Badta hua pet aajkal kai logo ki samasya ka karan ban chuka hai. Chahe wo stri ho ya purush har koi iss samasya se pareshan hai. Koi bhi bade hue pet ko pasand nahi karta. Jaha ek aur purush 6 abs chahte hai wahi dusri aur mahilaye patle pet aur kamar ki chahat rakhti hai.
Lekin badalte hue wakt ne sab badal ke rakh diya hai. Aajkal ke logo ko ac wale vatavaran mai computer par kam karna jyada pasand aata hai. Lekin we iss baat ko bhul jate hai ki lagatar baithne wali job hamare liye kai tarah ki samasya khadi kar sakti hai.
Ghanto baithane ki wajah se hamare pet mai dhire-dhire charbi jama hone lagta hai aur hamare pet ka aakar badhte chala jata hai. Yeh badha hua pet dekhane mai jitna bura lagta hai utna hi logo ke bich hamari image ko bhi prabhavit karta hai.
Aksar log iss badhe hue pet ki charbi ko kam karne ke liye exerceise aur vyayam karne ka than lete hai. Lekin vyayam ke jariye bhi charbi ghatane mai wakt lagta hai. Kuch dino mai bhi parivartan naa najar aane ke karan wo isse bich mai hi chhod dete hai. Darahsal pet ki charbi ko dur karne ke liye hame sirf vyayam hi nahi apne khan-pan aur jivan sheli par dhyan dena hoga. To aaiye iss lekh mai jante hai How to Reduce Belly Fat, pet ki charbi dur karne ki puri jankari.
Belly Fat Ko Kam Karne Ke Liye Prabhavi Tarike
Hamesha Vyayam Kare
Yadi ab aapne apne pet ki atirikt charbi ko kam karne ki than hi li hai. To aapko sabse pehle ye dhyan rakhna hai ki kisi bhi chiz ka result milne mai thoda wakt lagta hai. Isliye jab vyayam suru kare to bore hokar, ya fir result ki chinta karke ise bich mai na chode. Result milne ke liye aapko lambe samay tak vyayam karna hoga. Vyayam karne se sharir fit rehta hai aur belly fat bhi kam ho jata hai. Aap koi bhi vyayam apna sakti hai jaise running, cyling, swimming aadi.
Yoga Kare
Pet ki charbi ko kam karne mai yoga bhi bahut labhdayak hota hai. Ise karne se na sirf aap apne Belly Fat ko kam kar sakte hai balki iske jariye sharir ki anya bimariya bhi thik hoti hai. Aap niche diye gaye koi bhi yogasano ko apna sakte hai.
- Bhujangasana se pet ki charbi ko dur kiya ja sakta hai. Yeh aasan pet ke rogo ko dur karne ke sath-sath sharir ki haddiyo aur mashpesiyon ko bhi majbut banata hai.
- Balaasan bhi pet ki charbi dur karne mai asardarak hai. Yeh aasan karne ke liye dono haatho ko pichhe ki taraf modkar, saans lete huye, ghutne ke bal par baithate hai, aur apne sar ko niche ki taraf push karte hai. Yeh yogasan unn mahilao ko bilkul bhi nahi karna chahiye jo ki garbhvati hai ya fir ghutne ke dard se peedit hai.
- Pashchimottanasan- Yeh aasan bhi pet ki charbi ko kam kar sharir mai jame atirikt vasa ko kam karta hai.
Bharpur neend le
Aapko yeh sunkar bhale hi aashcharya ho raha hoga lekin swasth jeevan jine ke liye acchi nind lena bhi behad jaruri hai. Bharpur neend hamare stress harmons ko kam karti hai aur sath hi motapa bhi kam karti hai.
You May Also Like: Exercises for Back Fat: Kamar Ki Charbi Dur Karne Ke Upay
Upvas (Fast) Kare
Pet ki badti hui charbi ko dur karne ke liye hafte mai ek din kiya gaya upwas bhi behatar viakap hai. Upvas ka matlab yeh nahi ki pura hi bhuke rahe. Aap aese mai phalo ka sevan kar sakte hai.
Samay Par Khana Khaye
Samay par khana na khana bhi Belly fat ko badhne mai madadgar sabit hota hai. Kuch shodho se pata chala hai ki jo log roj samay par bhojan karte hai unke sharir mai bar-bar bhuk badhane wale harmons kam bante hai. Jo ki belly fat ko kam karne mai sahayak hote hai.
Phalo Ka Sevan
Pet ki charbi ko kam karne ke liye phalo sevan bhi madadgar hota hai. Agar aap rojana do seb khana shuru kar de, to aapko kaafi madad milegi. Darahsal seb mai daitry fiber hota hai jo ki Fiber, fitostrol aur beta-carotene flevonoyds se milkar belly fat ko kam karta hai. Iske sath hi seb mai moujud Pectin namak tatva hamare vajan ko kam karne mai bhi sahayak hota hai.
Yeh Upaye Bhi Apnaye
- Green tea mai moujud antioxidant, belly fat ko kam karne mai sahayak hota hai.
- Subah – Sham bhojan karne ke bad tehalne se bhi fat ko badhne se roka ja sakta hai.
- Anannas ka juice pina bhi belly fat kam karta hai. Isme moujud bromelain namak enzymes pet ki charbi ko kam kar pet ko spat banate hai.
- Khire bhi belly fat ko kam karne mai shayak hai. Yeh sharir ke vishanuyukt padarth ko kam karta hai aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai.
- Pet ki charbi ko kam karne ke liye ajwain bahut hi upyogi sabit hui hai. Iski pattiyo mai calories, fiber, calcium aur vitamin C moujud hota hai jo ki atirikt charbi ko kam karta hai.
- Motapa kam karne ke liye tamatar bhi bahut faydemand hai. Tamatar mai moujud 9-oxo-ODA yougik, khoon mai upasthit lipid ko kam karne ka kam karte hai, jisse belly fat ko kam kiya ja sakta hai. Sath hi tamatar motape se hone wale rogo mai bhi labhdayak hota hai.
- Belly fat aur motape ko kam karne ke liye adhik vasa yukt padarth ko chodkar adhik matra mai pey padarth jaise ki green tea, phalo ka juice aadi ka sevan karna chahiye.