Vaginitis vah istithi hoti hai. Jo mahilao mai youni ke kshetra ko prabhavit karti hai. Ise white bhi kaha jata hai, kyoki isme safed rang ka discharge hota hata hai. Smanyta yeh white discharge sharir ke andar jane vale bacterial tatha anye shuksam jivo ko bahar nikalne ka kaam karta hai.
Lekin kabhi bhi dekha gaya hai ki, mahilao ko yeh white discharge ki problem jayada hone lagti hai, jiske chalet vo unhe kai anye pareshani ka samna karna padta hai. Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Home Remedies for Vaginitis.
Samanyta yeh secretion halka safed aur bdburahit hota hai. Prantu kabhi bhi yeh alag rang bhi hota hai, jo isko rachna par nirbhar karta hai. Kahne ka matlab hai ki, har mahilao ko yeh pareshani alag-alag tarike se hoti hai.
Yadi yeh partdar epithelium aur mucus se bana hota hai to iska rang saged hota hai aur yadi isme pas bacterial hota hai to iska rang peela aur hara hota hai.
Expert ka kahna hai ki, vaginitis hota hai sharer mai estrogen ka imbalance. Aise mai sankraman ki isthiti mai ya youn sancharit rogo (STD) ke karan yeh white discharge ka flow bad jata hai.
Kuch mahilaye yeh istrav kuch bunde tak simit hota hai, jabki kuch mai yeh lagatar hota hai. Tatha jaruri nahi ki yeh hamesha nuksaan dayak ho.Youni ke sankraman mai bacterial sankraman, yeast infection aur fangs aate hai. Mahillao mai masik dhram ke doran bhi vaginitis dekha gaya hai.
Home Remedies for Vaginitis, Leukorrhea Problem se Nijaat Pana Huya Aasan
Bhindi
Home Remedies for Vaginitis ki baat kare to bhindi ka naam sabse pahle aata hai. Bhindi mai yeh upyogi khanij paye jate hai, jo Yonisotha mai laabhkari hote hai. 100 gram bindi le tatha usme 1 liter pani milaiye. Ise kam se kam20 minutes tak ubale. Fir thanda hone ke baad isme meetha milaiye aur ise pratidin jitna adhik sambhav ho piye. Aisa tab tak kare jab tak iske lakshan dur na ho jaye.
You may also like:- Leukorrhea Ke Causes, Symptoms, Treatment Aur Precaution
Aam Ki Guthli
Aam ki guthli ko sukhakra, pis kar iska chund bana lijiye. Vaginitis ke upchar ke liye iss chund mai thoda sa pani milakar ek paste banaye aur youni ke bahari tatha antrik bhag mai lagaiye.
Methi Dana
Thande pani mai methi dana mialiye tatha dhimi anch par ise lagbhag 30 minutes tak ubale. Fir ise chhan kar, iska upyog youni ko dhone ke liye kare. Chai mai methi ke dane daal kar use pene se bhi bahut aaram milta hai.
Amrudh ki Pattiya
Amrudh ke paatiya ko pani mai bhigoye tatha 30 minute tak dheemi anch par ubale. Ise chhan le tatha iss pani ka chidkaav youni ke kshetre mai kare jab tak lakshan gayab na ho jaye.
Dhaniya Ke Beej
Vaginitis ki samasya mai dhaniye ke beej bahut laabhkari hote hai.Inhe raat bhar pani mai bhigokar rakhe subah iss pani ko chhan le tatha khali pet ise piye. Acche parinam ke liye kam se kam ek week tak aisa kare.
Akhrot ki Pattiya
Akhrot ki pattiya mai antistatic gun hote hai, jo sankraman ko theek karne aur vaginitis ke upchar mai sahayak hote hai. Akhrot ki pattiyo ko pani mai 2 minutes ke liye ubaliye. Fir is pani ke thanda hone par iss pani se aapne gupt ango ko dhoiye.
Chawal Ka Pani
Chawal dho le tatha usme se pani nikal le. Ab iss pani mai shahad ya sugar milkar isse meetha kar le. Ab aap iss pani ka niyamit roop se sevan kare. Jisse aapke gupt ango ki khuji aur infection bhi khatam ho jayega.
Vaginitis se Bachne Ke Liye Gharelu Upchar
Supari
Vaginitis ke upchar mai supari bahut prabhavkari hoti hai. Khana khane ke baad kuch supari khaye.Yeh bhavishaye mai hone vale vaginitis ki roktham mai bhi sahak hoti hai. Kuch supari le tatha usme gulab ki kuch pankhudiya aur thodi si chini milaiye, ab chahe to iska sevan kar sakte hai ya isse apne gupt ango dho bhi skate hai.
Amalaki Powder
Thoda sa Amalaki le tatha isme shahad ya sugar mialiye aur ise ek gilass pani mai milaiye aur iska sevan kare. Ise dudh mai bhi milakra piya ja sakta hai. Aap chahe to iska paste banakar ise youni mai bhi laga sakta hai.
Haldi aur Lahsun
Haldi aur lahsun ko saath milakar paste bnaiye. Yeh paste us isthiti mai bahut laabhkari hota hai, jab aapko discharge bahut adhik, gadha aur khujli vala hota hai.
Chandan ka Tel
Din mai 2 bar chandan ke tel ki kuch bundo ka sevan kare. Yeh ek bahut aacha tarika hai iss pareshani se nijaat pane ke liye. To hum bol sakte hai ki, yeh ek bahut aacha Home Remedies for Vaginitis hai.
Banana
Pakka huya ya bahut adhik pkaa huya kela vaginitis ke upchar mai bahut adhik laabhkari hota hai. Ek kela le tatha isme ghee milaiye fir iska sevan kare. Acche result ke liye din mai kam se kam 2 bar jarur khaye.
Jeera
Khuch jeera piskar le tatha ise shahad milakar youni par lagaye . Jeera ke saath banaya gaya koi bhi mishran vaginitis ke upchar mai sahayak hota hai.
Shatavari
Shatavari aur ashwagandha ko milkar ubaliye. Prabhavi roop se upchar ke liye ise piye. Isse aapko bahut jaldi hi aaram milenga.
Upar aapne jane Home Remedies for Vaginitis ke bare mai jaruri jankari. To bas der kis baat ki aaj se hi iss problem se bachne ke liye diye gaye upchar ko apna kar hamesha swasth rahiye.
Vaginitis se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Home Remedies.