Home Remedies for Sneezing: Cheenk ko Rokne ke Liye Upay

Cheenk aana koi badi baat nai hai. Balki iske jariye to aapke sharir se hanikarak padarth bahar nikal jate hai. Darahsal aapka sharir aapko allergy se bachane ke liye yeh prakriya apnata hai. Agar aapko kisi din ek-had cheenk aa gayi to dikkat nahi hai. lekin yadi yeh lagatar bani hui hai to dikkat ban sakti hai.

Cheenk aane ke karan kai ho sakte hai jaise kisi chize se allergy. Bahut se logo ko kuch prakar ke khadya padarth, phul, perfume, dhul mitti aadi chizo se allergy hoti hai. Aese mai inn chizo ke sampark mai aate hi inka sharir pratrikiya karta hai aur chink aana shuru ho jati hai.

Wahi tapman mai giravat hona bhi kuch logo ko chink aane ki wajah ban jata hai. Yadi yeh roj roj aati hai to vyakti pareshan ho jata hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Sneezing.
 

Home Remedies for Sneezing in Hindi: Cheenk ki Samasya Se Rahat

 
Home Remedies for Sneezing
 
Gharelu upcharo ki khasiyat yeh rehti hai ki isse dawao ki tarah side effect nahi hota hai. Aur yeh pareshani ko jad se khatam karti hai. Isliye ham aapko yahi rai denge ki gharelu upcharo ka istemal kare. Aapko fayda bhi milega aur aapki jeb par bhi bhari nahi padega.
 

Lehsun

Lehsun ke faydo ki baat kare to iski list kafi lambi hai. Raktchaap kam hone se lekar vajan ghatane mai yeh madad karta hai. Cheenk aane ki samasya ko bhi lehusun ki madad se dur kar sakte hai.

  • Lehsun mai antibacterial aur antibiotic gun hote hai jo aapko shawas ke wajah se hone wale sankraman se ladne mai madad karte hai.
  • Cheenkne ki samasya ho ya sardi ho gayi ho, dono mai yeh fayda pahuchata hai.
  • Prayog ke liye kuch lehsun ki kaliyo ko mash kar le aur iski tej gandh ko sunghe, isse aapko cheenk aayegi, aapki naak khul jayegi aur aap acche se saans le payenge.
  • Wahi lehusn ko apni diet mai shamil karke aap isse aur bhi kai fayde pa sakte hai. Kaise Lehsun se vajan kam kare, yeh bhi dekhe.

 

Saunf Ki Chai

Hame jab bhi koi samasya hoti hai to bus man mai yahi khayal aata hai ki ab doctor ke pass jakar dawaiya leni padegi. Lekin yadi cheenk ki samasya ko aap keval chai peekar hi dur karle to?

  • Saunf mai sankraman se ladne ki kshamta rehti hai isliye aapko saunf se bani chai din mai do bar leni chahiye.
  • Isme antibiotic aur antiviral gun moujud hote hai, isliye isse upchar karna aapke liye wakai faydemand hai.
  • Prayog ke liye ded cup pani mai do chammach saunf dalkar ubal le. Jab ek cup reh jaye to gas band kar de.
  • 10 minute aese hi dhank kar rakh de, fir baad mai chaan kar pile. Yeh chai garmi mai to bahut hi fayda deti hai.

 

Chamomile Chai

Jab baat chai ki ho rahi hai to upchar keval saunf ki chai tak hi simit nahi hai chamomile chai bhi aapko bar bar cheenkne se nijat dila sakti hai.

  • Chamomile ka ek pyala aapko cheenkne se turant rahat dilata hai, fir sochna kaisa isko garmagaram piye aur enjoy kare.
  • Yadi aapko ise banane ki vidhi nahi pata hai to koi baat nahi ham yeh bhi aapko bata rahe hai.
  • Ek cup ubalta pani le aur usme iske sukhe phul dale. Iske pani ko kuch der ubale.
  • Ise shahad milakar gunguna pite hai. Ise din mai ek se do bar le sakte hai.

 

Adrak

  • Adrak ke faydo se to aap sabhi vakif hai. Yeh sardi, khansi aadi se nijat dilata hai. Isse aapko cheenkne ki samasya mai bhi rahat milti hai.
  • Isko aap kai tarah se prayog mai la sakte hai. Ya to pani ko adrak dalkar ubal le. Gunguna hone par shahad dalkar piye.
  • Adrak ke tukde kacche bhi khaye ja sakte hai ya fir adrak ki chai banakar bhi pee ja sakti hai. Aap khud dekhenge Sneezing Symptoms kam ho rahe hai.

 

Lemon Tea

  • Jis tarah aap chai bana lete hai bilkul vaise hi chai bana le. Bus usme dudh aur shakkar na dale.
  • Yane ki aapko pani mai chaipatti dalkar ubalna hai. Iss chai mai nimbu ka ras nichode aur thoda shahad milaye.
  • Chai ekdum kadak nahi hona chahiye. Ise gunguna peena hai. Din mai ek bar hi iss chai ko piye.
  • Shahad mai moujud antibacterial gun bacteria dur karenge aur nimbu mai moujud vitamin c na keval cheenkne ki samasya se nijat dilayega balki isse aur bhi kai fayde milenge.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Sneezing in Hindi. Yeh upchar kaafi aasan hai aur prabhavi bhi. Isliye aap befikra hokar inka istemal kar sakte hai.

Loading...

You may also like...