Benefits of Sleeping on the Floor: Jamin Par Sone Ke Fayde

Rojmara ki jindagi mai kai log peeth dard ki samasya se pareshan rehte hai. Lekin kya aap jante hai peeth dard hone ka ek karan galat tarike se sona bhi hai? Darahsal aap apni jindagi ka 1/3 hissa wakt sone mai bitate hai. Aur yadi aap itne lambe samay galat tarike se sote hai to jahir si baat hai ki aapko peeth ya kamar dard jaisi pareshaniya hogi.

Kuch log sochte hai ki aaramdayak bistar par sokar wo apne ridh ki haddi ka acche se khayal rakh rahe hai. Shayad isliye hi naram gadhiya aur acche palang hamari jivan sheli ka hissa ban chuke hai. Fir kyu koi ek kedi ki tarah jamin par sona chahega.

Aaj gaddedar bistar par sone ke bawjud bhi lagatar logo mai peeth dard ki samasya bani hui hai. Aese mai logo ke man mai yahi sawal uthtaa hai ki kya farsh par sokar peeth dard ki samasya se chhutkara mil sakta hai?

Iska uttar to vaise haa hai. lekin ham aapko ek udaharan dena chahte hai. Hamme se kai log ghas par lete honge. Uss par sone se hame bahut sukun milta hai. To bus aap itna jaan lijiye ki jamin par sone se bhi hamare sharir ko vesa hi sukun milta hai. Jamin par sone par hamare sharir ka shape sudharta hai. Sath hi yeh hame peeth dard se chhutkara dene ke sath sath aur bhi kai fayde deta hai. To aaiye jante hai Jamin Par Sone Ke Fayde.

Janiye Farsh Par Sone Ke Anmol Swasth Labh

Farsh par sone ke kai fayde hai. Isse aapki ridh ki haddi sidhi hoti hai. Yeh keval faydemand hi nahi hai balki jab aap farsh  par sote hai to aapko bahut accha mehsus hota hai. Jamin thodi sakth hoti hai isliye aap ek patni naram gadhi ka upyog jarur kare.

Ho bhi sakta hai ki shuruwat mai aapko apne uche gaddhe ki kami mehsus ho. Lekin 1 hafte ke andar aapko iski aadat padh hi jayegi. Lekin yadi aapko farsh par letne se sharir ke kisi bhag mai takleef mehsus hoti hai to chikitsak se pehle paramsrsh lena uchit hoga. Niche sona aapko kai bimariyo se nijat dila sakta hai, to aaiye jane Health Benefits of Sleeping on the Floor.

Kamar aur Peeth Dard Se Nijat

Jab aap niche sona shuru kar dete hai aapki peeth aur kamar dard ki shikayat dur ho jati hai. Darahsal jab aap farsh par sote hai to ridh ki haddi sidhi ho jati hai sath hi sahi disha mai hoti hai. Jisse kamar dard kam hoa hai aur aap swasth mehsoos karte hai.

Kandho mai Santulan laye

Jo log computer aadi par kaam karte hai. Un logo mai aksar kandho ke dard ki sikayat sunne ko milti hai. Aese log jab palang par sote hai tab bhi unhe relief nahi mil pata hai. Lekin jamin par sone se yeh samasya bhi dur ho jati hai.

Darahsal jab aapke kandhe sahi disha mai nahi hote hai to isse gardan aur kamar mai dard hota rehta hai. Farsh par sone se aapke kandhe sahi santulan banate huye sahi disha mai rehte hai.

You may also like:- Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike

Sharir Ka Illaj Kare

Farsh par sone se rakt ka sanchar behtar hota hai. Iske atirikt isse sharir aur dimag ka talmel bhi sahi rehta hai. Jab aapke sharir aur dimag mai talmel ban jaye to aapka sharir swasth hota jata hai. Ham aapko batana chahte hai ki acchi need lena bhi sharir ka illaj karne ki hi ek kriya hai.

Acchi Nind Lane mai Madadgar

Bahut se logo ko jyada kaam aur thakan ke chalte anidra arthat nind naa aane ki pareshani ho jati hai. Aese log farsh par sona shuru kar de. Isse aapko acchi nind aayegi.

Sharir Ko Aaram De

Kya aap jante hai jab bhi aap gaddhe par sote hai to aapke sharir ko samanjasya baithana padta hai. Kintu jab aapka sharir farsh par hota hai to aapke sharir ko pura aaram milta hai. Isse aapke sharir ki puri thakawat dur ho jati hai aur aapke din ki shuruwat acchi hoti hai.

Mashpesiyo Ka Dard Dur Kare

Jab aap farsh par sote hai to aapke kulhe bhi sahi talmel mai rehte hai. Hum sab jante hai ki yadi sote samay kulhe sahi disha mai nahi hote hai to isse mashpeshiyo mai dard aur asahaj mahsoos hota hai.

You may also like:- Side Effects of Oversleeping: Jyada Sone ke Nuksaan

Anya Fayde Inhe Bhi Janiye:-

  1. Yadi aapko bed par raat bhar nind nahi lagti hai to farsh par sona shuru kar djiye. Isse jaha pehle aap karwate badalte huye raat gujar dete hai, ab wahi puri raat aap sukun ki nind lenge.
  2. Adhiktar log galat mudra mai sote hai jisse unka sharir aakarshak nahi hota hai. Kuch ladkiya patli hone ke bawjud bhi attractive nahi lagti hai. Lekin yadi aap jamin par sote hai to aapki body ka shape maintain rahega.
  3. Isse aapko sukun bhari nind aayegi aur aap direct subah hi uthenge. Isliye farsh par sone wale subah ke wakt tarotaja mehsus karte hai. Acchi nind aapki sari tension dur kar deti hai.
  4. Aap farsh par son eke fayde to jaan hi gaye hai. Yadi aapke ghar aangan ya chhat hai to aap garmi ke dino mai waha bhi so skate hai. Bahar ki thandi hawa mai sone mai aapko aur bhi adhik aanand aayega aur aap khusi mehsus karenge.

Janiye Farsh Par Sone Ke Behtar Tarike

  • Jab aap farsh par sona chahte hai to yoga mat ka istemal karna ek behtar vikalp hai. Ise aap ek takiye ke tarah bhi istemal kar sakti hai. Isse aap apni garadan aaramdayak tarike se rakh payegi.
  • Jab bhi aap jamin par sote hai to hamesha peeth ke bal sona chahiye. Peeth ke bal sone se aapke ridh ke liye jaruri support milta hai. Wahi yadi aap pet ke bal sote hai uska koi fayda nahi hai.

Upar aapne jana Jamin Par Sone Ke Fayde. Farsh par sona kuch logo ke liye bahut faydemand hai. lekin jo log swasth hai unhe hi farsh par sona chahiye. Jo log kisi tarah ki health condition se gujar rahe ho jisme bed par sona jaruri hai unhe niche sone se bachna chahiye.

Aur yadi aapke sath kisi bhi tarah ki samasya nahi bhi hai to kuch din niche sokar dekhe ki kya aapko sharir ke kisi hisse mai dard hota hai. Yadi aapko koi samasya nahi hoti hai to aap ise niyamit kar sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.