Isabgol Benefits in Hindi: Kai Bimari ka Aadhunik Ilaaj

Aadhunik ilaaj ke dor me ‘Isabgol’ ka mahatva lagatar badta ja raha hai. Pachan tantra se sambandhit samasyao me dawa ke roop me iska istemaal ho raha hai. Yeh laghbhag 3 foot uche podhe ka beej hota hai. Yeh beej ke upar safed bhusi hoti hai. Isabgol ke beejo aur bhusi me kafi matra me museles paya jata hai jiske andar mukhya roop se jailoj, arivenoj remannoj aur glectose aadi paye jate hai. Aaiye jante hai Isabgol Benefits in Hindi aur dur karte hai bahut si bimariyo ko.

Atisar, pescih jese pet ki samasyao me isabgol ki bhusi ka istemaal kiya jata hai. Iski khasiyat yeh hai ki iska koi bhi side effect nahi hota hai. Iska prayog rang chadane, ice-cream banana aur anya chikne padartho ke nirmann me bhi kiya jata hai.

Humari prachin chikitsa padhatti mulatah prakritik padartho aur jadi-butiyo par adharit hai. Ayurvedi chikitsa padhatti me sadhya-asadhya rogo ka ilaaj hum prakrati padatth vanaspatiyo ke madhyam se safaltapurvak karte hai. Samay ki dhund ke saath hum kai prakritik aushadhiyo ko bhul baithe hai. Isabgol bhi unn chamatkarik aushadhi me se ek hai jiska ullek prachin ayurvedi garntho me milta hai.

Har jagah Isabgol ka prayog chikitsa padhatti me kiya jata hai. Arabi aur Farsi chikitsako dwara iske istemaal ka praman milta hai. Wese ye shabd Farsi bhasha ka word hai jiska matlab hai pet thanda karne wala padarth. Latin me isabgol ko ‘Placenta Oveto’ ke naam se bhi jana jata hai.

You may also like: Health Benefits of Vanilla: Iske Swasth Vardhak Laabh

Isabgol Benefits in Hindi: Iske Sevan se Hone Wale Laabh

Isabgol Benefits in Hindi

Kabj, dast, jodo ke dard, mal me rakt, pachan tantra sambandhi gadbadi, sharir me pani ki kami, motapa va diabetes me Isabgol (Psyllium Seed Husks) kafi faydemand hota hai. Aaiye detail me janane ke liye jarur pade Isabgol Benefits in Hindi aur rahe swasth.

1) Kabj se Chutkara Dilata Hai

• Yeh kabj ke liye ek shandar upay hai, jo ghulan sheel aur aghulan sheel fiber ka ek utkrasht mishran pradan karta hai. Ye khapat par pet me failta hai aur sharir ke bahar apni samagri ko madad karta hai.
• Kabj se rahat ke liye garam dudh ka ek gilaas me isabgol ki 2 spoon dale aur iss mishran ko sone se pehle jarur piye. Isse aapki kabj ki shikayat dur hogi.

2) Diarrhea Dur Kare

• Isabgol ki madad se hum constipation aur diarrhea ki pareshani se rahat paa sakte hai. Jab hum iska dahi ke saath sevan karte hai toi ye pet ki kharabi se rahat dilata hai.
• Dast se rahat ke liye roz taaze dahi ke 3 spoon ke ssath isabgol ki 2 spoon mix kar ke khaye. Iss prabhavi upay ko din me 2 baar kare aur dekhe aapko kitni jaldi fayda milta hai.

3) Acidity se Rahat Dilaye

• Acidity ek aisi problem hai jo har koi suffer karta hai. Iss condition me unn logo ko Isabgol ka sevan karna chahiye. Iske sevan se unn sabhi logo ko bahut fayda milega.
• Acidity se bachne ke liye apne bhojan ke baad aadha gilaas thanda dudh piye jisme isabgol ki 2 spoon milaye. Isse aapki acidity kam ho jaygi.

4) Vajan Kam Karne me Madad Kare

Isabgol ki madad se aap apna badta vajan kam kar sakte hai. Iska sevan karne se aap apne weight par control la sakte hai wo bhi bina kisi side effect ke.
• Nimbu ke saath garam pani me isabgol mix kare aur bhojan karne ke pehle iss mishran ko piye. Iss mishran ko pine se vajan ghatane me madad milegi.

5) Pachan me Sudhar

• Isabgol ki madad se aap pachan tantra me sudhar laa sakte hai. Isse aapka digestive system theek rehta hai.
• Niyamit roop se roz 1 gilaas isabgol water ko piye. Isse aapka pachan tantra theek rahega aur aapko digestion me bhi koi problem nahi hogi.

6) Lokpriya Aushadhi

• Isabgol ka prayog raat ko sone se pahle kiya jata hau, kintu avashyktanusar inhe din me 2 ya 3 baar liya ja sakta hai.
• Niyamit Roop se iss aushadhi ka sevan kare aur kare bahut si bimariyo ko dur wo bhi ghar par.

Upar aapne jane Isabgol Benefits in Hindi aur kijiye apne aap ko swasth aur dhero bimari ko dur. Yadi aap inme se kisi bhi bimari se grasit hai to iska niyamit roop se sevan kare.

Get more update about Isabgol Benefits from Food.

Loading...

You may also like...