Importance of Protein: Sharir ko Swasth Banaye

Bhojan ka mukhya avashyak tatva hai Protein. Ye manav sharir ke vikaas me sahayak poshak tatva hai. Yeh sharir ki cells ka nirmann karta hai. Iski prachur matra bhojan me rehne se sharir ki cells ka nirmann sucharu roop se jivan bhar chalta hai. Sharir ke sabhi prakriyao ke liye hume Protein ki jarurat padti hai. Importance of Protein itne hai ki ye humare sharir me jaruri tatvo ki purti samay samay par karte rehte hai.

Protein me Carbon, Hydrogen, Oxygen, Nitrogen paye jate hai. Isme Phosphorus bhi ho sakta hai. Proteins me Nitrogen ki adhikta rehti hai. Fats aur Carbohydrates ki tarah humara sharir Proteins ko store nahi kar pata hai isliye swasth aur nirogi rehne ke liye roz aahar me Proteins lena avashyak hai.

Importance of Protein in Diet: Rozana Aahar me Iski Matra

Manav sharir me kai prakar ke proteins paye jate hai. Halaki humara sharir adhikansh Amino acids ya proteins ka nirmann kar leta hai, lekin kuch proteins hume humare aahar se prapt hote hai. Importance of Protein in Diet aapke sharir ko swasth bana deti hai.

WHO (World Health Organization) ke anusar prati Kilogram vajan ke anupat se manushya ko 1 gm Proteins ki avashykta hoti hai aur yadi aapka vajan 50 Kg hai to aapko 50 gm Proteins ki avashykta hoti hai.

You may also like: Vitamin E se Banaye Apni Sehat ko Faydemand

Types of Protein: Iske Prakar

• Egg ki whiteness, dudh, dahi, paneer, fish se sarvottam kism ke Proteins prapt hote hai.
• Daal, soyabin, mungfali, badam, flax seed, tarbooz ke beej, hari sabjiya aur dusre anaaj me Protein paya jata hai.
Aap doctor ki salah ke anusar bajar me uplabdh Proteins Supplement ka upyog kar sakte hai.

Why is Protein Important- Sharir ke Liye Iski Visheshta

Sharir me Protein ki avashykta har age aur har awastha me hoti hai. Importance of Protein sambandhi jankari niche di gayi hai.

1) Hormones

Proteins kuch hormones ke nirmann me madad karte hai jese Insulin jo ki rakt me sugar ki matra ka niyantrit karta hai. Iske saath hi Thyroid hormone ki swasth gatividhi me bhi madad karta hai.

2) In Childhood

Bachpan me baccho ko Proteins ki adhik avashykta hoti hai kyuki uss time par unka sharir vikaas kar raha hota hai.

3) In Old Age

Budape me bhi sharir ko iski bahut jarurat hoti hai. Iss age me yadi protein ki matra kam ho to jivan shakti ka abhav ho jata hai. Isliye iss age me khadya padarth me Protein ki matra badha deni chaiye.

4) Pregnancy

Garbhavastha me maa ke saath garbh me pal rahe bacche ko bhi Proteins ki atyadhik jarurat hoti hai. Proteins sharir me pal rahe bacche ke vikaas me Jaruri hota hai. Iss avastha me protein ki kami maa aur bacche par bura asar daal sakti hai.

5) Breastfeeding

Jiss prakar garbhavastha me mata ko Proteins ki adhik jarurat hoti hai thik usi prakar dudh pilane wali maa ko bhi iski bahut jarurat hoti hai. Iss avastha me aisi mahilao ko jyada matra me Protein ka sevan karna chaiye.

Importance of Protein in Diet ko dhyan me rakhkar din me 2 baar Protein yukt aahar lena chaiye. Sharir ko sahi matra me avashyak Proteins lene ke liye kai tarah ki chize khani chaiye. Swasth, tandaroost aur nirogi jivan jine ke liye santoolit aahar khaye aur apne aap ko swasth banaye.

Get more update about Importance of Protein from Food.

Loading...

This website uses cookies.