Yadi aapki twacha rukhi ho to yeh phatne lagti hai. Sath hi sath twacha ki puri chamak chali jati hai. Isliye aapko twacha ke liye poshan chahiye. Moisturizer aapki twacha mai nami lakar ise phatne se bachata hai.
Isse aapki twacha bahari pradushan se protect bhi rehti hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai How to Apply Moisturizer. Taki aap apni twacha ko khayal rakh sake.
Moisturizer ko lagane ke tarike ke sath sath yeh bhi mayne rakhta hai ki aap kis moisturizer ka istemal kar rahe. Iske liye apni twacha ke type ka khayal jarur rakhe. Behtar hoga aap skin specialist se hi raay le. Wo aapko aapki twacha ke anusar hi moisturizer ki salah denge.
Aasan Steps mai Janiye How to Apply Moisturizer on Face
Pehle Apne Chehre Ko Acche Se Dhoye
Moisturizer lagane se pehle aapko apne chehre ko acche se dhona chahiye. Yadi aap bahar se aaye hai to apne chehre ko pehle mild facewash se dhoye. link par click karke Face wash ke bare mai jane. Yadi aap ghar mai hi the to apne chehre ko keval pani se bhi dho sakte hai. Ab towel se apne chehre ko halke hatho se ponch le.
Yadi Toner Lagana Chahte Hai To Pehle Lagaye
Yadi aap toner ka istemal karna chahte hai to ise kabhi bhi moisturizer ke bad mat lagaye. Muh dhone ke bad pehle toner laga le. Iske bad aap moisturizer laga sakte hai. Jab toner lagane ke bad aapke chehre par halki si nami ho aap tab moisturizer laga sakte hai. Lekin yadi aapke chehre par pani ho to tab aapko ise nahi lagana chahiye.
Product Ke Hisab Se Iski Matra Le
Moisturizer ka istemal karne ke liye ise hatho par le. Aapko sabhi prakar ke moisturizer ek saman matra mai nahi lena hai. Aapko ek bar mai kitna moisturizer lena hai yeh uske product type par depend karta hai.
Jis product ko aap istemal kar rahe hai yadi wo bahut jyada light hai to aapko iski matra thodi jyada leni padhegi. Kyoki yeh bahut jaldi sukh jata hai, aur aapki twacha bahut jaldi rukhi ho jati hai.
Wahi yadi aap ko product istemal kar rahe hai wo gadha aur oily hai to iski kam matra lagakar bhi aap apni twacha ko pure din hydrate rakh sakte hai. Iss baat ka dhyan rakhe ki har tarah ki sabhi skin type ke liye alag alag products aate hai jaise rukhi twacha ke liye, teliya twacha ke liye yaha tak ki Moisturizer for Combination Skin bhi aapko bajar mai mil jayega.
Chehre Ke Hisso Par Aese Lagaye
Aapko apne chehre ke hisse jaise matha, gaal, thuddi aur naak par acche se moisturizer lagana hai. Inme se yadi aapke chehre ke kuch hisse rukhe hai to waha iski matra kuch jyada lagaye. Wahi yadi kuch hisse oily hai to waha iski matra bahut kam le.
Moisturizer ko keval chehre par hi nahi balki gale par bhi lagaye. Nahi to aapka chehra aur gale ka tone kuch din bad bahut alag dikhne lag jayega. Yadi aap deep gale ki dress pehante hai to waha bhi spf wala day moisturizer lagaye.
Face Par Halki Massage Karte Huye Lagaye
Moisturizer lagane ke liye circular motion mai apni ungaliya ghumaye. Taki cream acche se twacha ke andar absorb ho jaye. Aap up-down motion mai bhi ise kar sakte hai. Sabse pehle gardan se shuruwat kare. Fir galo par, fir mathe aur thuddi par.
Aankho Ke Aaspas Lagane Se Bache
Moisturizer ko kabhi bahi apne aankho ke aaspas na lagaye. Yadi aap aankho ke niche bhi kuch lagana chahte hai to under eye cream ka istemal kare.
Makeup Sukhne Se Pehle Moisturizer Jarur Lagaye
Kuch log moisturizer lagate hi face par makeup kar lete hai. Aesa katai na kare. Kisi bhi makeup product ya foundation ka istemal karne se pehle moisturizer ko kam se kam 4-5 minute tak sukhne de.
5 minute bad aap apne hisab se makeup product ka istemal kar sakti hai. Yadi aapka moisturizer spf yukt nahi hai aur aap alag se sunscreen ka istemal karna chahti hai to ise moisturizer ke bad laga le. Aur ek bat ka khayal rakhe ki wo aapki twacha ke anuroop hi ho.
Inn Baato Ka Bhi Rakhe Khayal:-
- Hafte mai ek din apne chehre ko exfoliate jarur kare. Taki sare dead cells nikal jaye. Yadi aap aesa nahi karenge aur roj moisturizer lagate jayenge to bhi koi fayda nahi milega.
- Moisturizer lagane se pehle jab bhi aap chehra dhote hai to garm pani ka istemal na kare. Thande pani se chehra dhoye. Aur yadi thand ke din hai to gungune pani se chehra dhoye.
- Moisturizer ka istemal aap din mai 2 bar kar sakte hai. Gande face par kabhi bhi ise na lagaye. Hamesha chehra dhula hua hi hona chahiye.
- Hamesha Good Quality Moisturizer ka hi istemal kare. Saste products ke piche na bhage.
- Kuch log sochte hai ki teliya twacha walo ko ise nahi lagana chahiye. Aesa kuch nahi hai, aap ise laga sakte hai, lekin aapko khas teliya twacha walo ke liye bana hua product istemal karna hoga.
Upar aapne jana How to Apply Moisturizer. Jab aap ise lagane ka tarika jaan gaye hai to aaj se hi iska istemal karna shuru kar de. Bhale hi aapne chehre par moisturizer lagaya hai tab bhi raat ko sone se pehle makeup jarur utare.