Home Remedies for Heat Stroke: Loo Se Bachne Ke Upay

Garmiyo ka mousam chal raha hai aur inn dino garam hawao ka prakop bhi bad raha hai. Kuch log to apni job ke karan bahar ghumne ke aadi hote hai. Lekin ghar mai rehne wale log jab kabhi kabhi bahar nikalte hai to kadi dhup sahan nahi kar pate hai aur unhe loo lag jati hai.

Vaise to garmiyo mai loo lagna aam baat hai lekin kuch log iske karan jyada bimar padh jate hai. Wahi kuch log behos tak ho jate hai. Loo lagne ka sabse bada karan hota hai sharir mai namak aur pani ki kami hona. Kyuki jab bhi hum ghar se bahar niklte hai garmi ke karan pasina sharir se bahar niklta hai aur pasine ke sath bahut jyada matra mai namak aur pani niklta hai jo sharir mai khun ki garmi ko bada deta hai.

Isi karan sar mai bharipan mehsus hone lagta hai, nadi ki gati badne lagti hai, saans samanya gati se nahi chalti aur bukhar aane lagta hai. Garmi apne charam par hai to garam hawaye aur tej tapman to rahega hi. Isliye hame hi loo se bachne ke liye apni dekhbhal karni hogi.

Isliye inn dino jab bhi aap bahar nikale apne aapko puri tarah se dhak kar nikale. Chehre par bhi cap ya scarf ka istemal kare. Aankho par chasma lagaye. Isse aapko loo lagne ki sambhavana kaafi kam ho jayegi. Iske atirikt aaj ke lekh mai ham janenge aur bhi kai Home Remedies for Heat Stroke taki aap loo se nijat paa sake.

Home Remedies for Heat Stroke: Garmi mai Loo Se Bachav

Home Remedies for Heat Stroke

Faydemand Hai Kaccha Pyaj

Kaccha pyaj loo se bachane mai sabse asardar Home Remedy hai. Jab kabhi aap ghar se bahar nikle apne purse ya beg mai kaccha pyaj rakh le ya fir sabse accha hai ki khane ke sath salad banakar bhi kha sakte hai. Isse bhi aapko loo nahi lagegi.

Jab bhi aap dhup se ghar ko lote thoda sa pyaj ka ras shahad mai milakar chatne se loo ka khatra kam ho jata hai aur aap chahe to aapke nakhuko par pyaj bhi ghiskar laga sakte hai.

Hara Dhaniya

Dhaniya ki pattiyo ko kuch der ke liye bhigo kar rakh de fir use mash karke pani chhan le. Iss pani mai thodi si shakkar dalakar mila le aur loo se pidit rogi ko ko pilaye. Isse loo se chutakara mil jayega. Ya fir jise loo nahi lagi hai wo ghar se niklne se pehle iska sevan kare to loo nahi lagegi.

Methi De Loo Se Rahat

Methi ki pattiyo ko thande pani mai milakar kuch der ke liye rakh de bad mai ise hatho se mash karke usme 1 chammach shahad milakar rakh de aur har do ghante mai loo se pidit vyakti ko pilaye, loo se rahat milegi.

You May Also Like:- Summer Drinks in Hindi – Sharir Ko Shitalta Pradan Kare

 

Kacche Aam Ka Bana Panna

Aam iss moasam mai khub aate hai aur logo ko aam bahut pasand bhi hote hai. Kacche aam ka panna loo se bachav karta hai aur ise banana bhi kafi aasan hai. Kacche aam ko chhilkar, ubal le. Fir inn uble huye aamo ko mash karke thanda pani mila le iske bad mai bhuna  jeera, kala namak, aur halki si chini  dalakar ise pees le.

Garmi mai Labhkari Nimbu Ka Sharbat

Loo se bachne ke liye nimbu ka sharbat aapke liye bahut accha hota hai. Jab aapke sharir mai pani aur namak ki kami ho jati hai to nimbu Ka sharbat iski kami puri karta hai. Parantu dhyaan rakhe ki dhup se sidhe ghar aate hi sada pani, nimbu pani ya fir sharbat na piye kyuki jab aap bahar se aate hai to aapke sharir ka tapman bada hua rehta hai.

Glucose De Aapko Urja

Pani mai glucose milakar rakh le aur din bhar mai isse thoda thoda karke pite rahe. Isse aapko garmi ki wajah se hui thakan mehsus nahi hogi aur gloocose aapke sharir ko urja pradan karta hai. Garmi aapke sharir ki urja ko chhin leti hai aur gloocose usko ko pura kata hai.

Mosami Phalo Ka Sevan Kare

Garmi mai pani ki kami hone ki samasya sabse jyada samne aati hai aur garmi ke mosmi phalo mai pani ki kami ko puri karne ki shamata hoti hai. Isliye iss mosam mai jitna ho sake utna mosami phalo ka sevan kare jisse aapka sharir loo lagne se bacha rahe.

Garmi Ki Lapto Se Bachaye Khatti Imali

Aapko yeh baat ki jankari nahi hogi lekin loo se bachne ke upay mai se imali ka sevan bhi hai. Imali ko galakar usse acche se mash kar le. Fir usme thoda thanda pani milakar use chhan le. Ab imali ke pani mai thodi se shakkar ko mila le aur iss sharabat ko piye. Iske sevan se aapko tapti garmi se rahat milegi aur loo nahi lagegi.

Jo Ka Aata De Fayda

Jo ke aate ka paste banakar usse pure sharir par nahane se pehle laga le aur kuch der bad thande pani se naha le. Yadi aapko loo lagi hai to uska asar kam ho jayega aur isse aapko kaafi fayda milaga. Ya fir jo ke aate mai pyaj piskar dono ko mila le aur iss lep ko sharir par laga le loo ka asar se nijat milegi.

Home Remedies for Loo

Ghamoriyo Se Nijat Dilaye Besan

Garmi ke dino mai pasine ki wajah se aapke sharir par ghamoriya ho jati hai aur loo bhi lag jati hai. Isse nijat pane ke liye besan ko pani mai gholkar use ghamoriyo par lagaye. Isse aapko thandak mehsus hogi aur loo ka asar bhi kam ho jayega.

Kacche Aam Se Bana Lep

Loo se bachane ke liye aap kacche aam ko mash karle  ya fir usko mixer mai piskar uska lep bana le. Fir us lep se pairo ke talve par malish kare isse aapko loo se chutkara mil jayega. Yeh prayog aapke liye bahut faydemand hoga.

You May Also Like:- Home Remedies for Tanning: Twacha Ka Kalapan Dur Kare

 

Jyada Se Jyada Pani Piye

Garmi mai jitna ho sake pani ko piye kyunki pasine ki wajah se aapke sharir mai pani ki kami ho jati hai. Isliye ghar se nikalne se pehle pani piye. Iske atirikt pani ki bottle ko apne sath bhi carry kare aur thodi thodi der mai pani pite rahe.

Khali Pet Na Rahe

Garmi ke dino mai din bhar khali pet na rahe aur ghar se bahar nikalne ke pehle kuch na kuch kha kar niklne. Sath hi inn dino bilkul halka bhojan kare aur aapne bhojan mai dahi ko jarur shamil kare. Isse aapko garmi ki lapto se suraksha milegi.

Sath hi tamatar ki chatni, nariyal ya fir petha khane se bhi loo nahi lagti hai. Yadi aap chahe to iss mosam mai khana khane ke bad nimbu pani le, isse bhi loo lagne ka khatra kam hota hai.

Tulsi Kare Loo Ka Upchar

Tulsi ke patte ko kuch der ke liye pani mai dalakar bhigo le aur uska ras  nikal le ab usme thodi si shakkar dalkar acche se mila le aur loo ke shikar vyakti ko ise pila de. Iska sevan din mai har thodi der mai kare.

Chhach Ka Asar Kare Loo Ko Beasar

Garmi mai khatta khana ya pina accha rehta hai. Isliye chhach mai kala namak aur jeera powder dalakar iska sevan kare. Yeh aapko loo se bachayega kyuki chhach ki tasir bahut thandi hoti hai.

Aloevera Ka Ras Hota Hai Asardar

Yeh baat to ham sabhi jante hai ki aloevera hamari twacha aur baalo ke liye bahut faydemand hai. lekin kya aap jante hai ki yeh swasth ke liye bhi bahut faydemand hai. Loo se bachne ke liye aloevera ke ras ka sevan kare isse tej dhup wali garmi mai rahat milegi.

Inn sab ghareloo upayo se aap kuch had tak garmi se nijat payenge aur loo se bachne mai madad milegi.

Anya Tarike Inhe Bhi Janiye:-

  1. Garmi ke mousam mai sharir mai pani ki kami na ho isliye tarbooj, kakdi aur khire ka sevan karna chahiye. Iske alawa phalo ka juice lena bhi faydemand hai.
  2. Dhup mai nikalne se pehle nakhuno mai pyaj ghiskar lagale. Yahi nahi dhup mai bahar nikalte wakt agar aap chhila hua pyaj lekar sath challenge to aap loo nahi lagegi.
  3. Dhup mai nikalne se pehle pure sharir ko kisi kapde se cover kar le aur dopahar mai sadko par ya khule maidano mai naa ghume. Yadi sadko par paidal kana hai to chhata lekar jaye. Garm hawao ke thapedo se bachne ke liye kaan ko kapde se dhak le.

Upar aapne jana Home Remedies for Heat Stroke. Inn aasan ghareloo upayo se bachne ke liye aap garmi se kuch had tak nijat jarur paa sakte hai. Sath hi loo se bach sakte hai.

Loading...

You may also like...