Jaiphal (Nutmeg) aur javitri do aise masala hai jo har ghar me bhojan me upyog kiye jate hai. Jaiphal sugandhit aur swad me mitha hota hai. Aaj Health Benefits of Nutmeg se apan janege iske swasthwardhak fayde.
Jaiphal Oil cosmetic aur kai tarah ki medicine me kiya jata hai. Iske istemaal naso aur pachan pranali se sambandhit bimariyo ke liye prayog kiya jata hai. Wese jaiphal sardiyo me upyogi hai lekin iski aushadiya mahatva saal bhar mani jati hai.
Ayurveda me jaiphal ko bahut mahatva hai. Isse aapki pet sambandhi aur twacha sambandhi samasya ko dur karne ke liye bhi madad milti hai. Janiye Jaiphal Benefits in Hindi aur rakhiye apne aap ko swasth.
Health Benefits of Nutmeg: Har Rog ki Ek Dawa, Jaiphal
1) Acchi Nind Aaye
Nutmeg anindra bhagata hai. Agar aap roz raat ko garam dudh me jaiphal ka powder daal kar pite hai to aapko acchi nind aaegi.
You may also like: Triphala Benefits: Sabhi Rogo Ka Ek Ilaj
2) Increase Sex Drive
Jaiphal ka masala apni chai ya dudh me mila kar piye, isse aapki sex drive acchi rehti hai. Yeh aapke sharir ko aaram prabhav poradan karta hai.
3) Pachan Tantra Durust Kare
Aap Jaiphal Benefits in Hindi se bahut se laabh paa sakte hai. Inme se ek sabse bada fayda yeh hai ki, ye aapke pachan tantra ko durust kar sakta hai. Sardiyo me jaiphal ka istemaal pachan tantra ko theek karne ke liye prayog kiya jata hai. Jaiphal prabhavi roop se aapko rahat pradaan karta hai.
4) Dant Dard Dur Bhagaye
Jaiphal ka tel dant dard me bahut laabhkari hota hai. Tabhi to aapne dekha hoga ki jyadatar tooth paste me daal chini aur jaiphal milaya jata hai.
5) Dimag Tez Kare
Jaiphal dimag ko bahut tez banata hai. Isko khane se aapko kabhi bhi bhulne ki bimari nahi hogi.
6) Naitra Jyoti Badaye
Jaiphal ko ghis kar aur lep tayar kar le. Iss lep ko ankhon ki palko par naitro ke charo taraf lagane se naitra jyoti badti hai.
Upar aapne jane Jaiphal Benefits in Hindi. Jisse aapko pata chal gaya hoga ki, kese aap tandaroost reh sakte hai aur apne aap ko tarotaza rakh sakte hai. To bas der kis baat ki aaj se hi iska sevan start kar de.
Get more update about Health Benefits of Nutmeg from Food.