Panic attack ke douran aapka sharir adhik oxygen aur jaldi-jaldi saans lene ki koshish karta hai. Yeh yakinan bahut hi apriya stithi hai. Lekin ghabraiye nahi, kyuki kai gahrelu upchar ki madad se prabhavi dhang se panic attack ke lakshano se rahat payi ja sakti hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Panic Attacks.
Panic attack tivra, bhay ya ghabrahat ko kehte hai jo achanak paida hote hai aur apekshakrat chhoti avadhi ke hote hai. Panic attack aamtour par achanak shuru hote hai aur 10 minutes ke andar charam avastha tak pahuch jate hai. Iss avastha mai vyakti apne hosho hawas khone lagta hai. Panic attack ke prabhavo mai bhinnata hoti hai.
Panic attack 15 second ki alpavadhi se lekar kabhi-kabhi ghanto tak bhi aatarvi mai jari rehta hai. Panic attack ke prabhavo mai bhinnata hoti hai. Panic attack ka anubhav karne wale kai logo ko, jyadatar pehli baar dore mai dil ked ore ya nerves break down ka dar laga rehta hai. Kaha jata hai ki panic attack ka anubhav, kisi vyakti ki jindagi ke sabse bhayawah, kasthprad aur asahaj anubhavo mai se ek hai.
Panic attack ek sanvedanshil tantrika tantra (SNS) ki pratikriya hai. Sabse samanya lakshano mai kampan, saans lene mai kathinai, dil ka tezi se dhadkana, seene mai jakadan, hot flash, cold flash, jalan ka anubhav, pasina, michli, chakkar aana, sir mai halkapan mahsoos hona, saanse tez chalna, saanso mai rukawat ya dum ghutne ki anubhuti aur mastishk mai kamjori shamil hai.
Panic attack ke douran aapke sharir adhik oxygen aur jaldi-jaldi saans lene ki koshish karta hai. Yeh yakinan bahut hi apriya stithi hai. Lekin ghabraiye nahi, kyuki kai gharelu upchar ki madad se prabhavi dhang se panic attack ke lakshano se rahat payi ja sakti hai.
Home Remedies for Panic Attacks: Gharelu Upchar se Dur Kijiye Aapka Dar
-
Badam:
Badam mai potassium, calcium aur magnesium jese mahatvapurna poshak tatvo aur mineral prachur matra mai paye jate hai, jo nervous system ke kaamkaaj mai sudhaar karne ke saath aapke mashtishk ko swasth rakhne mai madad karte hai. Iske alawa yeh Panic Attack ko rokne mai bhi madad karta hai. Ise istemaal karne ke liye 15 badam ko raatbhar pani mai bhigokar chhod de. Agle din subah badamo ko chilkar iska paste bana le. Iss paste ko garam dudh mai milakar chini dal nle. Panic Attack se rahat ke liye har subah iss aushadhi ka sevan kare.
-
Green Tea:
Green Tea anti-oxidants aur polyphenol mashtishk ko tanav kam karne aur monoamine oxidants ki gatividhi ko kam kar mastishk ki koshikao aur utaako ke swasth mai madad karta hai. Saath hi polyphenol panic attack se jude tanav ko kam karne mai bhi madad karta hai. Samajik karako ke karan hone wale panic attack ko kam karne ke liye aapko green tea ka sevan karna chahiye. Adhik laabh pane ke liye green tea ke kam se kam 3 cup pina chahiye. Home Remedies for Panic Attacks mai Green Tea sabse faydemand hai.
You may also like:- Home Remedies for Depression: Tanav se Paaye Chutkara
-
Orange:
Vitamin se bharpur hone ke karan raktchap ko banaye rakhne ke saath panic attack ko kam karne mai madad karta hai. Santra panic attack ke douran neurons ko shant karne mai madad karta hai. Iske alawa yeh sukhdayak prabhav pradan kar panic attack ko rokne mai madad karta hai.
-
Salmon:
Samudri aahar omega-3 fatty acid ka sabse accha source hota hai aur salmon machli mai sabse jyada omega-3 fatty acid hota hai. Mastishk ke vibhinn hisso mai bahne wale asamamit rakt pravah ko panic attack ke liye doshi mana jata hai. Lekin salmon jese khadya padarth mastishk ke kaamkaaj ko banaye rakhne ke liye oxygen, glucose aur anya mahatvapurna poshak tatvo ki avashyak raashi mastishk ki koshikao ko pradan karte hai.
-
Beans:
Protein ke saath-saath poshak tatva jese thiamine aur Vitamin B1 ka samraddh source hone ke karan, beans mastishk aur tantrika tantra ke karya ko acche se bana kar panic attack ko rokne mai madad karti hai. Lagatar panic attack ki samasya se grast rogiyo mai dainik aadhar par Vitamin B1 ki kuch matra lene ke liye kaha jata hai.
-
Avocado:
Avocado mai poshak tatvo ki ek suchi moujud hai. Isme Vitamin A, B1, B2, B3, B5, B9, B12, C, D , E aur potassium jese omega-3 fatty acid aur mineral jese polyunsaturated fat moujud hai. Apne brain boosting poshak tatvo ke liye prasiddh yeh phal kshati ke khilaaf mastishk ki koshikao ki raksha aur panic attack se mastishk sambandhi stithiyo ko rokne mai madad karta hai. Anti oxidants jese Vitamin C aur E mukt kano ko nasth kar tantrika koshikao ko nuksaan se bachata hai.
-
Chamomile Tea:
Chikitsa aur rognashak guno ke karan chamomile tea ka upyog dawa ke roop mai kafi samay se kiya jata raha hai. Iske anti-inflammatory aur shant rehne wale gun tanav aur chinta ke ilaj mai madad karte hai saath hi nervous ko shant rakhne mai madad karte hai. Chamomile ki chai banana ke liye ke cup pani mai sukhe chamomile ke 2 chammach milakar acche se ubal le. Phie isme shahad ki ek chamamch mila le. Iss garam chai ko din mai 3 baar le. Yeh mastishk ko shant rakhne ke saath aapki pratiraksha pranali ko badava deti hai.
Upar aapne jane Home Remedies for Panic Attacks. To agar aap bhi aisi hi koi pareshani se grasit hai to aaj hi inn gharelu upayo ko apnakar apni iss samasya se nijaat paiye aur swasth rahiye.
Panic Attack se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Home Remedies.