Iron Deficiency Symptoms in Hindi: Iski Kami Ke Lakshan

Aniyamit khanpan ke chalte vyaktiyo ke sharir mai khun ki kami ho jati hai, jisse mahila ho ya purursh bahut se rogo aur bimariyo ka samna karna padta hai. Sharir mai iron ki kami se vyaktiyo ko anemia rog, chakkar aana jaisi pareshaniya gher leti hai aur kamjori bhi aane lagta hai. Shayad aap jante honge ki sharir mai loha yani iron hemoglobin ke nirman mai madad karta hai. Hemoglobin ke sath-sath loha, sharir mai laal rakt kanikao ke nirman mai bhi sahayak hota hai.

Jin vyaktiyo ke sharir mai paryapt matra mai iron hota hai unke sharir mai aasani se laal rakt kano ka nirman hota hai jisse sharir mai oxygen ka pravah bhi sahi tarah se hoga aur saans lene mai bhi koi pareshani nahi hogi. Darhasal hemoglobin hi, oxygen ko sharir mai fefado se lekar anya bhago tak pahuchane ka kam karta hai.

Ek swasth manushya ke sharir mai 13 se 16 aur mahila ke sharir mai 12 se 14 miligram hemoglobin hona chahiye. Iski kami hone se sharir ke kisi bhi bhag se khun aana, hath aur per mai sujan aadi lakshan dekhne ko milne lagte hai. Iske alava aur bhi lakshano ko pehchanne ke liye yaha padhiye Iron Deficiency Symptoms in Hindi aur rahiye swasth.
 

Jane Iron Deficiency Symptoms in Hindi aur Dur Kare Iski Kami

 
Iron Deficiency Symptoms in Hindi
 
Sharir mai iron ki kami hone se vyaktiyo mai kai prakar ke lakshan dekhne ko milte hai. To aaiye jane Symptoms of Iron Deficiency.
 

Thakan Mehsus Hona

Sharir mai iron ki kami ke karan vyaktiyo mai thakan jaldi mehsus hone lagti hai. Yadi vyakti 8 ghante ki neend puri karne ke bad bhi thakan aur kamjori mehsus kare to samjh liye ki usme iron ki kami hai.
 

Twacha Mai Peelapan

Purusho ki apesksha mahilao mai khun ki kami jaldi ho jati hai. Iss wajeh se nakhun aur sharir ki twacha mai peelapan bhi dikhayi dene lagta hai.
 

Sar Dard Hona

Sharir mai iron ki kami hone ki wajeh se hemoglobin ki kami hoti hai. Isse laal rakt kanikao ka sahi se nirman nahi ho pata hai sath hi sharir ke sabhi bhago mai khun aur oxygen sahi samay par nahi pahuch pata hai jisse sar dard hone lagta hai.
 

Dil Ki Dhadkano Ka Tej Hona

Iron ki kami hone se hriday, sharir ke sabhi bhago mai khun pahuchane mai badha mehsus karne lagta hai. Iss wajeh se dil ki dhadkane samanya ki apeksha jyada tej ho jati hai.
 

Masik Chakra Aniymit Hona

Jab vyaktiyo ke sharir mai iron ki kami ho jati hai to sharir adhik se adhik khun bachane ki koshis karta hai. Iss wajeh se mahilao mai har mahine hone wali mahvari ka chakra kabhi kabhi bahut der se aata hai aur kabhi to khun ki kami se aata hi nahi hai.
 

Iron Deficiency Symptoms: Anya Lakshan Inhe Bhi Padhe

  1. Haath aur pairo ka thanda hona
  2. Aankho ke samne andhera cha jana aur dhundhla sa dikhai dena
  3. Sharir mai iron ki kami hone se vyaktiyo ko saans lene mai takleef hone lagti hai.
  4. Samanya baccho ki tulna mai baccho ka dheemi gati se vikash aur vraddhi hona.
  5. Kisi kam ko karne mai hadbadahat aur chidchidahat hona.

 

You May Also Like: Bioresonance Therapy in Hindi: Jane Iski Vidhi Aur Labh

 
Sharir mai khun ya iron ki kami hone ke kai karan hote hai. Yaha padhe causes of Iron Deficiency in Hindi.

  1. Masik dharm ke doran sharir se adhik khun ka beh jana.
  2. Yadi vyakti ke pet aur aanto se koi bhi ang nikal diya gaya hai.
  3. Sharir ke rogo jaise cancer, alsar, bavasir aadi ki wajeh se khun ka adhik matra mai beh jane ke karan.
  4. Menopause ke bad sharir se khun ka adhik matra mai beh jane ke karan.
  5. Aespirin ke upyog ke karan raktstrav se bhi sharir mai iron ki kami ho jati hai.

 

Home Remedies for Iron Deficiency:  Puri Kare Sharir Mai Loh Tatv Ki Kami

  1. Sharir mai iron ki kami hone par palak ka sevan karna chahiye. Iske alava aap sabut anaj ka sevan bhi kar sakte hai.
  2. Santare ke ras mai vitamin c ke sath-sath ascorbic acid paya jata hai jo ki sharir mai lohe ki kami ko pura karne mai madad karta hai.
  3. Sharir mai Vitamin B12 ki kami ka hona bhi khun ko kam kar deta hai. Iss wajeh se vitamin B12 se yukt bhojan ka sevan jarur kare. Iske alava Iski goliyo ka upyog bhi kiya ja sakta hai.
  4. Lohe ya fir khun ki kami se pidit vyaktiyo ko apne aaharo mai anda aur dudh ko jarur shamil karna chahiye.
  5. Iron ki kami ko pura karne ke liye hari sabjiyo, phal aur paryapt matra mai salad ka sevan jaurur kare.
  6. Sukhe mevo mai iron ki paryapt matra payi jati hai isliye apne aahar mai khajur, badam aur kishmish aadi ko jarur shamil kare.

Upar aapne jana  Iron Deficiency Symptoms in Hindi. Yadi aap mai bhi upar diye gaye iron ki kami se hone wale lakshan dikhayi de rahe hai to sahi upchar aur gharelu tariko ko apnaye aur rahe swasth.

 

Loading...

You may also like...