Badalte wakt mai sab kuch badal gaya hai. Pehle jo log mote hote the wo khud ko khusnasib mante the. Unhe lagata tha ki wo khate pite ghar ke hai aur bahut swasth hai. Lekin aaj ke dour mai har koi slim trim aur fit rehna chahta hai. Vajan ghatane ki raah mai har koi apna alag tarika apanate hai.
Kuch log vyayam karte hai to kuch log dieting ko vajan ghatane ka jariya bana lete hai. Kai baar bhuke rehne se vajan kam bhi ho jata hai. Lekin iss tarah se vajan kam karne par kai tarah ki bimariya bhi pakad leti hai. Dieting karne par bahut se log thakan aur kamjori mehsus karte hai.
Yadi aap wakai mai apna vajan kam karna chahte hai to aapko dieting karne ki bajay apni dincharya mai vyayam aur sahi aahar lena shuru karna padega. Aapko yeh baat janna hogi ki sahi tarah se vajan ghatana hi aapke liye faydemand hai.
Tho aaiye jante hai Fast Weight Loss Tips in Hindi jiski madad se aap tezi se apna vajan kam kar sakte hai.
Fast Weight Loss Tips Hindi: Vajan Kam Karne Ke Asardarak Tarike
Weight Loss Drinks Se Ghataye Vajan
Shayad aapko yeh baat jankar yakin naa ho lekin kuch pey padharto ko pine se bhi vajan ko aasani se kam kiya ja sakta hai. Kuch drinks jaise soup, juice, lamen water aur pani ko apne ahar mai shamil karkar bhi aap kaafi had tak apna vajan kam kar sakte hai.
Phalo Ka Ras:
Rojana ek glass phalo ka ras pine se vajan ko kam kiya ja sakta hai. Kuch sodho se pata chala hai ki jo vyakti phalo ka ras pite hai unka teji se vajan to kam hota hi hai balki motape par bhi kafi had tak kabu paya ja sakta hai. Phalo ke ras mai vitamin, calcium, magnesium, phosphorous aadi tatwa paye jate hai jo ki sharir ke liye faydemand hote hai.
Pani Piye:
Kya aap jante hai ki hamare sharir ka 70% hissa pani hota hai. Ham aapko bata de ki sadharan pani pikar bhi ham vajan ko kam kar sakte hai. Iske liye rojana khana khane se pehale 2 glass pani pina chahiye aesa karne se aap overeating se bach sakte hai.
Green Tea Ka Sevan:
Green tea ke anginat faydo ke bare mai to ham hamesha se hi sunte aa rahe hai. Yadi din mai do cup green tea pee li jaye to isse metabolism sudharta hai aur vajan bhi nahi badhta.
Nimbu Pani:
Iske alawa subah uthate hi khali pet nimbu pani pine se bhi vajan ko kam kiya ja sakta hai. Lekin khyal rahe pani mai chini ki jagah shahad ka istemal kare.
Weight Loss Food Ko Kare Dincharya Mai Shamil
Sabut Anaaj:
Sabut anaaj mai shamil sabhi prakar ke anaajo ka sevan karne se bhi vajan ko teji se kam kiya ja sakta hai. Inn anaajo mai vitamin A, B, Magnesium, Calcium, Fiber aadi tatva paye jate hai jisse vajan ke sath sath motape ko kam karne mai bhi sahayak hote hai.
Brokali:
Brokali mai Phytonutrients namak enzyme paya jata hai. Yeh koshikao mai upasthit vasa ko jalane mai madad karta hai. Isme calorie ki matra bahut kam payi jati hai. Iss wajeh se yeh vajan kam karne mai sahayak hoti hai. Brokali ka upyog sabji ke sath-sath salad ke rup mai bhi kiya ja sakta hai.
Dalhan Ka Sevan:
Weight loss foods me dalhan yane ki pulses bhi shamil hai. Yeh sharir mai chayapachay ko niyantrit karta hai aur motape ko kam karne mai bhi sahayak hota hai. Pulses ka upyog daal banane ke sath sath salad ke roop mai kar sakte hai.
You May Also Like: How to Reduce Belly Fat: Pet Ki Charbi Dur Kare
Exercise Sabse Behtar
Cardio Exercise: Jo log apne badte vajan se kaafi pareshan ho chuke hai unke liye cardio exercise bahut hi faydemand vikap hai. Vajan ghatane ke sath- sath yeh hriday se jude rogo ki roktham ke liye bhi sahayak hoti hai.
Cycling:
Teji se Vajan kam karne ke liye cycling sabse accha tarika mana jata hai. Aesa karne se sharir mai moujud vasa ki matra kam hoti hai jo ki teji se Vajan ko kam karne mai sahayak hoti hai.
Running:
Rojana 1 km per minute ki rafter se dorne se vajan ko aasani se kam kiya ja sakta hai. Rojana dodne se hamara sharir bhi majbut hota hai. Isliye apni daily routine mai running jarur shamil kare. Shuruwati dour mai shayad aap jaldi na bhag sake, lekin niyamit tour par running karne se aap dhire dhire apne bhagne ki gati ko avashya bada lenge.
Anya Tarike Inhe Bhi Jane
- Vajan kam karne ke liye vitamin c se bharpur fruits jaise ki santre, mosambi bahut hi faydemand hote hai. Yeh sharir ke fat ko kam kar bhuk ko bhi jyada lagne nahi dete hai.
- Rojana garam pani mai 2 chammach shahad ko milakar pine se Vajan kiya ja sakta hai.
- Dahi ka sevan vajan kam karne ke sath sath motapa kam karne mai bhi sahayak hota hai
- Vajan kam karne ke liye kacche lehsun(Garlic) ka bhi prayog kiya jata hai. Ise kaccha khane ke sath-sath isme thoda sa shahad milakar bhi khaya jata hai, isse sharir ka blood circulation bhi niyantrit hota hai.
- Vajan kam karne ke liye tale huye padarth, fast food, junk food ka sevan bahut kam karna chahiye. Kyoki isme vasa aur calorie ki matra sabse adhik hoti hai.