Bharat me sabse jyada pasand kiya jana wala phal katahal vishva me sabse bada hota hai. Katahal ki sabji, pakode ya achar kai logo ka favorite hota hai. Jab yeh pak jata hai tab iske andar ke miteh phal ko khaya jata hai jo ki bada hi swadisth lagta hai. Iske andar kai poshtik tatva paye jate hai jese Vitamin A, C, Thymine, Potassium, Calcium, Riboflavin, Iron, Niacin aur Zinc aadi. Aaiye jante hai Jackfruit Health Benefits.
Iss Phal me khub sara fiber paya jata hai saath hi isme bilkul bhi calorie nahi hoti hai. Kya aapko jankari hai ki pake huye katahal ke gude ko acchi tarah mesh karke pani me ubala jaye aur uss mishran ko thanda ka ek gilaas pani se jabardast sfurti aati hai, yeh heart ke rogiyo ke liye bhi accha mana jata hai.
Jackfruit Health Benefits: Katahal ke Swasthvardhak Laabh
You may also like: Green Papaya Benefits: Papita Swasth ke Liye Faydemand
1) Jackfruit me potassium paya jata hai jo ki heart ki samasya ko dur karta hai kyuki yeh blood pressure ko low kar deta hai.
2) Iss reshedar phal me kafi Iron jata hai jo ki anemia ko dur karta hai aur sharir me blood circulation ko badata hai.
3) Isi jadi asthma ke rogiyo ke liye acchi mani jati hai. Yadi aap iski jad ko pani ke saath ubal kar bacha hua pani chan kar piye to asthma control ho jaye.
4) Yeh sharir ka thyroid bhi sambhalta hai. Isme moujud sushma khanij aur copper thyroid metabolism ke liye prabhavshali hota hai. Khaastor par yeh hormone ke utpadan aur avsoshan ke liye accha mana jata hai
5) Haddiyo ke liye yeh phal bahut accha hota hai. Isme moujud magnesium haddi me majbooti lata hai tatha bhavishya me osteoporosis ki samasya se nijaat dilata hai.
6) Isme Vitamin C aur A bhari matra me paya jata hai jo ki rog pratirodhak kshamta ko badata hai aur bacterial aur viral infection se bhi bachata hai.
7) Sadharan glucose jese, fructose aur sucrose turant urja dete hai. Iss glucose me bilkul bhi jami hui charbi aur cholesterol nahi hota.
8) Ye phal ulcer aur pachan sambandhi samasya ko dur karte hau. Isme fiber hota hai jo ki kabj ki samasya ko dur karte hai.
9) Iska swasth Laabh aankho tatha twacha par bhi dekhne ko milta hau. Iss phal me Vitamin A paya jata hai jisse aankho ki roshani badti hai aur skin acchi hoti hai. Yeh Night Blindness ko bhi thik karta hai.
Jackfruit Seed Benefits: Swasth ke liye Laabhkari Katahal ke Beej
Katahal ek aam sabji hai jo ki aksar sabhi gharo me kacchi ya phir paki huyi khai jati hai. Katahal ki sabji badi hi tasty banti hai. Katahal ke beej sharir ko bada ho fayda dete hai lekin hum uski takat ko bina soche samjhe hi nazarandaaz kar dete hai.
Inn beejo me kafi sara poshan chupa hua hota hai. Isme bahut sara carbohydrate, fiber, aur Vitamin A, C aur B paya jata hai. Iske alawa katahal ke beej me calcium, zinc aur phosphorus hota hai. Cancer jesi ghatak bimari se ladne ke liye Jackfruit Health Benefits kafi acche hote hai.
Aap iske beej ko powder bana kar bhi sevan kar sakte hai. Isse baal bhi acche rehte hai aur twacha bhi chamakdar rehti hai. Aaiye jante hai Jackfruit Seed Benefits, aur isse humare swasth par kya Laabh padta hai.
1) Jhurriyo se Bachaye
Agar aap chehre se jhurriyo ko kam karna chahti hai to katahal ke beej ko raatdbhar ke liye dudh me bhigo kar rakh de. Phir use barik piss kar chehre par lagaye. Iska accha result pane ke liye humesha aisa kare.
2) Twacha Chamkaye
Agar aapko kabj hai to aapka chehra Kabhi bhi chamakdar nahi ban payga. Kabj ko dur karne ke liye katahal ke beej k aksar khaye.
3) Heat Spot Mitaye
Katahal ke beej ko dudh aur Shahad me kuch ghante ke liye bhigo dijiye aur phir use barik piss lijiye. Koshish kijiye ki aap ise apne chehre par kai din lagaye. Jan yeh such jaye tab ise 15 minutes ke baad dho lijiye.
4) Dimagi Tanav aur Twacha Rog
Jackfruit Seed me bahut sara protein aur poshtik tatva hota hai, jo ki aapki twacha rog ko dur karne aiur dimaag ka tanav dur karne me sahayak hote hai. Yeh baalo ka jhadna bhi band kar dete hai aur lever ka swasth banaye rakhte hai.
5) Baalo ko Ghana Banaye
Katahal ke beej khane se sir me blood circulation badta hai aur isse baal ugte hai. Saath hi yeh sharir me blood sugar ke level ko control me rakhta hai.
6) Anemia se Bachaye
Isme bahut sara Iron paya jata hai jo ki sharir ke liye bahut hi Jaruri hota hai. Isko niyamit tor par khane se sharir me khoon ki kami nahi hoti hai.
7) Baalo ko Tutane se Bachaye
Jackfruit Seed me Vitamin A hota hai jo ki aankho ke liye bahut hi accha mana jata hai. Vitamin A baalo ko majboot banata hai aur sukhe-rukhe aur tute huye baalo ko majboot banata hai.
8) Sex me Umang Bharta Hai
Iske beej ko bhun kar khaiye kyuki yeh youn such ko utejit karne me madad karta hai aur aapki sex life ko badata hai. Isse khane ke baad sambhog karne ke me maza bhi aata hai aur takat bhi milti hai.
Upar aapne jane Jackfruit Health Benefits. To aaj se hi niyamit roop se iska sevan kare aur paiye aapke swasth ke liye dhero fayde jisse aap takatvar ban sakte hai.
Get more update about Jackfruit from Food.