Masude mai sujan ki samasya ko angreji mai gingivitis kaha jata hai. Yeh ek moukhik samasya hai, iske karan masude mai dard aur sujan ho jati hai. Yeh lagbhag har vyakti ko hoti hai.
Iske karan khana khane mai samasya aati hai, yeh koi badi baat nahi hai. Badi baat yeh hai ki yeh aapke dil aur wahikao se bhi talluk rakhti hai. Lekin aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai, aap bina doctor ke yaha jaye ghar par hi iss samasya ka upchar kar sakte hai.
Aaiye jane Home Remedies for Gingivitis. Inn gharelu upcharo ko apnane ke alawa apne dant swasthya par dhyan dena bhi jaruri hai. Iske liye din mai do bar brush jarur kare, aur soft brush ka istemal kare. Aapke muh ka swasthya, aapke sharir ke swasthya ke liye behad jaruri hai.
Home Remedies for Gingivitis in Hindi: Masude Ke Dard Ka Illaj
Muh Ki Behtar Safai
- Iski samasya hone par aapko keval brushing karne se fayda nahi milega. Aapko daano par brush to karna hi hai sath hi sath apni jibh ko bhi acche se saaf karna hai.
- Kyoki brush karke yadi aap kitanuo ko daanto se saaf kar bhi de, lekin jeebh par bhi unhe ghar banane ke liye bahut badi jagah mil jati hai.
- Isliye Gingivitis Cure ke liye pure muh ki behtar safai jaruri hai.
Nutrition Ki Kami
- Nutrition ki kami ke chalte bhi aapka sharir germs aur bacteria se nahi lad pata hai. Isliye gingivits aur anya bacteria se ladne ke liye sahi aahar ka sevan karna bahut jaruri hai.
- Kuch aahar to aapke daanto par bhi asar karti hai. Jaise ki meethe aahar aapke daant se chipak jate hai aur aasani se nikalte hai. Iss tarah bacteria ko badhne ka khula mouka milta hai.
Khush Rahe
- Poor nutrients wali diet ke sath sath tanav bhi aapke immunity system ko kamjor karta hai.
- Isse bacteria ko growth karne ke jyada chahces milte hai.
- Tanav ke chalte aapki dincharya bhi disturb hoti hai jiske chalte aap flossing aur do bar brushing bhul sakte hai.
Herbal Mouthwash
- Gingivitis se nijat dilane ke liye herbal mouthwast bhi ek accha prakratik tarika hai. Herbal mouthwash ko aap ghar par bana sakte hai.
- Rosemary ki sahayata se aap ghar par hi alcohol free mouth wash bana sakte hai.
- 2 cup ubalte huye pani mai 4 ounces rosemary dale. Iss pani ko ek jar mai puri raat ke liye rakh de.
- Subah ke wakt iss pani ko chaan le. Suabh iss mouthwash ko istemal kare.
Baking Soda
- Yeh raahat pane ke liye sabse sadharan aur saral tarika hai. Aap toothpaste ki jagah baking soda lekar isse brush kar sakte hai.
- Ek baat ka khayal rakhe ki baking soda bahut jyada abrasive hota hai. Isliye iska istemal akele na kare.
- Baking soda mai jaitun ke tel ka istemal karke aap isse aasani se brush kar sakte hai.
- Yadi aapke masudo mai infection hai aur aap brush karne mai kathinai mehsus kar rahe hai to aap keval iska paste banakar bhi laga sakte hai.
- Baking soda mai thoda sa pani milaye aur iss paste ko 2 minute ke liye apne masudo par lagakar rakhe.
- Hafte mai iss prayog ko do se teen baar kare.
Oil Pulling – Tel Nikalna
- Aapko sunkar bhale hi thoda ajib lag lag raha hoga. Lekin oil pulling takneek bhi Gingivitis Home Treatment ka ek tarika hai.
- Yeh plaque ko hatati hai, masudo ko majboot banati hai aur accha moukhik swasthya bhi rakhti hai.
- Ise karne ke liye apne muh mai til ka tel ya fir nariyal ke tel ka ek chammach dale.
- Ise apne muh mai 15 se 20 minute ke liye rakhe aur daanto ki sahayata se ise mare.
- Ab tel ko thuk de aur garm pani se acchi tarah kulla kare.
- Iss vidhi ko ek mahine tak brush karne se pehle kare. Ek baat ka dhyan rakhe tel se na hi kulla karna hai aur na hi ise nigalna hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Gingivitis in Hindi. Yadi aapko masudo mai sujan hai to uprokt upchar kijiye. Aur yadi iske bawjud bhi sujan kam hone ka naam nahi le rahi hai to bina der kiye chikitsak ko dikhye, kyoki lagatar bani rehne wali masudo mai sujan ki samasya ke chalte bacteria aapke khoon mai bhi pravesh kar sakte hai. Iske karan aapko dusri samasyae jaise dil ki bimari, respiratory infection aadi ho sakte hai.