Kisi bhi ladki ya mahila ke baal sundar ho to wo uski khubsoorti ko doguna kar dete hai. Baal sundar ho to nari ki sundarta badh jati hai wahi iske viprit yadi baal rukhe aur bejan ho to chehre ka look kharab ho jata hai.
Lambe baal wali ladkiyo ko aksar do muhe balo ki samasya se pareshan hona padta hai. Kyoki baal jab bhi lambe hote hai to unka acche se khayal rakhna padta hai. Lekin aajkal ki busy lifestyle mai yeh kaam thoda muskil hai. Aaj ke wakt me naa ham apne baalo ka thik tarah se khyal rakhte hai aur naa hi hamara khan pan sahi hai, jisse ki hamare baalo ko poshan mil sake.
Natijanat hamare baal rukhe, bejaan aur domuhe hone lagte hai. Kai baar to baalo ke domuhe hone ki wahah hair styling wale upkarno ka istemal karna bhi hai. Baalo mai color karna, hot iron ki madad se baalo ka straight ya fir curly karna, ya tarah tarah ke hairstyle banana bhi domuhe baal hone ke piche ka ek karan hai.
Baalo ke domuhe ho jane ke karan ladkiyo ke pass ek hi choice bachti hai ki baalo ko katwa liya jaye. Jisse lambe baal rakhne ka sapna to adhura hi reh jata hai. Kya aap bhi domuhe baalo ki samasya se pareshan hai. To ham aapko batana chahte hai ki aapko apne baal katwane ki jarurat nahi padegi, kyoki iss lekh mai ham aapko Home Remedies for Split Ends bata rahe hai, jiski madad se aapke baal acche rahenge.
Home Remedies for Split Ends: Do Muhe Baalo Ke Liye Gharelu Upay
Tel Se Malish Kare
Jaisa ki ham sabhi jante hai ki hamare baal ke domuhe ho jane ke piche ka sabse bada karan hai baalo ka rukha hona. Isliye baalo ko accha karne ke liye usme tel se malish karna behad jaruri hai. Iske liye hafte mai kam se kam do din nariyal tel se baalo ki acchi tarah malish kare. Aur malish karne se pehle tel ko halka garm kare.
Aap chahe to nariyal tel ki jagah badam ka tel bhi le sakte hai. Badam ke tel mai Vitamin E hota hai, jisse baal majbut aur ghane hote hai.
Methi Dane Ka pack
Methi dane ke guno se ham me se koi anjan nahi hai. Yeh hamari sehat ko kai fayde pahuchati hai. Methi ka prayog sundarta ke liye bhi kiya jata hai. Isi tarah methi good Remedy for Split Ends bhi hai. Iske liye ek katore mai methi dane ka powder le aur usme dahi mila le. Aur iss pack ko hafte mai do bar lagaye. Aadhe ghante rakhne ke baad kisi acche shampoo se dho le.
Shahad Bhi Faydemand
Do Muhe baalo ki samasya ko dur karne ke liye shahad bhi ek accha vikalp hai. Iske liye 1 cup dahi mai do chammach shahad milaye. Ab iss mishran se baalo ki massage kare. 20 minute ke liye aese hi chhod de. Yeh pack naa keval aapki domuhe baalo ki samasya ko thik karega balki aapke baalo ko poshan aur chamak bhi dega.
You May Also Like: Home Remedies for Dandruff: Balo Se Rusi Dur Karne ke Upaye
Balo Ke liye Faydemand Aloe Vera
Balo Ke liye Aloe Vera bhi behad faydemand hota hai. Yeh aapke baalo ko conditioning karne ka kaam karta hai. Jab bhi ham shampoo karte hai to baal rukhe ho jate hai, aur unke domuhe hone ki sambhavana badh jati hai. Agar aap baalo ko domuhe hone se rokna chahte hai to shampoo karne ke baad baalo ko aloe vera se massage kare aur pani se dho le. Iske alawa aloe vera se sar ka rukhapan bhi dur hota hai.
Anya Tarike Inhe Bhi Jane
- Gile baalo mai kabhi bhi brush nahi karna chahiye.
- Ghar se bahar nikalte wakt hamesha apne baalo ko cover karke hi nikale.
- Hair Split Ends Treatment ke anusar kanghi karne ke liye hamesha pehle bade muh wali kanghi se baalo ko suljhaye fir patli kanghi ka upyog kare.
- Aap shayad nahi jante honge lekin papite ke prayog se bhi baalo ko do muha hona thik hota hai. Papite ke paste se baal badhte bhi hai.
- Arandi ke tel se bhi baalo ko acchi growth milti hai. Lekin arandi ka tel thoda gadha hota hai. Isliye iske tel mai thoda nariyal tel mila le. Aur iss tel se baalo ki massage kare. 3o minute baad baalo ko dho le.
- Anda bhi baalo ke liye behad upyogi hai. Darahsal ande mai fatty acid mojud hota hai jo do muhe baalo ki samasya ko dur karta hai. Ande mai moujud protein baalo ko majbut bhi banata hai. Iske liye 1 ande ko fatkar usme pani milakar sidhe baalo par lagaye aur aadhe ghante ke liye rehne de. Aap chahe to isme jaitun ka tel bhi mila sakte hai.
To aapne jana Home Remedies for Split Ends. Inn upayo ko apnane se aapko na keval do muhe baalo se nijad milegi balki aapke baal majboot aur mulayam bhi honge.