Home Remedies for Acne: Ab Acne (Muhase) ka Ilaj Ghar Par

Acne (muhase) ek aam pareshani hai. Isse bahut se log grasit hote rahte hai. Iske hone ka karan hai agar aapke chehre par gandgi jama ho jati hai ya aapki skin bahut oily hoti hai.

To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Home Remedies for Acne. Jisse aap aasani se iss pareshani se bach sakte hai. Saath hi ek sundar twacha paa kar hamesha ke liye sundar dikh sakte hai.

Garmi ke dino mai aapki skin mai pani ki kami ke karan nami khone lagti hai aur rukhi ho jati hai. Iss karan se kil muhase ho jate hai aur agar iska sahi treatment na liya to muhase ho jate hai.

Har ladki chikne aur bedaag gaalo ki chah rakhti hai. Par aisa hona shayad hi kisi ki kismat mai hota ho. Muhase ya pimple hone ki wajah se chehre par daag pad jate hai, jisse chehre ki khubsurti par bahut bura asar padta hai.

Lekin dariye mat, agar aap bhi muhase hone se pareshan hai. To niche batatye gaye upay ke dwara aap iss samasya se hamesha ke liye bach sakte hai.

Wese bajar mai bahut se cream aur face pack aate hai jo muhase ko dur karne ke liye bahut hi laabhkari hote hai. Par hum bajar jane ki jarurat kyo kare, jab hamare paas ghar par hi bahut se upay hai iss problem se ladne ke liye.

Home Remedies for Acne: Muhase ke Liye Dawa Nahi Gharelu Nuskhe Bhi Hai

Home Remedies for Acne

Baking soda

Yeh acne ki sabse acchi remedy mani jati hai. Yeh blackheads aur white heads ko dur karke aapki skin ko chamakdar banata hai. Ek tea spoon baking soda mai garam pani ke saath shahad milkar face par apply kare phir 10 minute bad wash karle aur dekhe isse aneko fayde.

 Tea Tree Oil

Yeh skin ke liye bahut accha antiseptic aur antimicrobial hai. Iske liye do badhe chammach mai distilled water mai ek spoon baking soda, shahad aur 5-6 drop tea tree oil ki dale ab iss mask ko face par lagaye phir wash kar le. Yeh bahut aasan aur sidha upay hai acne ki problem se mukt hone ka.

Dhaniya or Pudina  ka Ras (Coriander and Mint juice)

Ek spoon dhaniya aur pudina ke ras mai ek chutki haldi milakar roj sone se pahle lagye.

Shahad aur Dalchini (Honey and Cinnamon)

Shahad aur dalchini ka paste banale phir sone se pahle ise apne chehre par lagle aur subah gungune pani se muh dhole. Isse aapko bahut laabh milega.

You may also like:- Homemade Face Mask for Acne, Muhase ke Liye Upchar

Gobhi ke Patte (Cabbage Leaves)

Gobhi ke patte ko piskar ise muhase par lagaye 30 minute ke baad wash kar le. Iss prayog ko rojana karne se aapko bahut jaldi result milega. Aur aap Acne ki problem se hamesha ke liye chutkara pa sakte hai.

Namak aur Nimbu ka Ras (Salt and lemon juice)

Half spoon namak mai 2 spoon lemon juice milakar 20 se 30 minute face par laga kar chhod de. Phir halke hatho se ragad kar saaf kar le. Yeh aapko bahut jaldi acne se aaram pahuchayega.

Kheera

Home Remedies for Acne ki baat kare to kheera ka naam sabse pahle aata hai. Kheere mai turant muhase thik karne aur saaf karne ki shakti hoti hai. Iske liye aap kheere ko piss lijiye aur apne chehre par ek ghante ke liye lagaiye aur phir thande pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse na keval pimple saaf hoti hai, balki yeh pimple ko hone se bhi rokta hai.

Home Remedies for Acne, Muhase se Chutkara Huya ab Aasan

Home Remedies for Acne

Shahad

Isko pimple ke daag wali jagah par lagaiye aur 45 minutes tak laga rahne de. Isko sukhne ke baad thande pani se apne chehre ko dho lijiye.

Gulab Jal aur Nimbu ka Ras

Ek chammach nimbu ke ras mai 2 chammach gulab jal ki milaiye. Ab iss ghol se apne chehre ko poch lijiye aur 20 minutes tak aisi hi rahne de fir sade pani se apne chehre ko dho ljiye. Ise regular lagane se chehra bedaag jo jayega. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Home Remedies for Acne hai.

You may also like:- Home Remedies for Ringworm- Daad ki Samasya se Duri Paye

Ice

Muhase hone ke wajah se twacha ke pores kafi badhe ho jate hai. Isko kam karne ke liye aur daag ko hatane ke liye chehre par 15 minutes ke liye baraf se malish kijiye.

Nariyal Pani

Iss pani se muh dhone se chehre ke daag saaf ho jate hai. Yeh ek bhaut accha gharelu upchar hai, pimple hatane ke liye.

Santre ka Chhilka

Santre ke chhilke aur besan ka lap bana kar lagane se aapke chehra bahut sundar ho jata hai. Santre ko khane se jitna laabh milta hai. Uske chhilke mai bhi utna hi laabh hota hai. Aap chahe to santre ke chhilke mai gulabh jal ko milakar bhi laga sakte hai.

Triphala Churna

Roz raat mai sone se pahle triphala churna ka sevan kijiye. Isse aapke muhase hamesha ke liye khatam ho jayenge. Saath hi aapki kisi bhi prakaar ki skin problem bhi khatam ho jati hai. Saath hi isse aapka blood bhi saaf hota hai.

Pani

Pani ka sevan khub sara kijiye. Ho sake to gungune pani ka sevan kijiye. Isse aapki acne ki samasya hamesha ke liye khatam ho jati hai. Iske saath hi aapko junk food ka sevan bhi nahi karna chahiye.

Upar aapne jane Home Remedies for Acne. To bas aaj ise inn gharelu upchar ke dwara muhase ki samasya ko dur kijiye aur hamesha ke liye sundar skin paiye.

Get more details about Acne from Home Remedies.

Loading...

You may also like...