How to End a Relationship: Rishte Ko Kaise Khatm Kare

Rishte har kisi ke liye mahatvapurn hote hai, lekin kai baar aese halat aa jate hai ki inn rishto ko khatm karna jaruri ho jata hai. Lekin kisi bhi rishte ko khatm karna itna aasan nahi hai jitna ki aesa bolna.

Yeh bahut mushkil hota hai, kyonki jab vyakti apne sathi se rishta khatm karta hai to wah bhavnatamak rup se bahut tut jata hai. Isme vyakti kai dukh tatha pareshaniyo ka samna karta hai.

Jab aap iss tarah ka faisla lete hai usse pehle aapko iss bare mai bahut sochna samjhana chahiye tatha rishte ko khatm karne ke karan bhi hona chahiye. Aur rishta khatm karne ke liye aap iss bat ko pura pakka kar le ki aap such mai aapke rishte ko khatm karna chahte hai.

Aap rishte ki maryada tatha aapke sathi se alag hone ki sare pehlu jankar hi alag hone ka faisla le taki aapko aapke faisle par dobara sochna na pade. Aaj hum aapko batane ja rahe hai rishte ko kaise khatm kiya jaye to padhe How to End a Relationship in Hindi.
 

How to End a Relationship in Hindi – Janiye Behtar Salah

 

 

Aapke Sathi Se Iss Bare mai Baat Kare

  • Jab aap apne sathi se rishta khatm karne ka soch rahe hai to sabse pehle unhi se iss bare mai bat kare.
  • Unhe bole ki aapko unse jaruri bat karna hai parantu unhe aesa mehsus na karvaye ki aap unse pyar bhari bat karne wale hai.
  • Yadi aapne soch liya hai ki rishta khatm karna hai to jitna jaldi ho sake rishte ko khatm kar de kyonki iss baat ko jyada badane se aapko aur unko pareshaniya hi aayegi.
  • Yadi aap apne sathi se iss bare mai bat karne se dar rahe hai to unhe text, mail ya phone call karke bhi iss bare mai bata sakte hai.

 

Rishte Ko Galat Tarike Se Khatm Naa Kare

  • Relationship Ending ke liye ek dusre par iljam na lagaye.
  • Kai bar rishte ko khatm karne ke liye sathi ki galtiya nikali jati hai taki aap apna guilt kam kar sake.
  • Ek dusre se purani baato ko lekar sikayat ya ek dusre ki aalochana na kare, kyonki yeh aap aur aapke sathi ko jyada dukh pahuchayegi.
  • Kai bar kai salo ke rishte ke bad aapko lagta hai ki aapke sathi ke sath ab nahi reh sakte to aap unke sath shikayat karne lag jate hai.
  • Kabhi bhi rishte ki khatm karne ke liye inn sab chijo ka sahara na le, isse aapka rishta khrab moud par aakar khatm hoga.

 

Aap Aage Badna Chahte Hai to Maaf Karna Sikhe

  • Aap apne rishte ko khatam karne ke liye juth ka sahara naa le aur imandari se apne sathi se baat kare.
  • Unse maafi mange ki aapne unhe dukh pahuchaya hai lekin unhe chhodne ke liye mafi na mange.
  • Agar aapko lagta hai ki aapke sathi se rishte ko todne ki baat ki jayegi to wo chillayenge tatha aapse apshabd kahenge to aesi bat ke liye ghar par hi baat kare, kisi public sthan ka chayan naa kare.

 

Imandar Bane Par Jhagda Na Kare

  • Aapke sathi ko har wo baat imandari se bataye jiski wajah se aap unse alag hona chahte hai.
  • Sabse mushkil baat yadi aap aapke sathi se pyar nahi karte aur isme unki koi galti bhi nahi hai to yeh bat bhi puri imandari se unse kahe. Yeh Best Way to Finish a Relationship hai.
  • Kabhi bhi aapke sathi ko chhota aur unhe vyarth na meshsus hone de aur na hi unse yeh kahe ki aapko koi better mil sakta hai.

 

Unke Asahaj Vyavhar Ke Liye Taiyar Rahe

  • Jab aapka sathi aapse rishta todne ki baat sunega to wah chokenga tatha dukhi bhi hoga aise mai wah gussa karta hai to use shant karne ki koshish kare.
  • Agar aapke sathi ko chhodne ke bad aapko uski chinta satati hai to aapke kisi acche mitra ko call karke sari baat bataye aur use iss matter mai madad le.
  • Agar aapke sathi rishte todne ke bare mai aapse baat karna chahta hai to unse baat kare aur puri imandari ke sath unke prashno ka uttar de. Unhe bhi Relationship Problems se nikalne ka mouka de.

 

Dost Banane Ka Prayas Na Kare

  • Agar aapka sathi aapse puchta hai ki kya hum dost ban sakte hai to aap unhe iss baat ke liye saaf inkar kar de.
  • Yadi aap dost banate hai to aapke aage ke rishte ke liye aapko kai pareshaniyo ka saman karna pad sakta hai.

 
Upar aapne jana How to End a Relationship in Hindi. Inn tariko ko ajmakar aap aapke rishto ko sahi disha mai khatm kar sakte hai taki aapko bhavishya mai fir iss pareshani se na gujarna pade.

Loading...

This website uses cookies.