How to Get Fair Skin, Ek Week Me Paiye Gori Twacha

Aksar dekha gaya ha ki gori twacha ko khubsoorati ka paimana mante hai. Isi khubsoorati ko hasil karne ke liye tarah tarah ke upay bhi kiye jate hai. Mahangi cream, lotion aadi sabka upyog kiya jata hai. Lekin jab aap ghar baithe gori twacha pa sakti hai, to itni bhag doud kyu karna. To chaliye hum aapko batate hai, How to Get Fair Skin. Jisse ki aap ghar par hi rah kar sundar dikh sakte hai.

Sach to yeh ki rangat keval ek raat me nahi badlti hai. Isme samay lagta hai. Agar aap bhi gora hona chahte hai to ghar me moujud cheezo se hi apne roop ko nikhar sakte hai. Lekin sabse pahle hum aapko batate hai ki sundar twacha ka raaj aapke aahar me chupa hota hai. To jaruri hai ki aap sahi aahar khaye.

Food for Glowing Skin, Sahi Aahar se Nikhariye Apni Twacha

Nimbu ka Ras

• Yeh khane se aapki skin glow karti hai. Yeh twacha ke liye har prakaar se faydemand hota hai.
• Yeh aapki skin ke pores ko tight karta hai aur chehre se tel ko hatata hai. Saath hi iske sevan se chehra ekdam saaf aur chamakdaar ban jata hai.

Jamun aur Strawberry

• Strawberry, blue berry, black berry aur jamun me antioxidant tatav paye hate hai. Jo ki twacha ko damage hone se rokta hai. Isko kha kar aapki skin javan aur bina daag dhabbe ki dikhai degi.
• Aap inko dahi ke saath bhi kha sakte hai, to iska jyada prabhav padega.

Palak aur Gajar

• Inme bahut sara Vitamin A paya jata hai, jo healthy skin banaye rakhne ka karya karta hai.
• To agar aap isko apne aahar me nahi lengi to iski kami twacha rukhi-sukhi aur bejan ho jayengi. Yeh sabji sharir ko nikharne ka karya karti hai.

Green Tea

• Food for Glowing Skin me green tea ka naam sabse pahle aata hai. Isme anti-oxidant aur anti-inflammatory ke gun paye jate hai. Yeh chehre ki sujan ko kam karta hai, bacterial ko dur karta hai aur cell lining ko surakshit karta hai.
• Twacha ko sun burn ke prabhav se bachne wali yeh green tea, skin cancer ko bhi dur bhagati hai.
• Isliye roz din me do ya teen bar green tea pijiye. Isse motapa bhi kam hota hai.

You may also like:- Health Benefits of Green Tea Which you Should Know About!

Badam

• Nuts, jese badam aur akhrot me aise tatva paye jate hai, jisko kha kar aapki skin soft ban jati hai.
• Badam me aapko Vitamin E milenga jisse twacha chamkdar banti hai aur ageing nahi aati hai. Saath hi jinki skin rukhi hai, unhe apni twacha ko nami pradaan karne ke liye badam avashaya khana chahiye.

Pani

• Twacha ke liye sabse jyada jaruri hai pani, jo twacha aur sharir dono ko hydrate karta hai. Pani pine se sharir se sari gandagi dur ho jati hai.
• Isliye agar aapko chmakadar twacha chahiye to khub sara pani piye aur skin ko saaf aur sundar banaiye.

Jaruri Vitamin

• Aksar mahilaye sochti hai ki unke cream aur loshan me vitamin C aur E mojud hota hai. To unhe apne aahar me in Vitamin ki jarurat nahi hai.
• Lekin yeh baat galat hai agar aap in Vitamin se bharpur phal aur sabjiyo khayengi to aapki twacha glow karengi.

Sahi aahar ke bare me janane ke baad chaliye hum aapko batate hai, Tips to Get Fair Skin.

How to Get Fair Skin in Hindi, Gori Twacha Pana Hua Bahut Aasan

Haldi

• Twacha ki rangat ko nikharne ke liye haldi ka prayog sabse uttam mana jata hai.
• Is paste banana ke liye haldi besan ko mix karke paste bana lijiye. Lekin hamesha dhyan rahe ki khadi haldi ka hi use kare.
• Ab is paste me taazi malai aur gada paste bana lijiye. Iss paste ko apne chehre par lagaiye phir 10 minutes ke baad chehre ko dho lijiye.

Honey aur Almond

• Badam me vo shakti hai, jo aapki twacha ke rang ko gora kar sakti hai. Raat bhar 10 badam ko pani me gala dijiye aur subah uthkar use chil kar paste bana lijiye.
• Ab is paste ke saath thoda sa shahad milaiye aur ab is paste ko apni twacha par lagaiye aur scrub ki tarah use kare. Yeh ek bahut hi asardaar upay hai. Aapki skin ko khubsoorat banane ke liye.

Chandan

• Yeh bhartiya mahilao ka beauty ka secret hai. Chandan gori rangat dene ke alawa yeh allergy aur pimple ko bhi dur bhagata hai.
• Is paste ko banane ke liye chandan powder me ek chammach nimbu aur tamator ka ras milaiye aur is paste apne chehre aur gardan par acchi tarah se lagaiye aur shukhne par chehre ko dho lijiye.

Kesar

• How to Get Fair Skin ki baat kare to kesar ki bahut mukhaya bhumika hai.
• Dahi aur cream me thodi si kesar ko mila lijiye. Ab is paste ko apne chehre par lagaiye aur sukhne tak laga rahne aur uske baad garam pani se apne chehre ko dho lo.

Masoor Dal

• Masoor Dal ka powder le isme ande ki jardi, nimbu ka ras tatha kaccha dudh milakar paste bana lo.
• Roz is paste ko apne chehre par lagaiye aur sukhne par chehre ko dho lijiye. Isse aapko adbhut laabh milenga.

Chironji

• Rogi twacha pane ke haldi, chironji ka powder le isme thoda sa shahad, nimbu ras aur gulab jal milakar paste bana lijiye.
• Iss paste ko chehre, gardan aur haatho par lagaiye aur ek ghante baad dho lijiye.
• Aisa week me do baar karne se aapki skin ka rang nikhar jayenga.

Besan aur Sarson ka Tel

• 2 chammach besan, ek chammach sarson ka tel aur thoda sa dudh mila kar paste bana le.
• Aap chahe to iss paste ko chehre ke saath saath pure sharir par bhi lag sakte hai. Isse aapki skin bahut soft ho jayengi.

Apni Skin ko Exfoliate Kare

• Week me ek baar exfoliate se twacha ke dead cell nikal jate hai aur tab aapki skin gori ho jati hai.
• Iske liye 2 chammach oatmeal me 2 chammach brown sugar tatha ¼ cup dudh milkar paste banaiye.
• Phir is paste ko apni skin par lagaiye aur sukhane par ragdke hata dijiye.

Upar apane jana How To Get Fair And Glowing Skin. To bas der kis baat ki aaj se hi in tips ko apna kar apni skin ko 1 week me gora banaiye aur sundar dikhiye.

See more details of Tips to Get Fair Skin from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.