Bhale hi aapki rangat gori ho, aapke nain nakshe acche ho, lekin yadi aapke chehre par kala massa ho to aapki puri khubsurti chali jati hai. Ek chota sa til bhi aapki sundarta ko kam kar sakta hai. Til ya massa apne aap hi kuch logo ki twacha mai aa jata hai. Iska rang kala ya bhura hota hai.
Yeh twacha par kahi bhi akele ho jate hai ya fir samuh mai bhi hote hai. Yeh jyadatar bachpan mai hote hai. Inka rang bhura ya kala hota hai. Yeh har vyakti mai alag ho sakta hai.
Kuch logo ke masse chune mai naram rehte hai aur kuch ke sakth. Wahi kuch logo mai yeh twacha se mile huye hote hai to kuch logo ke ubhare huye hote hai. Yeh dard jaisi takleef to nahi dete lekin iske wajah se twacha ki khubsurti chali jati hai. Isliye aaj ke lekh mai ham inse nijat ke liye bata rahe hai Home Remedies for Mole Removal.
Home Remedies for Mole Removal in Hindi: Massa Hatane Ke Upay
Aaj ham aapko bata rahe hai kuch aese gharelu nushkhe jinse aap bedag twacha pa sakte hai aur inse aapki jeb par bhi farak nahi padhega.
Lehsun
Lehsun, masse ki samasya se nijat dilane ka ek bahut hi accha gharelu upchar hai. Prayog ke liye lehsun ki taji kali ko mash karle aur use masse par rakh de. Iske upar bandage laga le taki yeh waha tiki rahe. Aapko ise raat bhar rakhna hai. Kam se kam ise 4 ghante jarur rakhe. Iss prayog ko kuch din ke liye lagatar kare. Massa apne aap hi nikal kar fir jayega.
- Lehsun mai aese enzyme moujud hote hai jo varnan utpadak koshikao ke samuh ko todte hai.
- Isme moujud tatva twacha ki rangat ko halka karne mai bhi madadgar hai.
- Yadi aapko iske karan bahut jyada irritation ho rahi hai to iska prayog na kare.
Arandi Ka Tel
Arandi ka tel bhi masse, til aadi thik karne mai madadgar hai. Isme moujud gun twacha ke asamanya vikas ko rokte hai. Iski madad se masse ki samasya ko dur karne mai bahut wakt lagta hai. Yeh use hatane ke liye pura saal le leti hai. Lekin iski madad se illaj karne ka fayda yeh hai ki isse masse ka daag nahi rehta hai. Yeh Best Way to Get Rid of Moles hai.
- Prayog ke liye arandi ke tel mai thoda sa baking soda mila le.
- Iss mixture ko apne masse par male, kuch ghante rehne de, jab tak yeh acche se sukh nahi jata hai.
- Yadi aapke paas baking soda nahi hai to aap keval arandi ka tel bhi istemal kar sakte hai.
- Iss prayog ko har do din mai ek bar kare.
Dhaniya
Aapne bhale hi dhaniya ka istemal keval khane ke tour par prayog kiya hoga. Lekin isme bhi aese gun moujud hai jo twacha se til ya masse ko hatane mai madad karte hai. Dhaniya ki patti ko peeskar paste bana le aur masse wali jagah par laga le. Yeh prayog wakt leta hai lekin masse ko jad se mita deta hai.
Anya Upchar Inhe Bhi Janiye:-
- Suraj mukhi ke beej ka tel le aur usme thoda sa shahad milaye. Ise roj 5 minute tak aapki twacha par ragade. Isse til gayab ho jayega.
- Shahad ko direct hi apni twacha par lagaye. Isse sakaratmak parinaam bhi dekhne ko milenge aur koi side effect bhi nahi hoga.
- Strawberry ki ek slice katkar mole par rakhe. Jab tak mole nikal nahi jata utne din iss prakriya ko dohraye.
- 2-3 angur le aur uska ras nikal le. Iske ras ko din mai do bar kuch dino tak lagaye. Yeh Mole Removal Home Remedy wakai madad karegi.
- Iske alawa adarak ko piskar uska paste taiyar kare aur raat bhar til ke upar lagakar so jaye.
- Rojana ananas ke ras ko til ke upar lagaye. Aap chahe to ise raat ko lagakar bhi so sakte hai.
- Rui ko seb ke sirke mai duboye. Fir iss rui ko masse par rakhe aur upar se bandage laga le. Roj ise 7 ghante tak rakhe.
Upar aapne jana Home Remedies for Mole Removal in Hindi. Upar bataye gaye nuskhe aapki madad karenge. Kai bar to dhup ke jyada sampark mai aane se bhi yeh ho jate hai. Isliye iske upchar ke douran ya fir aese mai 11se 4 baje ki dhup mai jane se bachna chahiye. Aur yadi jana bahut jyada jaruri bhi hai to apne aap ko pura dhak ke jaye aur acchi company ka sunscreen lagaye.