Kesar benefits uncountable hai. Sundarta ke liye upyog kiya jane wala kesar ek bahut hi gunkari saamagri hai. Iska upyog mostly Europe aur Asia ke desho me kiya jata hai. Kesar bahut costly hota hai kyu ki bahut saare flowers ka use karne par 1 gm kesar banta hai.
Kesar (Saffron) twacha ke liye bahut accha hota hai. Iska facepack lagane se skin me pink glow aa jaata hai. Yadi aapko saaf aur damakti hui twacha chahiye to aap kesar ka upyog kar sakte hai. Chaliye jante hai Kesar Benefits in Hindi.
Kesar Benefits in Hindi: Ghar Par Banaiye Saffron ke Face Packs
Kesar aur Milk
Aap iss face pack ko daily ya week me 2 baar laga sakte hai. Isse aapke face par pink glow aa jayega.
Kesar aur Chandan Powder
Yeh face pack oily skin walo ke liye bahut laabhkari hai. Iske alawa yeh sun tan, acne aur pimples se bhi ladta hai. Isme thoda sa milk milaiye aur 5 minute tak lage rahne dijiye. Aap chahe to isme honey bhi mila sakte hai.
Kesar aur Papita
Papita mai vitamin aur antioxidant paye jaate hai, jo skin ke liye bahut hi acche hote hai. Ek bowl me paka papita, milk, honey aur kesar milaiye. Isko face par 10-15 minute rakhne ke baad thande pani se dhole.
Kesar, Doodh aur Tel
Iss face pack se aapki skin tone me sudhar aata hai. Ek bowl me kesar, milk, rose water, olive oil ya coconut oil milaye. Iss scrub jaise face pack me aapki skin tone light hogi aur glow karegi.
Kesar, Shahad aur Badam
Raatbhar badam ko pani me bhigoiye. Aur baad me paste bana lijiye. Kesar ko gungune pani mai bhigoiye aur baad mai usme honey ya lemon juice milaiye. Iss face pack ko chehre aur neck par lagaiye. Isse wrinkles, acne aur black spots hat jayenge.
Kesar aur Tulsi Ke Patte
Kesar mai antifungal gun paye jate hai jo muhanso ko hatane mai sahayak hote hai. Yadi aap acne ko dur karna chahti hai to 5 se 6 pattiya tulsi tatha 10 se 12 kesar ke dhage ko pees le. Ab iss bane huye paste ko chehre par lagaye aur 10 se 15 minute face par laga rehne de. Jab yeh paste sukh jaye to ise thande pani se dho le aapke muhanse aur acne ki samasya dur ho jayegi.
You may also like:- Multani Mitti Benefits: Fuller’s Earth se Nikhare Khubsurti
Kesar aur Shakkar
Yadi aapki twacha bejan ho gai hai aur aap chahte hai wo fir se khili khili ho jaye to kesar aur shakkar ko mix karke apne chehre par lagaye. Iske liye 2 se 3 kesar ke dhage ko raat ke liye pani mai gala kar rakh de. Subah iss pani mai 2 bund nariyal tel aur thodi si shakkar dal de. Ab iss mishran ko chehre par lagaye aur 15 minute bad saaf pani se chehra dho le.
Kesar Benefits in Hindi: Janiye Iske Aneko Gun
Nutrients | Quantity |
---|---|
Calorie | 7 |
Calcium | 2.33 mg |
Iron | 0.23 mg |
Protein | 0.24 mg |
Vitamin C | 1.7 mg |
You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz
- Chandan ko kesar ke saath ghiskar iska lep mathe par lagane se sar, aankho aur dimaag ko shitalta milti hai. Iss lep ko lagane se dimaag tez hota hai.
- Sar dard ko dur karne ke liye kesar ka upyog kiya jata hai. Sar dard hone par chandan aur kesar milakar sar par iska lep lagane se rahat milti hai.
- Bacche ko agar sardi aur jukham ki samasya ho to kesar ka doodh subah-sham pilane se bacche ki sardi jukham mai rahat milegi.
- Gas aur acidity se rahat dilane mai kafi madad karta hai. Yeh humari pachan kriya ko bhi durust rakhta hai.
- Mahilao ke liye bhi yeh bahut faydemand hoti hai.
- Kidney aur liver ke liye bhi kesar kafi faydemand hoti hai. Yeh baldder aur liver ki samasyao ko thik karne mai madad karta hai aur rakt shuddhikaran karta hai.
- Yeh jodo ke dard se bhi rahat dilate hai. Thakan ko dur karne aur mashpeshiyo ko rahat pahuchahne ka kaam karta hai.
Kesar ek bahut hi effective beauty ingredient hai. Yeh swasth ke liye bhi utna hi upyogi hai jitna ki beauty ke liye hai.
Get more details of Beauty from here!!!