Home Remedies for Food Poisoning: Jane 5 Pramukh Aushdhi

 

Aajkal log ghar se jyada bahar ka khana jyada pasand karte hai. Bahar ke khane ka swad unhe apne tarf aakarshit karta hai. Yahi wajah hai ki chahe office ho ya college canteens aur hotels par logo ki bheed dikhai deti hai.

Wahi kuch log to apne ghar se bahar rehte hai isliye bhi unhe bahar ka khana, khana padhta hai. Bahar ke khana aapko swadhist to lagta hai, sath hi sath aapko khana banane ki chutti bhi mil jati hai, lekin kai bar aapko yeh khana mushkil mai bhi daal deta hai.

Darahsal bahar milne wale khane mai har jagah hygiene ka dhyan nahi rakha jata hai. Naa hi sabjiyo ko theek se saaf kiya jata hai. Na hi istemal kiya jane tel acchi quality ka hota hai. Iss wajah se yeh khana hamare swasthya ke liye accha nahi hota hai.

Barish ke mousam mai bahar ka khana bahut jaldi kharab ya sankramit ho jata hai. Aur jab aap iss khane ko khate hai to aap food positioning ka shikar ho jate hai. Isliye iske upchar ke liye ham aapko bata rahe hai kuch Home Remedies for Food Poisoning in Hindi.
 

Home Remedies for Food Poisoning: Vishakt Bhojan ko Dur Kare

 

 
Food Poisoning hone par 3-4 din tak hamare kaam ka nuksan hota hai. Kyoki iske hone par hame kai samasyae hoti hai jaise:-

  1. Matli aana
  2. Dast lagna
  3. Kamjori mehsus hona
  4. Pet mai marod aur Dard
  5. Bukhar aana
  6. Sar dard hona aadi

 
Kuch khadya padartho ke sevan se aap iss samasya se bach sakte hai. To aaiye jante hai kuch prabhavi Food Poisoning Remedies ke bare mai:-
 

Nimbu

Nimbu mai anti- inflammatory, anti bacterial aur antiviral gun moujud hote hai. Isliye nimbu ke sevan se food poisoning wale bacteria mar jate hai. Isliye khali pet aapko nimbu pani peena chahiye. Aap ise din mai do bar bhi pee sakte hai.

  • Garam pani mai nimbu ka ras aur thoda sa shahad milakar ise pee le.
  • Nimbu pani mai shakkar dalkar aap iska sharbat bhi pee sakte hai.

 

Apple Cider Vinegar

Apple cider vinegar mai ek aesa amla hota hai jo sharir ke metabolism rate ko badhata hai. Iss prakar yeh food poisoning ke kai lakshano ko dur kar sakta hai. Yeh gastrointestinal lining ko shant kar jivanuo ko marta hai, isse aapko tatkal rahat milti hai.

  • Do chammach seb ke sirke ko ek cup garam pani mai milaye. Ise khana khane se pehle pee le.
  • Aap chahe to do se teen chammach undiluted apple cider vinegar ke pee sakte hai.

 

Tulsi

Pet mai food poisoning ke chalte jo pareshaniya hoti hai unse rahat dilane mai tulsi bahut madad karti hai. Isme moujud antimicrobial property micro organism se ladti hai. Aap tulsi ka istemal kai tarike se kar sakte hai.

  • Ek katori dahi lijiye aur usme tulsi ki pattiya, kali mirch aur thoda sa namak dale. Din mai do bar iska sevan kare, jab tak iske lakshan samapt nahi ho jate.
  • Tulsi ki pattiyo ko pani aur chai ki patti ke sath ubalkar kadha bana le aur din mai do bar le. Aap chahe to halki si shakkar dal sakte hai.

 

Dahi

  • Dahi ek prakar ka antibiotic hai isliye Food Poisoning Cure ke liye aapko ise apni diet mai shamil karna chahiye.
  • Aap dahi mai pani aur shakkar dalkar ise patla ghot kar lassi ke saman pee sakte hai.
  • Dahi mai thoda sa kala namak dalkar sabut ise kha lenge tab bhi fayda milega.

 

Lehsun

  • Lehusn mai bhi antifungal gun hote hai. Isliye ise khane se pet mai yadi dard ho to wo dur ho jata hai. Yeh dast jaisi samasyao ko bhi dur karti hai.
  • Subah khali pet aap lehsun ki kacchi kaliya khale aur fir pani pee le. Yeh uccha raktchaap mai bhi faydemand hai. Aap chahe to iska ras banakar bhi pee sakte hai.
  • Soyabean ka tel garam kare, us wakt usme lehsun ki kaliya dal de. Iss tel se khana khane ke bad malish karne se aapko fayda milta hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Food Poisoning in Hindi. Yadi gharelu upchar istemal karne ke baad bhi aapko koi fayda nahi mil raha hai to bina der kiye chikitsak se sampark karna chahiye.

Iss douran jitna ho sake utna aaram karna chahiye, kyoki yeh hone ke bad thakan bahut lagti hai. Sath hi sharab, caffeine yukt padarth, high fat khadya aur mirch masalo se duri bana lena chahiye.

Loading...

This website uses cookies.