Typhoid ek janleva sankramak bimari hai jo ki salmonella typhi namak bacteria ke karan hoti hai. Yeh bacteria khana khane se tatha pey padartho ke sevan se hamare sharir mai pahuchta hai. Pachan tantra tatha khun mai milkar sankramak rog failata hai aur isse sankramit vyakti ko bhukhar ho jata hai.
Salmonella typhi bacteria sharir ke andar ek sthan se dusre sthan jaise liver, gallbladder aadi mai ghumte rehte hai. Iske hamale se sharir ke kai hisse par dard ka anubhav mehsus hota hai aur dhire dhire sharir kamjoor ho jata hai.
Iske atirikt sharir mai tej dard hone se sar mai kaafi tanav bana rehta hai. Typhoid ka adhikansh prabhav ganda pani pine se hota hai. Iske hone par ulti, dast, mal mai khun aana, liver ka badna aadi samasyae hoti hai. Yadi isme laparwahi barti jaye to vyakti ki mritu bhi ho sakti hai. Iske upchar ke liye janiye Home Remedies for Typhoid Fever.
Home Remedies for Typhoid Fever: Motijhara Ke Gharelu Upchar
You may also like:- Malaria Symptoms in Hindi: Machhar se Hone Wali Bimari
Adrak aur Pudina Se Bani Aushdhi
Adrak ka ek tukda aur pudina ki kuch pattiyo ko alag alag kar mixer mai pees le, tatha Iska sevan karne ke liye 1 cup pani mai pudina ka paste aur 1 chammach adrak ka paste dalkar ghol bana le. Iss bane huye ghol ko subah aur sham piye, isse aapka bukhar kam ho jayega kyonki pudina mai antibiotic gun hote hai jo sharir ki pratiordhak shamata ko badate hai.
Rog Nivarak Tulsi
Tulsi se aushdhi banane ke liye tulsi ke patte mai thoda sa kesar aur 5 kali mirch ke dane lekar sabko ek sath pees le aur bane huye paste ek glass pani mai dalkar din mai 3 baar piye isse bukhar ka prabhav kam hone lagega. Yeh typhoid ke liye bahut uttam aushdhi hai. Isme hone wale antibacterial aur antibiotic gun sankramak failane wale bacteria ko khatam kar dete hai. Jisse wapis Typhoid Disease hone ki sambhavana kam ho jati hai.
Iske alawa tulsi ki 20 pattiyo ko adrak ke paste ke sath milakar halke gungune pani mai milaye tatha thoda sa shahad bhi mila de. Iss ghol ko din mai 3 baar piye, iss ghol ko pine se bhi bukhar utar jata hai.
Khub Pani Piye
Typhoid ke samay sharir mai ulti tatha dast bhi hone lagta hai jisse sharir mai pani ki kami ho jati hai. Isliye typhoid ke douran sharir mai pani ki kami na hone de, aur har thodi der mai pani ko ubal kar piye. Aap chahe to pani mai glucon-D bhi dal sakte hai. Isse aapke sharir mai kamjoori nahi aayegi aur sharir taral bana rahega sath hi sharir ko jaruri minerals tatva mil jayenge.
Wahi aap thande pani ki pattiya bhigo bhigo kar sharir ko ponche ya sar par rakhe aesa karne se labh milega aur sharir ka tapman kam hoga. Yeh ek aasan Typhoid Fever Treatment hai. Iss prakriya ko karte samay dhyan rakhe ki kapde ko samay par badalte rahe. Iss prakriya ko aap samanya bukhar mai bhi kar sakte hai aur iske liye hamesha taje pani ka upyog kare.
Seb Ke Sirke Ka Istemal
Seb ka sirka aasani se bajar mai mil jata hai tatha yeh typhoid ke liye sabse sasti aur faydemand dawa hai. Kyonki isme upastith acid sharir se garmi ko bahar kar deta hai aur isme paye jane wale minerals bukhar ko dur bhaga dete hai.
Iska upyog karne ke liye do bhag pani mai ek bhag seb ke sirke ko dale tatha kapde ko isme bhigo de. Ab bhige huye kapde ki patti ko mathe par rakhe ya aap chahe to ise talve par bhi rakh sakti hai. Jaise hi kapda garam ho jaye use fir se ghol mai dale aur nichod ke wahi prakriya prarambh kare.
You may also like:- Common Diseases in India: Bharat mai Hone Wale Rog
Seb Ka Ras Bhi Faydemand
Typhoid ke bukhar ko kam karne ke liye, seb ke ras mai adrak ko milakar pine se bukhar se nijat milti hai. Iska upyog karne ke liye sabse pehle adrak ke tukde ka paste bana le aur ek chammach adrak ke paste ko ek katori seb ke ras mai dal de. Iss bane huye ras ko subah aur sham ko piye isse bhukhar ka prabhav kaafi had tak kam hota hai.
Fungus Rodhi Lahsun
Lahsun ka sevan sharir mai garmi lakar pasina lata hai jisse sharir ka tapman kam hota hai. Iske alawa yeh sharir se dushit padartho ko bahar nikalne mai bhi madad karta hai. Itna hi nahi yeh antibacterial guno se bharpur hoti hai jo sharir ki pratirodhak shamta ko badane mai madad karti hai.
Typhoid ki bimari mai lahsun ka sevan karne ke liye iski kali ko pees le tatha garam pani mai milaye tatha ise 10 minute ke liye dhak kar rakh de. Ab iss pani ko chahne tatha har thodi der mai ghut ghut kar din mai do baar piye. Isko pine se bukhar se rahat milegi.
Iske alawa 2 lahsun ko bhunkar usme 2 chammach olive oil dale aur garam kar le. Jab yeh thoda thanda ho jaye tab pairo ke talve par iss bane huye tel ko lagaye. Yeh typhoid dur karne ka accha illaj hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Typhoid Fever in Hindi. Yadi aap bhi miyadi bukhar se prabhavit ho gaye hai to upar diye gayr upcharo ko apnaye. Iss douran tali-bhuni, masaledar aur bahar ki chizo se parhej kare.