Har vyakti kisi na kisi ke sath rishte ki dor mai bandha hua hai. Aur inn rishte mai pyar hone ke sath kai bar chhoti chhoti bato par behas hokar ladai bhi ho jati hai. Jab aap gusse mai hote hai to samne wale ko kai bar aese shabd bol dete hai jo aapko nahi bolna chahiye. Natijanat samne wala dukhi ho jata hai.
Jab ham kisi ko dukhi karte hai to uss wakt hum kuch nahi samjh pate parantu jab dimag shant hota hai aur unhi sab bato ko fir se ek bar sochte hai to hamari galti hame samajh aati hai. Iske bad hum sorry bolne ka prayas karte hai.
Parantu hame yeh samajh nahi aata ki samne wale se sorry kaise kaha jaye. Aur iss douran kai kashmkash chalti hai ki samne wala aapko maaf karega ya kahi wo aur jyada gussa na hojaye. Aapko jayda pareshan hone ki jarurat nahi hai ham aapko maafi mangne ke tarike bata rahe hai. Aaiye jane How to Say Sorry in Hindi.
How to Say Sorry in Hindi: Jane Maafi Kaise Mange
Apne Shabdo mai Maafi Mange
- Idhar udhar ki baate karne ki bajay saaf shabdo mai galti swikare.
- Unhe ehsas karvaye jo galti aapse hui hai wah galti fir se nahi hogi.
- Samne wale ke samne apni baat shant hokar rakhe aur unse dil se maafi mange kyonki dil ki bat dil tak jarur pahuchti hai. Aur isse rishte majboot bante hai.
- Soche ki aapki konsi baat se samne wala dukhi hua hai aur uss galti ko samjhe aur jaisa aap mehsus kar rahe hai unhe bataye tatha apne shabdo ke sahare se unse maafi magiye.
Paper Par Likh Kar Maafi Mange
- Yadi samne wala aapse bat karne ko taiyar nahi hai aur wo aapse bahut jyada naraj hai to paper par unhe maafi likh kar de sakte hai.
- Agar samne wala aapki baat nahi sun raha hai aur usi bat ko leke behas kiye ja raha hai to unhe text ya mail bhi kar sakte hai.
- Iss tarah wo aapki baat ko samjh bhi payega aur aap dono ke bich mai bina kisi bahas ke jaldi se sulah ho jayegi.
Face to Face Maafi Mange
- Unke samne jakar kahe ki aapko maafi magna hai aur jo bhi bat hui hai use maafi magkar khtam karna hai.
- Agar wo aap par thoda gussa karte hai to use samjhe aur fir unse kahe ki wo aapko maaf kar de.
- Yadi wo fir bhi aapse gussa hai to kuch din bad fir se unse face to face maafi mangne jaye, jab tab ki wo aapko maaf na kar de.
Unhe Aapse Sawal Puchne De
- Unke question ka aaram se aur bina kisi jhujhlahat ke uttar de.
- Agar samne wala aapse aapki galti par question karna chahta hai to use karne de.
- Unhe ehsas karwaye ki aapko aapki galti ka pachtava hai aur wo aapse tahe dil se maafi magna chahte hai.
Sabke Samne Unse Maafi Mange
- Relationship Advice ke anusar akele mai maafi mangana behtar hota hai lekin yadi koi baat sabke samne hui hai to sabke samne hi unse maafi mange.
- Aap unse apni galti ke liye publically aur romantic tarike apnakar bhi maafi maang sakte hai.
Technology Ka Le Sahara
- Yadi aap Ways to Say Sorry talash rahe hai to technology ek accha vikalp hai.
- Aap chahe to unke liye maafi magne wala gana likhe aur uska video banakar youtube par post kar de.
- Aap chahe to social networking website par sorry likh kar unhe tag kar sakte hai ya unke sath share kar sakte hai.
Cake Par Sorry Likhe
- Aap unke liye cake banaye ya bajar se kharid bhi sakte hai tatha uss par sorry likh sakte hai.
- Yeh tarika maafi karvane ke sath aap dono ke bich mai romance bhi le aayega.
- Iske alawa ho sakta hai jo aapse gussa hai wo gussa bhul bhi jaye.
- Saying Sorry to your Girlfriend ki baat kare to cake, chocolate, flowers yeh hamesha kam karne wale tarike hai.
- Yadi aapka boyfriend aap se gussa hai to uske liye market mai kai Sorry gifts for Boyfriend moujud hai.
Maafi Ko Record Karke De
- Sorry message ke sath 2 se 3 romantic song jo unke pasand ke ho wo record karke send kar sakte hai.
- Aap chahe to aapke shabdo mai unse maafi ko record kar le ya chhota sa message record karke unhe bhej de.
Gubbare Par Sorry Likhe
- Dil ke aakar ke bahut sare gubbare le jin par sorry likha ho aur unke samne jakar unhe de de.
- Aap chahe to guthne par baithkar bhi unse maafi mang sakte hai aur gubbare de sakte hai.
Upar aapne jana How to Say Sorry in Hindi. Uprokt diye huye tips ka sahara le aur jo aapse gussa hai unhe pyar se maafi mang kar mana le. Kyonki apno ko jyada din tak gusse mai nahi rehne dena chahiye.