Home Remedies for Leg Pain: Pairo Ke Dard Se Paye Nijat

Pairo ka dard har ek umra ka vyakti mehsus karta hai, tatha yeh dard dheere se badta hua bahut tej hone lagta hai. Iske alawa yeh ek pair mai ya dono pair mai ho sakta hai.

Pair ke kisi bhi bhag jaise haddiya, manspeshiya, nas, pairo ke nakhun ya panje aadi mai dard ho sakta hai.

Pairo mai dard hone ke kai karan ho sakte hai, jaise jab sharir bahut jyada thak jata hai ya kisi din aap kai kilometer chale hote hai to aapke pairo mai dard hone lag jata hai. Iske alawa pani ki kami, sahi diet ka na hona, calcium, vitamins ki kami aadi pair ke dard hone ke karan ban sakte hai. Pair ke dard ko dur karne ke liye padhe Home Remedies for Leg Pain.
 

Home Remedies for Leg Pain: Pair Dard Ka Gharelu Upchar

 
Home Remedies for Leg Pain in Hindi
 

Pairo ki Malish Kare

Pairo par malish karne se pairo ka dard bahut jaldi chhu mantar ho jata hai. Ek shodh ke dwara pata chala hai ki karib 10 minute tak pairo ki malish karne se manspeshiyo ki kasrat ho jati hai tatha pairo mai rakt ka sanchar badne ke sath tanav bhi dur hota hai. Isliye isse pair dard mai aaram milta hai.

  • Pairo mai jis bhi jagah aapko dard ho raha hai waha jaitun ka tel, nariyal tel ya sarso ka tel kisi bhi ek tel dwara malish kare.
  • Inn tel ko garam kare tatha karib 10 se 15 minute tak malish kare.
  • Agar jyada jarurat lage to din mai 3 se 4 baar malish kar sakte hai.
  • Malish ko apne hath se ya fir tennis ball ki sahayta se maspeshiyo par dabav dal kar bhi kar sakte hai.
  • Leg Pain during Pregnancy ke wakt bhi rahat ke liye halke hatho se tel ki malish kar sakte hai.

 

Dard Se Rahat Dilaye Sendha Namak

Sendha namak mai magnesium aur electrolyte hote hai to pairo ki naso ke liye kaafi faydemand hote hai. Kyonki yeh pairo ki manspeshiyo ko rahat dekar dard aur sujan ko dur karne ka kaam karte hai.

  • ½ cup sendha namak ko aadhi balti gugune pani mai dal de aur pani mai acche se ghol le.
  • Pain in Legs hone par iss pani mai aapke pairo ko karib 15 minute tak dubo kar rakhe.
  • Iss prakriya ko kam se kam 2 se 3 bar kare, aapke pairo ka dard gayab ho jayega.

 

Dard Ka Ilaj Haldi

Pair ke dard mai haldi ek behtarin illaj hai, kyoki inme antioxidant tatva tatha anti inflammatory tatva hote hai. Iske alawa haldi mai curcumin yogik bhi hote hai jo maspeshiyo mai ho rahe dard ko kam karne mai madad karte hai.

Ek chhoti chammach haldi mai thoda sa garam til ka tel milaye aur uska paste bana le. Jis bhi jagah aapko pairo mai dard ho raha hai waha iss paste ko laga le. Tatha 30 minute gungune pani se pair ko dho le aur iss paste ko din mai do bar laga sakte hai.

  • Iske alawa haldi ko garam dudh mai dalkar bhi pi sakte hai.
  • Doctor ka paramarsh leke haldi ke gathiye ko kha bhi sakte hai.

 

Cherry Ka Ras Piye

Yadi aap sharirik gatividhi, aapki shamata se adhik karte hai to pairo ki manspeshiyo mai dard aur sujan aa jati hai. Iss dard se nijat pane ke liye cherry ka ras piye kyonki inme anti oxidant tatva aur anti inflammatory gun hote hai jo najuk uttko ko thik karne tatha dard mai rahat dilane mai madad karte hai.

  • 1/2 cup taji cherry ka sevan kar sakte hai.
  • 1 cup cherry ka ras banakar pina bhi faydemand hoga.
  • Yadi aapko pet mai dard ya dast ki samasya hai to iske ras ko na piye.

 

Barf Se Kare Sikai

Yadi aap khel khud mai bhag lete hai ya jyada sharirik gatividhi mai hissa lete hai hai, to aapke pairo mai dard tatha sujan ho jati hai. To barf ki sikai karne se aapke pair sunna ho jate hai, aur Painful Legs tatha sujan mai rahat milti hai.

  • Ek kapde ya towel mai kuch barf ki cube ko dale tatha barf ko lapet le.
  • Iss barf ko prabhavit area jaha dard ho raha hai vaha 10 se 15 minute tak sikai kare.
  • Aap din mai 2 se 3 bar yeh prayog kar sakte hai.
  • Dhyan rakhe barf ko sidhe twacha par na lagaye.

 

Anya Gharelu Upay Inhe Bhi Jane

  1. Ek katori mai loung ke tel ki kuch bunde tatha 2 chhoti chammach til ke tel ko dale aur mishran ko jaha dard ho raha hai waha lagakar malish kar le.
  2. Ek katori mai chamomile tel, lavender tel aur geranium tel sabhi ko mila le aur iss bane huye mishran se pairo par malish kar le.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Leg Pain in Hindi. Yadi aapko bhi pairo mai dard ki shikayat hai to uprokt upayo ko ek bar jarur try kijiyega.

Loading...

You may also like...