Homemade Hair Conditioner in Hindi: Mulayam Baalo Ke Liye

Chamakdar aur sulje resham se baal har ladki chahti hai. Iske liye conditioner aapki madad kar sakte hai.

Baalo ko dhone ke bad unn par conditioner lagaye ye na sirf baalo ko mulayam aur chamakdaar banate hai balki dhul mitti, pardushan aur dhup ke prabhav se bhi bachate hai.

Baalo par conditioner lagane se do muhe baalo se bhi chutkara milta hai aur baalo ka rukhapan bhi khatam ho jata hai. Lekin bajar mai milne wale conditioner bahut se logo ke baalo ko suit nahi karte aur unke baal kharab ho jate hai. Sath hi sath yeh kaafi mehnge bhi hote hai. Isliye padhe Homemade Hair Conditioner in Hindi.
 

Homemade Hair Conditioner in Hindi: Baalo Ko Banaye Chamakdar

 

 

Kele aur Dudh Ka Mishran

Dudh aur kele se bane huye mishran ko baalo mai lagane par baalo mai chamak to aati hai sath hi aapke baalo mai uljhane bhi nahi hoti.

  • Ek cup dudh mai ek kela aur 1 chhoti chammach naiyal ka tel milaye aur mishran taiyar kar le.
  • Ise kisi brush ki sahayata se baalo mai lagaye aur 20 minute tak laga rehne de.
  • Baalo ko halke garam pani se dho le aap jaise reshmi baal chati hai aap pa legi.

 

Nariyal aur Jaitun Ka Tel

Yadi aap straight baal chahti hai to, nariyal aur jaitun ka tel dono ko ek sath milakar baalo par lagaye. Yeh aapke baalo ke liye bahut accha vikalp hai. Iske alawa yeh Best Hair Conditioner for Dry Hair bhi hai.

  • Nariyal ka tel aur jaitun ke tel ko barabar matra mai lekar acche se mila le aur tel mai ungliyo ko dubokar ungliyo ki sahayata se baalo mai lagaye.
  • Pure baalo mai tel ko acche se lagane ke bad karib 2 ghante bad baalo ko dho le taaki baalo se tel nikal jaye aur baalo mai nami bani rahe.
  • Yadi baalo mai tel reh gaya hai to aapke baal chipchipe ho jayenge.

 

Avocado Baalo Ki Chamak Banaye Rakhe

Avocado baalo ke liye bahut faydemand hota hai kyonki isme fatty acid hote hai. Jo baalo ko prakratik rup se kale ghane aur chamakdar banate hai. Avacado ka kuch din baalo mai istemal karne par baalo ki khubsurti bad jati hai.

  • Avacoda ke gude mai 2 bade chammach jaitun ka tel, 2 bade chammach pani tatha 2 bade chammach malai le aur sabko acche se mila le.
  • Iss bane huye mishran ko baalo mai lagaye tatha 20 minute ke liye aese hi chhod de.
  • Ab baalo ko thande pani se dho le aur chamakdar baal paye.

 

Baalo mai Lagaye Shahad aur Nimbu

Vaise to shahad aur nimbu sabse gharelu upchar hai kyonki yeh guno se bharpur hai.  Tatha yeh Conditioner for Oily Hair ke liye bahut karagar sabit hota hai. Yadi kisi ko rusi bhi hai to iske istemal se samapt ho jayegi.

  • 1 bada chammach shahad, 4 chhoti chammach nimbu ka ras, aur 3 chhoti chammach nariyal ka tel sabko mix kar le.
  • Iss bane huye ghol ko dhule huye baalo mai laga le.
  • Ise baalo mai kairb aadhe ghante tak laga rehne de aur fir sar dho le.

 

Anda aur Dahi Baalo mai Lagaye

Anda aur dahi ko baalo mai lagane par baal chamakdar aur silky bante hai. Kyoki ande mai protein adhik matra mai hota hai tatha dahi mai lactic acid aur vitamin dono paye jate hai. Jo baalo ke liye bahut faydemand hote hai.

  • Sabse pehle ande ka safed bhag tatha usme 1 cup dahi dale aur ise acche se mila le.
  • Iss bane huye mishran ko baalo mai lagaye aur ise aadhe ghante tak baalo mai lagaye rakhe.
  • Jab yeh sukh jaye to shampoo se baalo ko acche se dho le.

 

Jane Kuch Anya Gharelu Upchar

Nariyal ka dudh aur nariyal tel ko acche se mila le aur sar ki scalp par ungliyo se acche se malish kare. Ise karib 20 minute tak rakhe aur baal dho le.

  1. Safed sirke ki kuch bund ko balti bhar pani mai milaye aur shampoo karne ke bad sirke ke pani se baal dhoye. Kuch hi hafte mai fark dikhne lagega.
  2. Chai ki patti ko pani mai ubal le aur pani ko chhankar thanda karle tatha isi pani se baalo ko dho le.
  3. Bear bhi baalo ke conditioner ka kaam karta hai. Ise baalo mai lagane ke liye bear ki kuch bunde pani mai dale aur shampoo karne ke baad bear ke pani se baalo ko dho le.

 
Upar aapne jana Homemade Hair Conditioner in Hindi. Yadi aapke baal bhi rukhe bejaan hai to upar diye gaye upayo ko jarur apnaye.
 

Loading...

This website uses cookies.