Vitamin ki Madad se Badhaye Apne Shukranu ka Level

Adhunik jivan shaily ka khamiyaja purusho ko apne shukranuo ki sankhya (Sperm Count) kho kar chukana pad raha hai. Isse unki prajann kshamta prabhavit aur sperm ki gunnavata bhi ghati hai. Britain mai huye ek adhyayan mai adhunik jivanshaily ke karan purusho ki prajann kshamta par ho rahe nakaratmak asar ka khulasa huya hai.

Garbhdharan mai pareshani ki aam vajah purush shukranu ke level ka kam hona mana jata hai. Lekin iske saath hi aapke liye ek acchi khabar bhi hai. Bahut se aise vitamin hai jinko apne aahar mai shamil kar aap iss samasya se nijaat paa sakte hai.

Badta tanav, motapa, kharab lifestyle aur pradushan sansar ke mardo ke liye khatre ke bade sabab sabit ho sakte hai. Yeh baat purusho ke liye kisi sadme se kam nahi hai, lekin agar stithi ab bhi sambhali ja sakti hai. Bahut se aise vitamin hai jinko apne aahar mai shamil kar aap iss samasya se nijaat paa sakte hai. To agar aap bhi shukranu ke level ko badhana chahte hai to inn vitamin ko apne aahar menu ka hissa banaye.

You may also like:- Increase Sperm Count: Shukranu Badane ke Gharelu Nuskhe

Inn Vitamins ki Madad se Aap Badha Sakte Hai Shukranu ki Sankhya

Vitamin C se Bharpur Shatavari:-

Shatavari mai Vitamin A, Vitamin C, Vitamin B complex, pottasium aur zinc hote hai. Isme vasa aur cholestrol nahi hote hai. Vitamin C bharour matra mai hone ke karan yeh shukranuo ke oxykaran ko rokta hai aur yeh andkosh ki koshikao ki raksha karta hai. Vitamin C mukt kano ko kam karta hai, jisse ki purush ka sharir bimari se ladne ki isthan par shukranuo ke utpadan par dhyan kar sakta hai.

Vitamin E se Bharpur Avocado:-

Avocado Vitamin E aur B6 se bharpur nashpati ke aakar ka swadisht phal hai. Vitamin E, Vitamin B6 aur folic acid se bharpur hone ke karan yeh shukranu gatishilta ko badhawa dene mai mahatvapurna bhumika nibhata hai.

Vitamin B1 aur Vitamin A se Bharpur Kela:-

Lengik aakar ke alawa kele mai kuch aisi chize bhi hai jo shukranu ki sankhya badhane mai madad karte hai. Kele mai bromelain namak durlabh enzyme hota hai jo sex hormone ko niyantrit karta hai. Kele mai Vitamin B1, Vitamin A aur Vitamin C bhi bharpur matra mai hote hai jo purusho ke stamina ko badhati hai aur shukranu ke level ko badhane ke liye sharir ko kshamta pradan karti hai.

Vitamin B6 se Bharpur Lahsun:-

Lahsun mai allicin namak antibiotic paya jata hai jo sharir mai blood flow karta hai jisse guptang ko shakti aur shukranu ke level ko badha deta hai. Lahsun mai selenium aur Vitamin B6 bhi hota hai, jo shukranu ko hone wale nuksaan ko rokta hai aur hormone ko niyantrit rakhta hai.

Vitamin B Wali Dark Chocolate:-

Adhik cocoa ki matra wale chocolate mai kafi proteinb aur Vitamin B hota hai. Saath hi dark chocolate mai L Arginine HCL namak amino acid hota hai jo purusho ke shukranu ki sankhya aur virya ki matra ko double kar deta hai. Sex karne se pehle ek chhoti si dark chocolate khane se purusho mai adhik energy aati hai.

Antioxidant se Bharpur Anaar:-

Yeh sabhi khadya padartho mai sabse super food hai. Anaar mai abntioxidant ka tivra cocktale hone ke karan yeh sahi mayne mai aam sardi se lekar shukranu ki ginti badhane tak har bimari ka ilaj kar sakta hai. Anaar ke juice mai bahut takat hoti hai, ek cup juice pine se hi purush mai bahut shakti aa sakti hai.

Omega 3 Fatty Acid:-

Akhrot mai organine hota hai jo andkosh ko shukranu ke utpadan ko badhane mai madad karta hai aur virya ki matra bhi badhata hai. Isme omega 3 fatty acid moujud hota hai jo ling ke liye blood flow mai madad karta hai.

Vitamin D se Bharpur Hari Sabjiya:-

Purusho mai shukranu ke level ko badhane mai Vitamin D ki aham bhumika hoti hai. Vitamin D hume hari pattedar sabjiyo, dudh, dudh se bane padarth aur dhup se milta hai. Ek shodh ke douran jab live shukranu koshikao mai Vitamin D milaya gaya to isse sperm mai gatishilta aa gayi.

Vitamin C se Bharpur Amla:-

Vitamin C sardiyo ke lihaj se to bahut faydemand hota hai, lekin saath hi yeh shukranuo ke level ko bhi behtar karta hai. Vitamin C ki bahrour matra apne aahar mai shamil kar purush apne shukranu ke utpadan mai vraddhi kar sakte hai. Yeh aapko sabhi prakar ke citric phal jese amla, santra, strowberry aur kiwi fruit aadi se milta hai.

Upar aapne jane kese aap Vitamin ki madad se apne shukranu ko badha sakte hai. To aaj hi se inn tariko ko apnaye aur apni iss pareshani ko aasani se solve kare.

Loading...

This website uses cookies.