti si chiz ko apne aahar mai shamil karke aap fibromyalgia ko thik kar sakte hai.
Omega -3 Fatty Acids
- Omega 3 fatty acid, unsaturated vasa hai. Yeh sujan aur neuropathic dard ko kam karti hai.
- Yeh jodo ka dard aur akdan ko dur karta hai.
- Iske liye aapko hafte mai 2 se 3 baar fatty fish khana shuru kar dena chahiye. Fish mai aap salmon aur tuna le sakte hai.
- Iske alawa akhroth aur soyabean tel mai bhi omega 3 moujud hota hai.
- Aap chahe to fish oil ke capsule bhi le sakte hai, lekin iske liye pehle apne doctor se sampark kare.
Vyayam aur Yog
- Hafte mai kam se kam teen din to vyayam aur yog ko dena chahiye.
- Isse aapka mansik tanav khatam hota hai aur aap pehle se jyada relax aur stable mehsus karte hai.
- Fibromyalgia ke marijo ke liye to mashpeshiyo aur haddiyo ka vyayam bahut hi jyada jaruri hai.
- Yeh sabse prabhavi Cure for Fibromyalgia hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Fibromyalgia in Hindi. Agar inn gharelu upcharo ko sahi se palan kiya jaye to yeh kamal kar sakti hai. Vaise to inn gharelu upchar ka koi side effect nahi hai lekin yadi aapko kisi tarike ki takleef ya pareshani mehsus hoti hai to ise turant lena chod de aur chikitsak se sampark kare.